Whatsapp Last Seen Ko Freeze/ Pause Kaise Kare

How to Freeze Whatsapp Last Seen ?

Whatsapp par last seen ko fix/ pause kaise kare ? Friends aaj hum aapke liye whatsapp ki ek aisi trick lekar aaye hai, jise ager aap use karte hai to wo aapke bahut kaam ki saabit ho skti hai.

Ish trick ki madad se aap whatsapp par apni last seen ko kisi bhi fix time par pause/ freeze kar skte hai. Whatsapp par ek last seen ko fix krne ke baad aap chahe kitni bhi baar WhatsApp par online aaye but phir bhi kisi ko pta nhi chlega ki aap whatsapp par online hai. Aur na hi aapki last seen change hogi.

Aapke jitne bhi contacts honge, un sabhi ko whatsapp par aapki wo hi last seen dikhai jayegi, jo aap set krenge.

Whatsapp Last Seen Ko Freeze/Pause Kaise Kare

Chliye ek example ke dwara isko aur aasani se samjhne ki koshish karte hai. Jaise ki maan lijiye ki aap whatsapp par apni last seen ko 14 November 2018 ko 10:30 PM par freeze kar dete hai, to iske baad aap chahe whatsapp par kitni bhi baar online aaye, but phir bhi aapke kisi bhi contact ko ye pta nhi chlega ki aap online hai. Aur aapki last seen bhi change nhi hogi.

Aapke sabhi contacts aapki freeze ki hui last seen hi dikhai degi. Ager aapke contact 10 din ya 1 month ya 1 saal ke baad bhi aapki whatsapp profile open krenge, tab bhi unhe aapki last seen wo hi dikhai degi jo aapne fix ki hogi. Ish bich aap chahe kitni bhi baar whatsapp par online aao, but phir iske bare me kisi ko bhi pta nhi chlega.

To kyu.... kaise lgi aapko ye trick ? I know aapko ye trick jarur pasand aayi hogi aur aap iske bare me janna bhi jarur chahte honge. Ish liye chliye abhi me aapko bta deta hu ki aap ish trick ko kaise use kar skte hai.

Whatsapp Par Last Seen Ko Ek Jgah Par Kaise Pause Kare ?


Friends iske bare me batane se pahle me aapko btana chahunga ki ye feature whatsapp me available nhi hai. Ish liye ager aapko ish feature ko use krna hai to aapke mobile me gb whatsapp hona chahiye.

Note:- Dosto gb whatsapp ek untrusted app hai. Ish par trust nhi kiya ja skta hai. Yeh aapke liye harmful ho skta hau. Ish liye hum aapko ise use na krne ki hi advice dete hai.

1. Sabse pahle apne mobile me ishe open kare.

2. Phir 3 dots par click karke Privacy option par click kare.

3. Uske baad ish trah se kuch option aa jayenge.

Whatsapp Last Seen Ko Freeze/Pause Kaise Kare

Yaha 'Hide Online Status' par click kar de.

Bas iske baad whatsapp par aapki current last seen freeze ho jayegi. Iske baad aap chahe kitna bhi whatsapp use karo, but phir aapke kisi bhi contact ko pta nhi chlega ki aap online ho, jab aap whatsapp close krenge tab bhi last seen change nhi hogi. Aapke sabhi contacts ko aapki profile par wo hi last seen dikhai degi jo aapne fix kroge.

Ager aap ish setting ko wapas off krna chahe to wapas 3 dots par click karke Privacy me jakar 'Show Online Status' par click karke aap ish setting ko wapas off kar skte hai.

To ish trike se aap ish chhoti si setting ko on karke whatsapp par apni last seen ko pause kar skte hai.


FAQ

Whatsapp Me Purana Last Seen Kaise Dikhaye ?

Agar aap whatsapp par online rahte huye bhi purani last seen dikhana chahte hai to iske liye aapko gb whatsapp download krna pdega. Kyunki ushi me ye feature hota hai.

Freeze Last Seen Ka Kya Matlab Hota Hai ?

Last seen freeze krne ke baad aap chahe whatsapp kitna hi use karo na to aap kisi ko online dikhai doge na hi aapki last seen change nahi hogi.

Normal Whatsapp Me Last Seen Freeze Kaise Kare ?

Normal whatsapp me last seen freeze krne ka abhi tak koi option nahi aaya hai. Isliye aap normal whatsapp me last seen freeze nahi kar sakte hai.

Whatsapp Par Online Aane Ke Baad Bhi Last Seen Change Nahi Honi Chahiye

Aisi setting sirf gb whatsapp me available hai, normal whatsapp me abhi tak aisa koi feature nahi aaya hai.


Ye Bhi Padhe...

To dosto I hope ki whatsapp ki last seen fix/freeze kaise kare ? Ye jankari aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ