how to check original android phone:- Dosto aaj kal roj market me hajaro mobiles sell kiye jate hai. jinme se jyadater mobiles Chinese Companies Xiaomi, Oneplus, Oppo, Vivo ke hote hai. In mobiles ki popularity ko dekhte huye kuch log inke nakli phones market me aasani se bech dete hai aur logo ko bewkuf bnate hai.
Pichhle 1 saal me aisi ghtnaye kuch jyada hi bad gyi hai. ish liye aaj ish article me hum aapko kuch tips bta rhe hai jinke dwara aap ye pta lga skte hai ki aapka smartphone original hai ya duplicate hai ?
To chliye jante hai ki kaise pta kare ki mobile asli hai ya nakli hai ? How to check your mobile is real or fake in hindi
Pichhle 1 saal me aisi ghtnaye kuch jyada hi bad gyi hai. ish liye aaj ish article me hum aapko kuch tips bta rhe hai jinke dwara aap ye pta lga skte hai ki aapka smartphone original hai ya duplicate hai ?
To chliye jante hai ki kaise pta kare ki mobile asli hai ya nakli hai ? How to check your mobile is real or fake in hindi
Mobile Fake Hai Ya Real Hai Kaise Pta Kare
Friends yaha hum aapko aise 3 trike bta rhe hai jinke dwara aap ye bahut hi aasani se pta kar skte hai ki aapka phone original hai ya duplicate. To ager aapko janna hai ki aapka mobile asali hai ya nakli ? to niche btaye gye steps follow kare.
Friends internet par ek website hai jiske dwara aap apne mobile ke IMEI number se pta lga skte hai ki aapka mobile real hai ya fake hai ?
To ish liye aapko sabse pahle apne mobile ka IMEI number pta krna hai ? ager aapko apne phone ka IMEI number nhi pta hai to aap ush mobile ke Dialer me *#06# type kare, aapke samne ush mobile ka IMEI number aa jayega.
1. Website Se Jane
Friends internet par ek website hai jiske dwara aap apne mobile ke IMEI number se pta lga skte hai ki aapka mobile real hai ya fake hai ?
To ish liye aapko sabse pahle apne mobile ka IMEI number pta krna hai ? ager aapko apne phone ka IMEI number nhi pta hai to aap ush mobile ke Dialer me *#06# type kare, aapke samne ush mobile ka IMEI number aa jayega.
Ager ush mobile me 2 sim cards hai to aapke samne 2 IMEI number aayenge. Aap unme se kisi bhi ek number ko use kar skte hai.
Mobile fake hai ya real ? ye online website se kaise pta kare ? iske liye aapko niche ke steps follow krne hai.
How to Check Original Phone by IMEI Number
1. Sabse pahle Imei.info ki website par jana hai.
2. Uske baad apne phone ke IMEI number dale.
3. Uske baad Captcha code verify kare.
Iske baad ush mobile ki puri detail aapke samne aa jayegi jaise Model Number, Brand aur other basic details.
Ish detail ko aap apne phone ki detail se mila kar ye aasani se pta kar skte hai ki aapka mobile original hai ya fake hai.
2. Android App Se Pta Kare
Online website ki trah aap apne android mobile me ek app install krke bhi ye jan skte hai ki mobile asli hai ya nakli hai.
1. Iske liye sabse pahle play store me jakar apne mobile me ‘Know Your Mobile Type’ naam ki ek app install kare. Ish application ko ‘Center of Development of Advancing Computing’ ke dwara bnaya gya hai.
2. Ish ko install krne ke baad ye aapse kuch permission mangega, aapko unhe allow krna hai.
3. Uske baad next page me apne Mobile ka IMEI number dal kar Verify par click kare.
Bas iske baad ush mobile ki real manufacturer details, supported brands, brand name aur baki detail aapke samne aa jayegi. Aap ush detail ko ush mobile ki pahle wali details se mila kar pta kar skte hai ki wo real hai ya fake hai.
Ager dono details mil jaye to iska matlab hai ki aapka device real hai. aur ager dono details nhi milti hai to iska matlab yehi hai ki aapka phone fake aur duplicate hai.
3. Message Se Pta Kare.
Aap ‘Department of Telecommunication’ ko apne phone ke IMEI number message krke ye pta kar skte hai ki aapka phone real hai ya fake hai.
1. Iske liye aapko sabse pahle ush phone ke dialer pad me *#06# type krke uske IMEI number pta krna hai.
2. Uske baad phone ki Message app me jaye aur ek nya message create kare.
3. Message me aapko KYM type krna hai aur uske baad apne phone ke IMEI number type krke ushe 14422 par send kar de.
Iske kuch time ke bad aapko wapas ek message prapat hoga. Jisme ush mobile ki puri detail hogi. Aap ush detail ko phone ki detail se match krke ye pta lga skte ai ki wo real hai ya fake hai.
FAQ
Original Phone Check Karne Ka Code Kya Hai ?
Aap *#06# code se apne imei number pta lga sakte hai aur fir imei number se apne phone ki detail check kar sakte hai.
Phone Original Hai Ya Duplicate Check Karne Ke Liye Konse Number Par Message Bheje ?
Ye check karne ke liye aapko KYM type krna hai aur uske baad apne phone ke IMEI number type krke ushe 14422 par send karna hai.
Hume Kaise Pta Chlega Ki Phone Naya Hai Ya Use Kiya Hua Hai ?
Ish article me ishi ke bare me detail se btaya gya hai, yaha btaye gye trike se aap check kar sakte hai ki phone naya hai ya use kiya hua hai.
Ye Bhi Padhe...
To in 3 triko se aap ye jan skte hai ki phone original hai ya nahi kaise check kare ? ager aapko abhi bhi phone original hai ya duplicate hai ? ye pta krne me koi problem aaye to aap comment krke puchh skte hai.
0 टिप्पणियाँ