Youtube Videos Dekhne Ke Sath Sath Kisi Dusre App Ko Kaise Open Kare

Namskar dosto Dainiktricks me ek baar phir se aapka bahut bahut swagat hai. Friends kai baar jab hum apne mobile me youtube application me youtube videos dekhte hai, to ushi time kai baar hume kisi karan se youtube app ko band krke kisi dusri app ko open krna pdta hai.

Jab hum youtube app ko band karte hai to jo video hum usme dekh rhe the, wo bhi band ho jata hai. Yani ki ager hume apne mobile me youtube videos dekhne hai to hum uske sath kisi dusri application ko use nhi kar skte hai. Jaise hi hum youtube app ko close krenge to wo video bhi band ho jayega.

Ish liye aaj ish article me hum aapko ek aisi application ke bare me btane wale hai, jiske dwara aap apne mobile me youtube videos ko dekhne ke sath sath facebook, whatsapp, instagram ya aisi hi kisi bhi application ko apne mobile me chla skte hai.

Youtube Videos Dekhne Ke Sath Sath Kisi Dusre App Ko Kaise Open Kare

To chliye abhi hum aapko ish application ke bare me bta dete hai.

Youtube Videos Dekhne Ke Sath Sath Kisi Dusre App Ko Kaise Open Kare 


1. Sabse pahle aapko niche Download button par click krke apne mobile me Float Tube Player app download krna hai.

Download


2. Download hone ke baad ishe open kare aur ye jo bhi permission mange, unhe allow kare.

3. Iske baad ye application youtube app ki trah open ho jayegi. Ager aap chahe to ishi me youtube videos dekh skte hai aur ager aapko isme videos nhi dekhne hai to koi baat nhi aap youtube app me bhi videos dekh skte hai.

4. Ish app ko install krne ke baad ab jab bhi aapko youtube app ko close krna ho but aap jo video youtube par dekh rhe hai, ushe chalu rkhna chahe to iske liye aapko youtube app me ush video ko Share krne ka option milega, ush app click kar de.

Phir aapko bahut sare option milenge, aapko Float Tube Player app icon par click krna hai.


5. Uske baad ish trah se aapke samne kuch options aayenge, aapko 'Pop-Up Player' ko select krna hai.


Bas iske baad aapke mobile me wo video pop-up window me chlna shuru ho jayega aur iske baad aap chahe mobile ki kisi bhi app ko use kre, wo video chlta rhega. Niche image me dekhe.


To ish trike se aap apne mobile me facebook, whatsapp, instagram ya other kisi bhi app ko use krte samay bhi youtube videos ko apne mobile me chla skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Ager aapko ish se related ya internet aur android mobiles se related koi bhi sawaal puchhna ho to aap comments ke dwara puchh skte hai, aapki puri help ki jayegi. Aur ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ