Instagram Account Ko Permanently Delete Kaise Kare

How To Delete Instagram Account Permanently 2024 ?

Dosto instagram bhi facebook, twitter ki trah ek bahut hi popular social site hai jis par hum apni photos aur videos apne dosto ke sath share kar skte hai. But kai baar hum apne kisi personal reason ke karan apne account ko humesha ke liye delete krne ki koshish karte hai. But jyadater logo ko iske bare me pta nhi hota hai, ish liye wo aisa nhi kar pate hai.

Instagram Account Ko Permanently Delete Kaise Kare

Instagram account ko humesha ke liye delete kaise karte hai ? iske bare me batane se pahle me aapko btana chauga ki instagram hume apne account ko Permanently Delete aur Deactivate krne ke 2 option deta hai.

Ager hum apne instagram account ko deactivate karte hai to instagram se humara account aur humari sabhi photos aur videos hide ho jate hai. Uske baad hum jab chahe tab wapas apne account ko login karke wapas recover kar skte hai.

But ager hum apne account ko permanently delete kar dete hai, to uske baad hum ushe future me kabhi bhi wapas active nhi kar skte hai. Ish liye meri advice hai ki ager aapke instagram par bahut sare followers hai to apne account ko permanently delete na kare. But ager aapke liye account delete krna jaruri hai to aap bilkul kar skte hai.

Iske alawa ager aap apne facebook ya twitter account ko delete ya deactivate krna chahe to wo bhi kar skte hai. Facebook aur twitter account ko permanently delete ya deactivate kaise karte hai ? ye me aapko apni pichhli posts me bta chuka hu, ager aap chahe to abhi niche click karke wo posts pdh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko instagram account ko delete aur deactivate krne ke bare me bta dete hai. Pahle me aapko instagram account ko permanently delete krne ke bare me btauga, aur uske baad account ko deactivate krne ke bare me bhi btauga.

Note:- Dosto instagram account ko permanently delete krne ka process thoda change ho gya hai, niche jo process btaya gya hai wo purana process hai. Instagram account delete krne naya process hamne ek video bnakar btaya hai jise aap abhi yaha click karke dekh sakte hai.

Instagram Account Ko Permanently Delete Kaise Kare ?


1. Iske liye sabse pahle apne pc ya mobile ke kisi bhi browser me Delete Instagram Account yaha click karke instagram account deletion page par jaye. Aapko ush page me 'log in' karne ke liye kaha jayega, wo aap kar le.

2. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapse puchha jayega ki ‘Why are you deleting your account ?’ aapko yaha click karke koi bhi ek reason select krna hai. Aapko bahut sare reasons milenge. Aap ‘Too Busy/Too Distracting’ ya other koi reason select kar skte hai.

3. Uske baad ushi page me aapko niche password dalne ke liye kaha jayega, so aap apne account ke password dal de, aur niche ‘Permanently Delete My Account’ par click kar de.

Bas iske baad aapka account instagram se humesha ke liye delete ho jayega.

Note:- Account ko permanently delete krne se pahle apni sabhi important photos aur videos ko download kar le. Kyuki iske baad wo instagram se humesha ke liye delete ho jayegi.

Instagram Account Ko Temporary Deactivate Kaise Kare ?


1. Iske liye sabse pahle apne mobile ya pc ke kisi bhi browser me Temporary Delete Instagram Account yaha click kare.

2. Uske baad aapko apne instagram account ko log in krna hai.

3. Phir ek page open ho jayega, jab aap usme thoda niche jayenge to aapko ish trah ke options mil jayenge, jaise aap image me dekh skte hai.


1. Yaha aapko ek reason select krna hai ki aap apne account ko deactivate kyu krna chahte hai. Mene yaha 'Just need a Break' select kiya hai, aap apne hisab se koi bhi reason select kar skte hai.

2. Yaha apne account ke password dale.

3. At last ‘Temporary Disable Account’ par click kar de.

Bas iske baad aapka instagram account disable ho jayega, aur instagram se aapka account, sabhi photos aur videos hide ho jayenge.

Instagram Account Ko Wapas Active/Recover Kaise Kare ?


Ager aapne account ko sirf deactivate kiya hai to account ko wapas active krne ke liye aapko sirf apne account ko instagram me log in krna hai. Uske baad aapka account, photos aur videos instagram par wapas aa jayenge.

Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap instagram account ko permanently delete ya temporary disable kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ