Ek Mobile Se Dusre Mobile Ko Charge Kaise Kare ?

How to transfer Mobile's charge to another mobile mobile ?

Hello friends aaj mai aapke liye ek bahut hi kaam ki aur ek bahut hi important trick lekar aaya hu, jisme mai aapko btauga ki aap kaise apne phone se kisi dusre phone ko charge kar skte hai.

Yani ki ish post me mai aapko batane wala hu ki hum ek phone ka charge dusre phone me kaise transfer kar skte hai. So ager aap ish mazedaar trick ke bare me janna chahte hai to ish article ko last tak jarur padhe.

Kyunki kai baar hum aisi situation me hote hai ki hume apne phone se koi urgent call ya other koi kaam krna hota hai, par humare phone me charge nhi hota hai. Phone ko charge krne ke liye humare pass na to electricity hoti hai aur na hi koi power bank hota hai, ish liye hum apne mobile ko charge nhi kar pate hai.

To aisi situation me aap yaha btai gyi trick se aap apne kisi dost ke mobile se ya other kisi ke mobile se apne mobile ko charge kar skte hai, aur ish problem se bach skte hai.

Ek mobile se dusre mobile ko charge kaise kare

To chaliye abhi hum aapko bta dete hai ki ek mobile se dusre mobile ko charge krne ke liye aapko kin kin chijo ki jarurt pdegi aur aapko kya kya krna hoga.

Ek Mobile Se Dusre Mobile Ko Charge Kaise Kare ?


1. Iske liye sabse pahle aapko ek OTG cable/pin ki jarurt pdegi, jisko aap niche image me dekh skte hai.

OTG pin and cable

Ye pin aapko kisi bhi mobile accessories ki shop par 30, 40 rupay me mil jayegi.

2. Iske alawa aapko ek USB cable ki jarurt pdegi, aap apne mobile charger wali usb cable istemaal kar skte hai.

3. To iske liye sabse pahle OTG pin ush mobile me lgaye, jisse aap apne mobile ko charge krna chahte hai.

4. Iske baad usb cable ka usb wala part ush OTG pin me lgana hai, aur dusra part apne mobile me lgana hai.

Bas iske baad aapka mobile charge hona shuru ho jayega, aur ish trike se aap kisi bhi mobile ko dusre mobile se charge kar skte hai.

Bas aapko ek baat dhyan rkhni hai ki OTG cable ush mobile me lgaye jis phone se aap apne phone ko charge krna chahte hai.


FAQ

Kya Hum Phone Ka Charge Dusre Phone Me Transfer Kar Sakte Hai ?

Yes, aisa ho sakta hai.

Kya Phone Ka Charge Transfer Karna Possible Hai ?

Yes

Ek Mobile Ka Charge Dusre Mobile Me Transfer Kaise Kare ?

Aap dono phone ko OTG cable se connect karke ek phone se dusre phone ko charge kar sakte hai. 


Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap ek mobile ko dusre mobile se charge kar skte hai. Ager aapko ish process me koi bhi problem aaye to aap comment krke puchh skte hai.

To friends, I hope ki ye jankari apake liye helpful rhi hogi, ager aapko ye article pasand aaya ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- phone to phone charging, how to charge mobile to mobile android, 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ