Play Store Se Gmail ID Remove/ Logout Kaise Kare

Play Store Se Gmail ID Logout Kaise Kare ?

Friends android mobile me jab bhi hume koi app install krna hota hai to hum google play store se hi wo download karte hai. Kyunki play store par hume lagbhag sabhi types ke apps aur games mil jate hai.

But jaisa ki aap jante hai ki play store se koi bhi app download krne se pahle hume usme apni gmail id aur password se log in krna pdta hai.

Ish liye ager hume play store se koi app ya game download krna ho to iske liye humare pass apni khud ki ek gmail id honi chahiye, tabhi hum play store me log in kar pate hai.

Ek new gmail id kaise bnaye ? Yaha click karke aap apne liye ek new gmail id bna skte hai.

But kai baar hum apni gmail id apne kisi dost ya family member ke mobile ke play store me log in kar dete hai, kyunki unka khud koi gmail account nhi hota hai.

But kuch time ke baad hum ush mobile se apni wali gmail id ko wapas remove krna chahte hai kyunki wo humari personal email id hoti hai. Play store se apni id remove krne aapka reason kuch aur bhi ho skta hai.

Play store account remove kaise kare

But aap bhi jante honge ki play store me account logout krne ka koi option nhi hai. Ish liye hum play store se apne account logout nhi kar pate hai.

But iska matlab ye nhi hai ki play store me ek baar kisi id ko log in kar diya jaye to phir ushe kbhi logout nhi kiya ja skta.

Hum ushe logout bhi kar skte hai, bas iske liye thoda sa alag trika hota hai. Aaj ish article me hum aapko bas wo hi trika batane wale hai. Jiske dwara aap play store se apni id ko logout kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To iske bare me janne ke liye aapko niche btaye gye steps follow krne honge.

Play Store Se Gmail Account Logout/ Remove Kaise Kare ? 


1. Ager aapko apne mobile ke play store se gmail account ko htana hai to iske liye sabse phale mobile ki Settings me jaye.

2. Uske baad aapko Accounts naam se ek option milega ush par click kare.

3. Phir Google par click kare.

4. Uske baad ish trah se page open ho jayega.

Google id

Yaha aapki gmail id hogi, ush par click kar de.

5. Phir aage aisa page khul jayega.

Remove gmail id from phone

Yaha aapko 3 dots par click krna hai. Uske baad aapko Remove Account ka ek option mil jayega, ush par click kar de.

Bas iske baad aapke mobile ke play store se gmail id logout ho jayegi.

Ok to ish trike se aap apne android mobile me google play store se apni gmail id sign out kar skte hai.


FAQ

Play Store Se Gmail ID Kaise Htaye ? 2024

Aap apne mobile ki Settings> Accounts me jakar phone me login gmail account ko hata sakte hai.

Play Store ID Logout Kaise Karte Hai ?

Play store me gmail id hi login hoti hai jo ki aap apne phone ki settings me Accounts me jakar logout kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki play store se gmail id kaise remove karte hai ? Ye jankari aapko pasand aayi hogi. Ager aapko android mobile, facebook aur whatsapp se sambandhit tricks wali aur bhi posts padhni ho to aap niche categories me jakar pdh skte hai.

Tags:- how to sign out google account from play store, how to sign out from google play store on android phone, how to remove account from play store

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ