Mobile Me Video Call Kaise Record Kare ?
Whatsapp, Facebook Video Calls Ki Recording Kaise Kare ? Dosto humari tricks ki website Dainiktricks par aapka ek baar phir se bahut bahut swagat hai.Friends aapne apne phone me voice calls ki recording to bahut baar ki hogi. But kya aapko pta hai ki hum apne mobile me video calls ki recording bhi kar skte hai.
Ager aapko nhi pta hai ki apne mobile me video calls ki recording kaise karte hai ? to koi baat nhi, kyunki aaj ish article me hum aapko iske bare me batane wale hai. Ish liye ish post ko last tak jarur padhe.
To ager aapko apne mobile me kisi video call ki recording krni hai to niche btaye gye steps ko follow karke aap aasani se aisa kar skte hai.
Ye Bhi Padhe...
Whatsapp, Facebook, Imo Video Call Kaise Record Kare ?
1. Iske liye aapko sabse pahle apne mobile koi ek screen recording app install krna hoga. Screen recording app ki madad se hum apne mobile ki screen par chal rhi her ek activity ka video record kar skte hai. Bilkul waise hi jaise hum screenshot ke dwara mobile screen par chal rhi activity ki photo capture karte hai.
To jab aapko apne mobile me koi bhi video call record krna ho tab aap ish app se apne mobile ki screen recording start karke ush video call ko bhi record kar skte hai.
To iske liye aapko Play store par bahut sare screen recording apps mil jayenge, jinhe aap apne mobile me install kar skte hai. But yaha me aapko Screen Recorder - Xrecorder app ke me bare me bta deta hu, jise me khud bhi use krta hu.
To sabse pahle aapko play store se apne mobile me DU Screen Recording app install krna hai. Ish app ko abhi download krne ke liye niche download button par click kare.
3. Uske baad aisa page open ho jayega.
Yaha aapko ish Video icon par click krna hai.
4. Uske baad ish trah se kuch option aa jayenge.
Aap ish app ko pahle use karke dekh le ki ye kaise kaam krta hai. Uske baad jab aapko koi video call record krna ho tab pahle ish app se mobile ki screen recording start kar le, aur jab aapko recording stop krni ho, tab aap atop kar skte hai.
Ok To ish trike se aap facebook video call, whatsapp video call, imo video call ya other kisi bhi video call ko record kar skte hai.
FAQ
Video Call Record Karne Wala App Konsa Hai ?
Video call record krne ke liye aap kisi bhi screen recording app ka istemal kar sakte hai jisme ek Screen Recorder - Xrecorder app bhi hai.
Kya Whatsapp Video Call Record Hota Hai ?
Whatsapp video call record kiya ja sakta hai iske liye aapko koi bhi ek mobile screen recording app download krna pdega.
Log Video Call Ko Record Kaise Karte Hai ?
Sabhi log video call record krne ke liye kisi na kisi mobile screen recording app ka istemal karte hai.
Whatsapp Me Video Call Recording Option Kaha Hota Hai ?
Whatsapp me video call recording krne ka koi bhi option nahi hai par aap play store se screen recording app download karke video call ko record kar sakte hai.
To friends I hope ki ye jankari mobile me video call record kaise kare in hindi aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
0 टिप्पणियाँ