Play Store Ke Top 7 Secret & Hidden Features
Friends hum apne mobile me kisi app ko use kar ya na kare, but play store to hume jarur use krna pdta hai. Kyunki humare mobile me jab bhi hume koi new app install krna hota hai to ushe play store se hi download krna pdta hai. Kyunki play store se apps download krna aasan hota hai aur isme hume lagbhag sabhi types ke apps aur games mil jate hai.Ab kyunki play store ko hum daily use karte rehte hai. Ish liye iske sabhi features ke bare me sabhi ko pta hona chahiye. But bahut hi kam logo ko play store ke sabhi features ke bare me pta hota hai.
Ish liye aaj hum aapko play store ke top 7 secret aur hidden features ki list btane wale hai, jinke bare me her android user ko pta hona chahiye.
To chliye abhi hum ek ek karke aapko play store ke in features ke bare me bta dete hai.
Play Store Ke Top 7 Secret & Hidden Features in Hindi
1. Play Store Library
Friends kya aapko yaad hai ki aapne aaj tak play store se kon kon se aur kitne apps install kiye hai ? Shayad nhi. But play store ke pass iska record rehta hai.
Aaj tak aapne play store se jitne bhi app install kiye hai, un sabhi ka record play store library me save rehta hai.
Ager aapko play store library me jana ho to..
1. Sabse pahle 3 lines par click kare.
2. Phir My Apps and Games par click kare.
3. Uske baad Library par click karke aap apne installed apps ki history dekh skte hai.
Play store library me bare me aur adhik janne ke liye yaha click kare.
2. Wishlist
Friends kai baar play store par hume koi app pasand aa jata hai aur hum ushe download krna chahte hai. But slow internet ya kisi aur reason se hum ush time ush app ko apne mobile me install nhi kar pate hai, aur ushe baad me download kar lenge, aisa soch kar hum ush app ko bhul jate hai.
Uske baad ager kabhi hume wo yaad bhi aa jata hai to baad me wo hume play store par nhi milta hai.
To aisi situation me aap Wishlist feature ko use kar skte hai.
Jab aapko play store par koi app pasand aa jaye, but aap ushe download na kar paye to aap ushe wishlist me add kar de. Aur uske baad jab bhi aapke pass time ho to aap play store Wishlist me jakar wo app download kar skte hai.
Play Store Me WishList Feature Ko Kaise Use Karte Hai ?
Aapko play store par jis bhi app ko wishlist me add krna ho, ushe open kare,
Phir upper 3 dots par click kare, uske baad aapko Add to Wishlist ka option mil jayega, aapko bas ish par click kar dena hai. Uske baad wo app aapki wishlist me add ho jayega.
Iske baad ager aapko wishlist me se wo app download krna ho to 3 lines par click karke aap play store wishlist folder me jakar wo app download kar skte hai.
3. Clear Play Store Search History
Play store par jab bhi hum kisi app ko search krne ke liye search box par click karte hai to humne last baar play store me jo bhi apps search kiye hote hai, wo keywords screen par aa jate hai.
Kai baar hum kuch adult apps bhi search kar lete hai, ish liye hum nhi chahte ki unke keywords search box me dikhai de.
To iske liye hume play store ki search history delete krni pdti hai. But play store ki search history kaise delete karte hai ? Ye jyadatar logo ko pta nhi hota hai.
Ager aap bhi iske bare me nhi jante hai to niche ke steps follow karke aap aisa kar skte hai.
1. Sabse pahle 3 Lines par click kare.
2. Phir Settings par click kare.
3. Uske baad 'Clear Local Search History' par click karke aap play store ki search history delete kar skte hai.
4. Play Store Se New aur Latest Apps Download Kare
Ager aap play store se naye naye apps install karte rehte hai to ye feature aapke bahut kaam aa skta hai.
Ish feature ki madad se aap play store se ekdum new aur latest apps aur games ko install kar skte hai.
But play store me aisa koi option nhi hai, jis se hum latest apps download kar paye, ish liye iske liye aapko chrome browser me 'Indie Corner' likh kar search krna hai. Uske baad search results me first result par click kar de.
Phir browser me play store open ho jayega aur usme play store par upload kiye gye sabhi new aur latest apps aapke samne aa jayenge, jinhe aap download kar skte hai.
Play store se new aur latest apps kaise download kare ? Aur adhik detail se jane.
5. New Installed Apps Icon on Home Screen
Friends aapne notice kiya hoga ki jab bhi hum play store se koi new app ya game install karte hai to uska shortcut mobile ki home screen par automatically add ho jata hai, jisme karan kai baar mobile ki home screen app icons se full jati hai.
To ager aap nhi chahte ki jab bhi aap play store se koi app install kro to uska shortcut icon phone ki home screen par add na ho to iske liye aapko play store me ishe off krna hoga.
1. Iske liye sabse pahle 3 lines par click kare.
2. Phir Settings me jaye.
3. Phir 'Add Icon to Home Screen' ke samne wale box ko unchecked kar de. Phir new app download krne par uska icon phone ki home screen par add nhi hoga.
6. Beta Version
Friends play store ke most popular apps me jab bhi koi new feature aane wala hota hai. To pahle ush feature ko ush app ke beta version me add kiya jata hai. Ish liye ager hume kisi app ke advance feature ko use krna ho to iske liye hune uska beta version download krna pdta hai.
Kisi bhi app ka beta version download krne ke liye pahle hume uska beta program join krna hoga.
Kisi bhi app ka beta program kaise join karte hai ? Ya play store se kisi bhi app ka beta version kaise download karte hai ? Iske bare me janne ke liye niche wali post padhe.
7. Update Play Store
Friends play store par jakar hum apne mobile ke kisi bhi app ko to update kar skte hai. But kya aapko pta hai ki play store ko kaise update karte hai ? Iske bare me maine aapko btauga but pahle me aapko btana chahunga ki jab play store ka version bahut jyada purana ho jata hai to wo thik se kaam nhi karta hai.
Jab bhi hum play store se koi app download karte hai to Download Pending, ya other kai parkar ki errors humare samne aa jati hai.
Ish liye hum sabhi ko apne mobile me play store ko up to date rkhna chahiye. taki hume koi bhi app download krate samay kisi parkar ki problem ka samna na krna pde.
Play store ko update krne ke liye steps follow kare.
1. Sabse pahle 3 line par click kare.
2. Phir Settings par click kare.
3. Phir Play Store Version par ek baar click kare.
Bas uske baad aapke mobile me play store update hona start ho jayega.
Play store updating ke bare me aur adhik detail se janne ke liye yaha click kare.
To ye the play store ke top 7 secret aur hidden features, jinke bare me shayad aapko pahle nhi jante the. Ager aapko play store se related aur bhi koi sawaal puchhna ho to aap puchh skte hai.
Ye Bhi Padhe...
To friends ummid krta hu ki ye article play store top 7 secret settings aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
0 टिप्पणियाँ