Whatsapp Group Me Add Hone Se Kaise Bache

Koi bhi hame whatsapp group me add na kar paye aisi setting kaise kare:- Friends whatsapp par humara koi bhi dost ya jiske pass humare whatsapp number hai wo hume apne whatsapp group me add kar skta hai.

Ish liye ek sawal jo aksar mujhse puchha jata hai wo ye hai ki sir kya koi aisi trick hai jis se ki hume koi bhi apne whatsapp group me add na kar paye.

Kuch din pahle tak to aisi koi trick nhi thi. But abhi haal hi me whatsapp me ek naya update aaya hai aur iske ander ek naya feature add hua hai, jiski madad se ab hum ye control kar skte hai ki hume whatsapp group me kon kon add kar skta hai.

Whatsapp Group Me Add Hone Se Kaise Bche

Whatsapp ka ye latest feature un logo ke liye bahut useful sabit hoga jo ki whatsapp group me add hona pasand nhi kar krte hai. but phir bhi log unhe bina unki permission ke group me add kar dete hai.

To chliye abhi hum aapko bta dete hai ki aap whatsapp ke ish latest feature ko kaise use kar skte hai aur whatsapp groups me add hone se kaise bach skte hai.

Whatsapp Group Me Add Hone Se Kaise Bache ?

1. Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me whatsapp ko beta version download krna hoga, kyunki abhi ye feature sirf whatsapp ke beta version me hi available hai.

Ager aapko kisi bhi app ka beta version download krna nhi aata hai to ye article padhe.


2. Whatsapp ko update krne ke baad aapko apne mobile me whatsapp open krna hai

3. Uske baad 3 dots par click kare.

4. Phir ‘Settings’ par click kare.

5. Iske baad ‘Accounts’ par click kare.

6. Phir ‘Privacy’ par click kare.

7. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

Whatsapp Group Me Add Hone Se Kaise Bche

Yaha aap dekh payenge ki aapko ‘Groups’ naam se ek new option milega, aap ish option ki madad se ye control kar skte hai ki aapko whatsapp groups me kon kon add kar skta hai.

Jab aap ish option par click krenge to aapko 3 options milenge.

Everyone, My Contacts, Nobody

Chliye hum aapko inke bare me thoda detail se bta dete hai.

Everyone:- Ishe select krne ke baad aapko whatsapp groups me koi bhi add kar skta hai.

My Contacts:- Jin logo ke numbers aapke mobile me save hai sirf wo hi aapko whatsapp group me add kar skte hai.

Nobody:- Ishe select krne par koi bhi vykti aapko apne whatsapp koi bhi me add nhi kar skta hai.

Ager Nobody select krne ke baad koi person aapko apne whatsapp group me add karta hai to ush group ki traf se aapko ek invitation milega, ager aap ushe accept krenge to hi aap ush group me add honge. Aap chahe to ush invitation ko reject bhi kar skte hai.


FAQ

Whatsapp Par Koi Bhi Mujhe Group Me Add Na Kare Iske Liye Kya Krna Hoga ?

Agar aap chahte hai ki aapko koi bhi whatsapp group me add na kare to iske liye aapko whatsapp privacy settings me jakar groups me Nobody select krna hoga.

Koi Mujhe Baar Baar Whatsapp Group Me Jod Deta Hai Kya Karu ?

Agar aap kisi bhi whatsapp group me nahi judna chahte hai to aap privacy settings me jakar groups me Nobody option ko select kar de fir koi bhi aapko whatsapp group me add nahi kar payega.

Me Kisi Bhi Whatsapp Group Me Nahi Judna Chahta Kya Karu ?

Iske liye aapko apne whatsapp ki Settings> Privacy> Groups me jana hai aur Nobody select krna hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki whatsapp group me add hone se kaise bche ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye post pasand aayi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ