Best Mics For Youtube, Under Rs.200
Friends ager aap ek youtuber hai ya other kisi platform par apne khud ke video bna kar upload karte hai ? to aap ye jarur jante honge ki hum jo video bnate hai, wo chahe kitna bhi unique aur knowledgeable ho, but ager uski voice clear nhi hai to viewers ushe jyada pasnd nhi karte hai.
Video me clear voice record krne ke liye hume kisi achhe microphone ko use krna pdta hai. Par kisi bhi new youtuber ke liye ek achha aur best mic purchase krna aasan nhi hota hai. Ish liye wo chahte huye bhi apne video me achhi voice record nhi kar pate hai.
Ish liye ishi baat ko dhyan me rkhte huye aaj ish article me hum aapko youtube video record krne ke liye top 3 cheapest microphones ke bare me btayenge, jinki price Rs 200 se bhi kam hai. But video record karte samay ye aapki voice ko kafi clearly record krenge.
In microphones ke bare me btane se pahle mai aapse kehna chahunga ki ye tino hi microphone bahut achhe hai. Ish liye aap inme se kisi bhi mic ko buy kar skte hai.
Cheapest Price Best Microphones Under Rs 200
1. Generic Microphone
Friends ager aap ek new youtuber hai ? aur cheapest price me sabse best microphone search kar rhe hai ? to ye mic aapke liye sabse best rhega. Me khud bhi ish microphone ko use kar chuka hu. Ish liye mai aapko bhi ishi mic ko purchase krne ki advice dunga.
Generic Microphone ko aap Android phone, I phone, Pc me use kar skte hai. Amazon par abhi iski price Rs.154 hai. But iski price change hoti rhti hai. Generic Mic Ko Abhi Amazon Se Purchase Krne Ke Liye Ynha Click Kare.
Ish mic ko use krne se pahle ek baat ka dhyan rkhe, ki ye mic jyadater phones ke system camera app ke sath achhe se work nhi karta hai. Ish liye ager aapke mobile me bhi ye achhe se kaam na kare, to play store se koi dusri camera app download kar le. Me apni btau to mai Open Camera app use krta tha. Open Camera app abhi download krne ke liye ynha click kare.
2. Rewy Brobeat Microphone
Ye mic bhi bahut achha hai. Mene khud ish mic ko kabhi use nhi kiya hai. But internet par mene iske reviews check kiye hai, jo ki bahut hi achhe hai. Amazon par iski rating Generic Microphone se bhi achhi hai. Ish liye aap ish mic ko bhi apne phone ya pc ke liye use kar skte hai.
Amazon par abhi Rewy Brobeat Microphone ki price Rs.199 hai, jo baad me change bhi skti hai. Aap abhi niche click karke Rewy Brobeat Microphone ko amazon se buy kar skte hai.
3. SRK L13 Microphone
Top 3 Cheapest price ke best microphones ki list me ye mic sabse niche aata hai. But aap iski quality ko kam na smjhe, kyunki amazon par iski rating Generic Mic se bhi achhi hai. Mere ek youtuber dost bhi ish mic ko use karte hai, unhone bhi mujhe iske bare me positive review diya hai.
Ish liye cheapest price me ye mic bhi aapke liye kafi achha option sabit ho skta hai. Amazon par abhi SRK L13 Microphone ki price Rs. 220 hai. Niche click karke aap abhi ish mic ko buy kar skte hai.
Friends aap apne mobile aur computer me audacity software aur application ko use karke apne video ki voice ko aur bhi clear bna skte hai. Ish liye ager ho ske to audacity app ko bhi jarur use kare. sath hi ager ye mic aapke mobile ke system camera app ke sath achhe se kaam na kare to Open Camera App ko use kare.
Ye Bhi Padhe...
To friends youtube ke liye kam kimat ke ye hi sabse best microphones hai. I hope ki ye jankari aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne baki youtuber dosto ke sath bhi jarur share kare.
0 टिप्पणियाँ