Free Fire Game Me Controllers Ko Customize Kaise Kare ?

Namskar dosto aaj ek baar phir se mai aapke liye ek bahut hi important jankari lekar aaya hu.  Aaj hum aapko btayenge ki free fire game me jo controllers hote hai, jaise fire button, run button, jump button, joy stick, etc, to in sabhi controllers ko hum apni suvidha ke anusar customize kaise kar skte hai ? ya free fire game me control button ko edit kaise karte hai ? jaise button ki size kam jyada krna ya buttons ko dusri jgah par le jana, etc, ye sab hum aapko ish article me btane wale hai.

Free fire hame controllers

Ish liye ager aap ek free fire game player hai to aapko free fire ki ish setting ke bare me pta hona bahut jaruri hai.

Waise to free fire game khelne wale jyadater  log iske bare me jante hai, but ager aap ek new player hai to aapko ish gamee ki settings ko samjhne me kuch problems aa skti hai. But  ish article me hum iske bare me detail se aur aasan shbdo me smjhane wale hai. ish liye article ko shuru se lekar last tak jarur dekhe.

Friends ager aap ish jankari ko video me dekhna chahe to ish article ke end me aapko iska video bhi mil jayega, jise dekh kar aap iske bare me aur bhi aasani se samjh skte hai.


Free Fire Game Me Controllers Ko Customize Ya Edit Kaise Kare ?

1. Sabse pahle free fire game open kare.

2. Uske baad Upper Right Corner me dikh rhe Settings icon par click kare.

3. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha pahle 'Controls' par aur baad me 'Custom HUD' button par click kre.

4. Uske baad ish trah se aapke samne game ke sabhi control buttons aa jayenge.


Ynha aap kisi bhi control button par ek baar click krke ushe drag krke uski jgah change kar skte hai. Iske alawa jab aap kisi bhi button par click krenge to aapko uski size kam jyada krne ka option bhi mil jayega,  wnha se aap uski size bhi set kar skte hai.

5. Sab kuch setup krne ke baad aapko Save button par click krna hai.

Bas iske baad ye settings save ho jayegi aur iske baad jab bhi aap game khelenge ? To aapko game ke controllers customize huye milenge.

Friends ager aap ish jankari ko video ke dekhna chahe to niche video par click kare👇👇👇


Ye Bhi Padhe...

Final Words

To friends aaj ish article me aapne sikha ki free fire game me controllers ko kaise customize karte hai ? ya free fire game me control buttons ko kaise edit karte hai ? ummid hai ki aapko yeh jankari pasand aayi hogi. Ager aapko jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ