How To Stop Twitter Email Notification ?
Dosto ager aapne abhi abhi twitter par ek new account bnaya hai to I am sure ki aapko twitter ki traf se bahut sare mails, notifications aur messages aate honge, aur ager aap twitter ko jyada use nhi karte hai to shayad aapko un notifications aur mails me bilkul bhi interest nhi hoga.Iske alawa ager aap daily twitter use karte hai tab bhi aapko ye twitter notification kafi irritating lag skte hai, kyunki twitter notifications ke mails aur messages hume pure din aate rehte hai, jo ki humare kisi kaam ke nhi hote hai, ye sirf humare mail inbox ko full krne ka kaam krte hai.
In mails ki quantity itni jyada hoti hai ki hum inhe delete krte krte thak jate hai but ye delete nhi hote hai.
Ager aap bhi in twitter notification mails aur messages se prehsan hai to ye article pura pdhne kee baad aapki ye problem solve ho jayegi. Kyunki ynha hum aapko btayenge ki twitter ke sabhi parkar ke notifications ko block kaise krte hai ?
Ynha btaye gye trike se aap twitter ke sabhi notifications, messages aur mails band kar skte hai. Iske liye bas aapko niche btaye gye steps follow krne hai.
Twitter Notification Mails Ko Stop Kaise Kare ? How To Block Twitter Email Notification s ?
Step:- 1 Iske liye sbse pahle apne mobile ya computer me twitter.com ki website par jaye aur apne account ko login kare.Step:- 2 Uske baad apni profile icon par click krke ‘Settings and Privacy’ par click kare.
Step:- 3 Uske baad aisa page Open ho jayega.
Ynha 'Notifications' par click kre.
Step:- 4 Uske baad aisa page open ho jayega.
Ynha aapko 'Email Notifications' par click krna hai. Kyunki ynha hum aapko twitter notification mails ko band krne ke bare me bta rhe hai. Ager aapko twitter ke push notification ya sms notification ko block krna hai to aapko un par click krna hai.
Step:- 5 Uske baad aisa page khul jayega.
Ynha aapko email notifications ke samne wale button ko band/off kar dena hai.
Bas iske baad aapke twitter account me email notifications band ho jayega aur iske baad aage se aapko twitter ki traf se koi bhi email prapat nhi hoga. Thik ishi trike se aap sms notifications aur pop notifications ko bhi band kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Final Words
Dosto aaj ish article me aapne sikha ki twitter email notifications ko kaise band karte hai ? ya twitter notifications ko stop kaise karte hai ? ummid krta hu ki ye jankari aapke liye helpful rhi hogi. Ager ish process me koi problem aaye to aap comment krke puchhs kte hai,
0 टिप्पणियाँ