Mobile Me Kab Kon Konsi Apps Ko Use Kiya Gya Hai ? Kaise Pta Kare ?

How to check app usages on android:- Namskar dosto Dainik Tricks me ek baar phir se aapka bahut bahut swagat hai. Friends aaj hum aapko android mobile ki ek bahut hi kmaal ki trick batane wale hai ish liye ish article ko last tak jarur padhe.

Friends hum sabhi ke mobile me aisi bahut si personal aur private apps aur data hota hai jo ki hum kisi ke sath share nhi krna chahte hai. jaise facebook, whatsapp chat, gallery photos etc.

But kai baar jab humara koi dost ya family member humse humara mobile mang leta hai to hum ushe mna bhi nhi kar pate hai.

Mobile lene ke baad wo humare mobile me kya kya karta hai ? ya kon konsi apps ko open karke dekhte hai ? ye hume pta nhi chlta hai. kyunki wo insaan hume phone wapas dene se pahle usme recent open apps ki history bhi clear kar deta hai.

Ish liye aisi situation me hume kabhi bhi pta nhi chlta hai ki usne humare mobile me kon konsi apps ko open kiya aur kitni der tak use kiya. Ishi liye ish baat ko dhyan me rkhte huye aaj ish article me hum aapko ek aisi android trick ke bare me batane wale hai, jiske dwara aap ye pta lga skte hai ki aapke mobile me kab kon konsi apps ko open kiya gya hai aur kitni der tak ush app ko use kiya hai ? how to check last used apps in mobile

Android phone me kab konsi app ko ise kiya gya hai ? Kaise jane

Ager aap ek parent hai aur janna chahte hai ki aapka bacha apne mobile me kon konsi apps ko kitni der tak use karta hai ? tab bhi ye trick aapke bahut kaam ki sabit ho skti hai.

To ye sab janne ke liye aapko niche btaye gye steps follow krne hai.


Humare Mobile Me Kab Kab Kon Konsi Apps Ko Use Kiya Gya Hai ? Kaise Pta Kare ?


1. Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me ek application download krni pdegi jiska naam ‘YourHour’ hai. ish app ko abhi Download krne ke liye niche download button par click kare.

Download


2. Download krne ke baad jab aap ishe open krenge to ye app aapse kuch permissions mangega, aap unhe allow kar de.

3. Uske baad aisa page open ho jayega.

Android apps tracking

Friends ish app me aapko bahut se trike milenge, jinse aap ye jan skte hai ki aapke phone me kis kis app ko kitni der tak use kiya gya hai. Yaha hum aapko bas ek trika bta rhe hai baki jab aap khud ish app ko use krenge to aapko ye achhe se samjh aa jayega ki ye app kaise kaam karta hai.

To aapko sabse pahle ‘Time Up’ button par click krna hai.

4. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.

App usages kaise pta kare

Yaha aap dekh payenge ki present day me kis kis app ko kitni der tak use kiya gya hai. ager aapko ye samjh na aaye to ‘Sneak Through The App’ par click kare.

5. Uske baad aapke mobile me jin jin apps ko use kiya gya hai, un sabhi ki list aapke samne aa jayegi. Aapko jis app ki full detail dekhni ho ush par click kare.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.

App usages kaise pta kare

Yaha par aap detail me dekh payenge ki ush app ko kab kab aur kitni der tak use kiya gya hai.

FAQ Related to Android App Usages

Mobile Me Sabse Jyada Konse Apps Ko Use Kiya Gya Hai Kaise Pta Kare ?

YourHour app ke dwara ham apne mobile me app usages ko dekh skte hai.

Kya Hum Mobile Me Most Used App Ka Pta Lga Sakte hai ?

Ji Haa, YourHour naam ki ek android app hai jiske dwara ham mobile me most used app ka pta lga sakte hai.

Mobile Me Kisi App Ko Kitne Time Tak Use Kiya Gya Hai ? Kaise Pta Kare ?

YourHour app ko mobile me download krne ke baad ish app me ham dekh sakte hai ki konse app ko kitni der tak use Kiya gya hai.


Ye Bhi Padhe...

Last Words:- Friends ye app aapke liye kitna useful ho skta hai ye ish article me btana possible nhi hai. But mujhe ykin hai ki jab aap khud ish app ko use krenge to aapko ye bahut pasand aayega.

Tags:- how to see your most used apps on android, how to see time spent on apps android, how to view most used apps on android

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ