Google Map Par Apne Ghar Ka Pta Kaise Dale

How to add location in google maps:- Friends ager aap google map use karte hai to aapne kabhi na kabhi ye jarur socha hoga ki aakhir google map ko kaise pta hota hai ki konsa sthan ( place ) knha hota hai, konsi city hai, aur city me banks, hospitals, schools, collages etc knha knha hote hai ?

To friends mai aapko btana chahunga ki google map ko khud se kuch bhi pta nhi hota hai. Google map ko use krne wale users hi google map par ye sari jankari dalte hai. Aap bhi apne mobile se google map par kisi bhi sthan ( place ) ko add kar skte hai.

But Google map par apane ghar ka pta kaise dale ? ya google map par apna naam aur address kaise dalte hai ? iske bare me bahut kam log jante hai. ish liye yaha hum aapko google map me apna khud ka address dalne ka trika bta rhe hai.

how to set my location on google map, how to add location in google map for public, add residential address to google map, 

Google map me apna naam address kaise add kare

Ish trike se aap google map par apne ghar, dukan, village, city, temple, hospital, school, collage ya aap jis sthan ka address add krna chahe ? wo kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Google Map Par Apne Ghar Ka Pta Kaise Dale ?

1. Iske liye sabse pahle apne mobile me Google Map application open kare. Ager aapke mobile me ye application nih hai to aap abhi Yaha Click Krke download kar skte hai.

2. Ish application ko open krne ke baad aapko isme ‘Sign In’ krne ke liye kaha ja skta hai. ager aapse kaha jaye to aapko apni gmail id aur password dal kar sign in krna hoga.

3. Uske baad aisa page open hoga.


Ynha uper wali 3 line par click kare.

4. Uske baad ‘Add A Missing Place’ par click kare.


5. Uske baad aisa page open ho jayega.

Google map me naya address dale

1. Ynha ush place ( sthan ) ka naam dale, jiska address aapko add krna hai.

2. Mark location on map’ par click krke google map me ush place ki location ko mark kare

3. Choose category’ par click karke ush sthan ki category select kare. Aap jo place add kar rhe hai wo kya hai ? jaise Home, Shop, Office etc. Aap category search bhi kar skte hai.

Note:- Ager aap category me 'Home' select krege to wo address sirf aapke mobile me hi dikhai dega, kisi aur ke mobile me wo address dikhai nhi dega.

4. Ager aap ush place ke naam aur address ke alawa uske mobile number, photos aur uski website bhi add krna chahte hai to aap ynha click krke kar skte hai.

5. Last me aapko Play icon par click krna hai.

Uske baad aapne jo naam aur address add kiya hai, ager uske jaisa naam aur address pahle se google map me mojud hua to aaapke samne aisa page open ho jayega.


Ynha aap thik se dekh le, ager ynha aapka place na ho to ‘Sumit Anyway’ par click kar de.

Bas iske baad aapka naam aur address google map par add ho jayega aur aapke samne aisa page open ho jayega.


Ish page me aap dekh payenge ki aapka address google map me add ho chuka hai aur google map par nya place add krne ke liye aapko 15 points reward bhi milega.

Google map reward points kis kaam aate hai ? iske bare me mai aapko next article me btaunga. Tab tak aapko wait krna hoga.

Ager aap humare next article ki jankari apne mobile par pana chahte hai to aap Dainik Tricks ko subscribe kar skte hai. Dainik tricks ko subscribe krne ke bare me detail se janne ke liye yaha click kare.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap google map par koi bhi new address add kar skte hai. ager aapko google map par kisi place ko add krne me koi problem aaye ya aapko koi sawaal ho to aap comment karke puchh skte hai. how do I register my address on google map in hindi

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ