Mx Player Me Video Ka Audio Kaise Change Kare ?

Mx Player Me Video Ka Audio Kaise Change Kare ? Friends ager aap apne mobile me mx player use karte hai to aaj ka article aapke liye bahut hi helpful aur mazedaar hone wala hai. Kyunki aaj ish article me aapko mx player secret setting ke bare me batane wale hai, jiske bare me bahut hi kam log jante hai, shayad aap bhi nhi jante hai.

To mx player ki ish secret setting ya mx player hidden feature ke bare me janne ke liye ish post ko last tak jarur padhe.

Friends mx player ki wo secret setting ek aisa hidden feature hai jiske dwara hum mx player me kisi bhi video ka audio change kar skte hai.

Jaise ki maan lijiye ki aap koi aisa video dekh rhe hai, jiska audio bahut khrab hai ya aapko pasand nhi hai, but wo video aapko dekhna hai. To ush time aap ish setting ki madad se ush video ke original audio ki jgah apna koi favorite song ya other ko audio lga skte hai.

Jis se aap wo video bhi dekh payenge aur uske sath sath apna favorite song bhi sun payenge.

MX player me kisi bhi video audio kaise change kare

To kyu ? Hai na ye ek bahut hi mazedaar feature ? mx player ke ish secret feature ko kaise use karte hai ? Iske bare me janne ke liye niche ke steps follow kare.


Mx Player Me Video Ka Audio Kaise Change Kare ?


1. Iske liye sabse pahle mx player me wo video play kare. Jiski language change krni hai.

2. Uske baad 3 dots par click kare.

3. Phir Audio par click kare.

Mx player secret options

4. Uske baad Open par click kare.

Mx player me video ka audio change kare

5. Uske baad aisa page open ho jayega.

Set other audio on video

Yaha phone storage ke folder open ho jayenge. Jo audio aapko lgana hai, wo jis folder me hai, usme jakar ushe select kare. ( Folder Up par click karke aap back ja skte hai. )

Jab aap folder me se kisi audio par click karke ushe select kar lenge to uske baad ush video ka audio change ho jayega, aur iske baad aap mx player me jab bhi ush video ko play krenge to uska audio wo hi sunai dega jo aapne set kiya hai.

Ager aapko ush pahle wale audio ko phir ush video par lgana ho to iske liye steps follow kare.

1. Ush video ko mx player me play kare.

2. 3 dots par click kare.

3. Audio par click kare.

4. Uske baad Audio Track ko select kare.

Bas uske baad ush video ka original audio phir se ush video par set jo jayega.

Ok to ish trike se aap mx player ke ish secret feature ko use karte huye mx player me kisi bhi video ka audio change kare skte hai.


FAQ

Kya Hum MX Player Me Video Ka Audio Change Kar Sakte Hai ?

Yes

MX Player Me Video Dekhte Time Uska Audio Kaise Badle ?

Aap MX player me mojud Audio option ki madad se video ka audio badal sakte hai.


Tags:- how to change audio language in mx player while casting, how to change audio language in video player, how to change language in mx player video

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ