How To Use Fingerprint Lock In Whatsapp ?
Whatsapp me fingerprint lock kaise use kare ? friends whatsapp use krne walo ke liye ye article bahut kaam ka hai. kyunki ish article me hum aapko whatsapp ke ek new aur latest update ke bare me batane wale hai, jiske dwara aap apne whatsapp par fingerprint lock lga skte hai.Ji haa, aapne sahi suna, whatsapp me ek naya aur bda update hua hai, jiske dwara abhi aap apne mobile me whatsapp par fingerprint lock bhi lga skte hai.
Bas ishi baat ko dhyan me rkhte huye whatsapp ne apne users ko ye feature diya hai, jiske dwara ab hum apne whatsapp account ko pahle se jyada secure rakh skte hai.
But ye feature sirf wo hi log use kar payenge jinke mobile me fingerprint sensor lga hua hai, baki users ish feature ka fayda nhi utha payenge.
Ish jankari ko video me dekhne ke liye yaha click kare...
Whatsapp Me Fingerprint Lock Ka Feature Kaise Milega ?
Whatsapp me abhi ye feature sirf beta users ko mil rha hai, par bahut hi jald ye feature whatsapp ke sabhi users ko milne wala hai. ager aap whatsapp ke beta user hai ? to aap abhi whatsapp ko update krke ish feature ko prapat kar skte hai.Whatsapp ka beta version kaise download karte hai ? janne ke liye ye post padhe.
Ish post ko pdh kar aap apne mobile me whatsapp ka beta version download kar skte hai, but phir bhi ager aap kisi karan se ishe download na kar paye, to aapko nirash hone ki jarurat nhi hai. kyunki bahut hi jald ye feature whatsapp ke sabhi users ko milne wala hai. bas aap ek baar ye jarur check kar le ki aapke mobile me whatsapp updated hai ya nhi.
Ager na ho to aapko turant apne mobile me ishe update kar lena hai.
Whatsapp Me Fingerprint Lock Kaise Lgaye ?
Jab aapko whatsapp ka ye latest fingerprint lock feature mil jaye to aap bhaut hi aasani se ishe use kar skte hai. iske liye humne niche kuch steps btaye hai, inhe follow kare.
1 Sabse pahle ‘Whatsapp Application’ ko open kare.
2. Phir ‘3 Dots’ par click kare.
3. Uske baad ‘Settings’ par click kare.
4. Phir ‘Accounts’ par click kare.
5. Iske baad ‘Privacy’ par click kare.
6. Uske baad aisa page open ho jayega.
7. Iske baad next page me aapko ‘Fingerprint Lock’ ko enable kar lena hai, enable krne ke baad aapko sensor par apna finger lga kar apna finger set kar lena.
Iske baad aisa page open ho jayega.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap whatsapp ke ish latest feature ko use karte huye apne whatsapp par fingerprint lock lga skte hai.
0 टिप्पणियाँ