Gmail ID Se Delete Contact Numbers Recover Kaise Kare

How To Recover Deleted Contact Numbers From Gmail Account:- Dosto aaj kal hum sabhi apne important documents aur contact numbers ko online apni gmail id, google drive ya other kisi online cloud par save krke rkhte hai. Taki ager future me kabhi humara mobile khrab bhi ho jaye ya ghum ho jaye to kam se kam humara data safe rhe aur hum ushe wapas recover kar paye.

Ager aapko gmail id me contact numbers save krne nhi aate hai to ye post padhe. Gmail ID Me Contact Numbers Kaise Save Kare ?

But kai baar aisa bhi hota hai ki hum jane anjane me ush online cloud, google drive ya gmail se apne documents ya contact numbers delete kar dete hai. but kuch time ke baad hume phir se unki jarurat pad jati hai. Ish liye hum unhe wapas recover krne ke bare me sochte hai.

But google drive se delete ho chuke data ko ya gmail se delete ho chuke contact numbers ko wapas recover kaise karte hai ? iske bare me jyadater logo ko pta nhi hota hai. ish liye ishi baat ko dhyan me rkhte huye aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me btayenge ki gmail id se delete ho chuke contact numbers ko wapas kaise laye ?

gmail id me se delete ho chuke contact numbers ko wapas recover kaise kare

Google drive se delete ho chuki photos ko wapas recover krne ke bare me hum aapko apni pichhli post me bta chuke hai. Aap niche click karke wo post abhi pdh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Gmail ID Se Delete Contact Numbers Recover Kaise Kare ?

Dosto iske bare me btane se pahle me mai aapse kehna chahunga ki aap apne gmail account me se delete sirf unhi contact numbers ko recover kar payenge, jo aapne pichhle 30 days ke andr delete kiye hai.

Ager aapko contact numbers delete kiye huye 30 days se jyada time ho gya hai to aap unhe recover nhi kar payenge. Ish liye ager abhi tak aapko number delete kiye huye 30 days nhi huye to aap unhe wapas prapt kar skte hai. iske liye bas aapko niche btaye gye steps follow krne hai.

1. Iske liye aapko sabse pahle apne mobile me Google ki Contacts naam ki ek Application download krni hai. Contacts App abhi download krne ke liye niche download button par click kare.


2. Ish App ko mobile me install krne ke baad jab aap ishe open krenge to aapse kuch permission mangi jayegi, aapko unhe ‘Allow’ krna hai.

3. Iske baad iska home page open hoga. Aapko upper ki traf 3 lines milengi, un par click kare.

4. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha aap ek baar check kar le ki jis gmail id se aapke contact number delete huye hai wo hi ynha hai ya nhi ?

5. Phir ‘Settings’ par click kare.

6. Uske baad aapko kuch option milenge aapko ‘Undo Changes’ par click karna hai. niche dekhe.


7. Undo Changes par click krne ke baad ager aapne ush mobile me ek se jyada gmail id log in kar rkhi hogi to aapko ek gmail id select krne ke liye kaha jayega, to aapko wo hi gmail id select krni hai, jisme se contact number delete huye hai. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha aapse puchha jayega ki aap pichhle kitne dino ke changes ko undo krna chahte hai ? ynha aapko apne contact numbers ko delete kiye huye jitney din huye hai, uske hisab se ek option select kar le aur 'Confirm' par click kar de. Ager aapko yaad nhi hai ki kitne din huye to ‘Custom’ par click kar de.


Custom par click krne ke baad ish trah se 30 days set krne hai aur ‘Confirm’ par click krna hai.

Bas iske baad aapne pichhle 30 days me apni gmail id me contact numbers se related jitney bhi changes kiye the, wo sabhi undo/deactivate ho jayenge. yani ki ager aapne ish period me kisi contact number ko delete kiya hoga to wo bhi wapas recover ho jayega.

Note:- Friends contact numbers ko wapas recover hone me thoda time lg skta hai. Ish liye ye setting krne ke baad aap thoda wait kre aapke sabhi delete contact numbers wapas aa jayenge.


FAQ

Gmail ID Se Delete Number Recover Karne Wala App Konsa Hai ?

Google ki Contacts app se hum gmail se delete contact number recover kar sakte hai.

Contact Number Recovery App Download Kaise Kare ?

Aap play store me jakar ish app ko download kar sakte hai.

Gmail ID Se Delete Contact Number Kitne Din Tak Recover Kar Sakte Hai ?

30 din tak

Contact Number Delete Hone Ke 30 Din Baad Wapas Kaise Laye ?

Gmail se contact number delete hone ke baad hum sirf 30 din ke andar andar hi unhe wapas la sakte hai, 30 din ke baad delete contact number recover nahi kiye ja sakte hai.


Ye Phi Padhe...

To ish trike se aap apni gmail id se delete ho chuke contact numbers ko wapas kaise laye. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment krke puchh skte hai. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ