Aadhaar Virtual ID ( VID ) Kaise Generate Kare ?

Aadhaar Virtual ID ( VID ) Kaise Generate Kare ? 


How to generate aadhaar virtual id ? friends aaj hum aapko btane wale hai ki apne aadhaar card ki virtual id kaise create ya generate karte hai ? so ager aapko iske bare me janna hai to ish article ko last tak padhe.

Friends ager aap nhi jante hai ki aadhaar virtual id kya hoti hai aur ye kis kaam aati hai to aap pahle niche wali post padhe.


To friends ager aapne ye upper wali post padh le hai to aap achhe se jan gye honge ki aadhaar virtual id kya hoti hai aur ye kis kaam aati hai. But phir bhi mai aapko short me btana chahuga ki aadhaar virtual id 16 digit ki ek aisi id hoti hai jise hum apne aadhaar number ki jgah istemal kar skte hai. Ish virtual id ko hum jarurt ke hisab se time to time change bhi kar skte hai.

Aadhaar Virtual ID ( VID ) Kaise Generate Kare ?

Aadhaar Virtual Id Generate Krne Ke Liye Jaruri Chije


Friends aadhaar card ki virtual id generate krne ke liye aapke aadhaar me mobile number register hona bahut jaruri hai. kyunki id generate karte samay aapke mobile number par ek otp aayega. Ish otp ke bina aap apni aadhaar virtual id create nhi kar payenge.

Ish liye ager aapko aadhaar virtual id create krni hai to aapke aadhaar card me mobile number register hona bahut jaruri hai. ager aapko pta nhi hai ki aapke aadhaar me phone number register hai ya nhi, to ye post pdhe.


To chliye abhi hum maan lete hai ki aapke aadhaar me mobile number register hai aur abhi aap VID create krna chahte hai. to iske liye aapko niche ke steps follow krne hai.

Ish Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Nichec Video Par Click Kare


Aadhaar Virtual Id (VID) Kaise Generate Kare ?


1 Iske liye sabse pahle ynha click karke Uidai ki website par jaye. Website ka home page ish trah se open ho jayega.


2. Ynha ‘Aadhaar Services’ me ‘Virtual ID (VID) Generator’ par click kare.

3. Uske baad next page me apne aadhaar number aur captcha code dalkar ‘Send OTP’ par click kar de.

4. Iske baad aadhaar me register mobile number par ek otp aayga aur aapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha wo otp dale.

Ager aap pahli baar VID generate kar rahe hai to ‘GenerateVID’ ko select kare aur ager aapne pahle bhi kabhi Vid generate ki hai aur abhi aap sirf ush purani Virtual ID ko SMS ke dwara prapat krna chahte hai to ‘Retrieve VID’ ko select kare aur niche ‘Generate’ button par click kare.

Iske baad aadhar me register aapke mobile number par aapki Virtual ID aa jayegi, jise aap aadhar number ke sthan par use kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To friends ummid karta hu ki aadhaar virtual id kaise create/generate karte hai ? ye article aapko pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ