Photo Par Shayri Likhne Wala App Download Kare

Apni photo par shayri kaise likhe ? Friends aapne facebook whatsapp ya other knhi internet par aisi photos to jarur dekhi hongi jin par kuch quotes ya shayri likhi hui hoti hai.

Photo par likhi huyi ye shayri ya messages padhne wale ke dil ko kafi had tak touch kar jati hai, kyunki wo photo aur shayri dono ek sath mil kar kisi bhi type ki feelings ko aasani se explain kar deti hai.

Jaise ki example ke liye maan lijiye ki koi hume sad shayri text me send karta hai, to wo text shayri humare heart ko utni deeply touch nhi kregi, jitni sath me photo wali shayri karti hai.

Kyunki ush photo wali shayri me hume kisi aise person ko bhi dikhaya jata hai, jo ki sad hota hai. Ish liye hum ush shayri ko jyada achhe feel kar pate hai.

To jab hum un shayri wali photos ko dekhte hai, tab hum sab bhi ye jarur sochte hai ki aakhir aisi photos kaise bnate hai ? Ya apni photo par shayri kaise likhte hai ?

Photo par shayri joke message likhne wala app download kare

Photo Par Shayri Kaise Likhe ?


Friends apni photo par shayri likhne ke liye aapko sabse pahle apne mobile me photo par shayri likhne wala app download krna hoga.

Waise to internet par aise bahut sare apps hai, jinki madad se hum apni photo par shayri likh skte hai. But yaha maine aapko unme se sabse best app ke bare me bta rha hu, jo ki mera bhi favorite app hai.

Ish app ka naam 'All Festivals Suvichar' hai. Play store par 4.4 rating ke sath iske ab tak 1 million se bhi jyada downloads ho chuke hai, jo ye btata hai ki logo ne ishe kitna pasand kiya hai.

Ish liye aapko bhi apni photo par shayri ya quotes likhne ke liye sabse pahle ish app ko apne mobile me install krna hoga.

Photo Par Shayri Likhne Wala App Kaise Download Kare ?


Ish app ko aap play store se ya abhi yaha click karke download kar skte hai.

Photo Par Shayri Likhe Online


Apni photo par shayri likhne ke liye niche ke steps follow kare.

1. Sabse pahle ish app ko mobile me download kare, aur uske baad ishe open kare. ( Mobile me internet connection ON rkhe. )

2. Uske baad iska home page ish trah se open hoga.

Photo par message shayri kaise likhe

Yaha aapko Create Picture Message par click krna hai.

3. Uske baad aisa page open hoga.

Create shayri picture

Yaha phir se Create Picture Message par click kare.

4. Phir aisa page open ho jayega.

Image par message likhe

( i ) Yaha thoda dhyan de, ager aapke pass pahle se shayri hai aur aap sirf ushe hi apni photo par lgana chahte hai to ish Write Your Shayri or Message wale option par click karke wo shayri likhe.

( ii ) aur ager aapke pass koi shayri nhi hai to koi baat nhi hai, kyunki ish app me aapko mood aur categories ke hisab se hajaro shayri, jokes, aur quotes mil jayenge, jinhe aap apni photo par lga skte hai.

To ager aapko ish app ki shayri, jokes ya status ko use krna ho to iske liye aapko photo me dikh rhe Hindi Shayri, Hindi Status, Hindi Thoughts ya Hindi Jokes par click krna hai.

Uske baad next page me aapko bahut si categories milengi, jaise Attitude, Love, Friendship, Sad Shayri etc, aapko inme se jis bhi type ki shayri photo par lagani ho ush par click kare.

Uske baad ush category se related aapke samne bahut sari shayri aa jayengi. Un me se aapko jo bhi shayri apni photo par lgani ho ush par click kar de, phir aisa page open ho jayega.

Attitude shayri

Yaha ager aap chahe to shayri ki font size, color aur shadow apne hisab se set kar skte hai. Sab set krne ke baad Next button par click kar de.

Uske baad aisa page open ho jayega.

Photo par message kaise likhe

1. Yaha click karke aap photo select kar skte hai. Ager aapko apni photo par shayri lagani ho to yaha click karke gallery se apni photo select kar le.

2. Yaha click karke aap shayri ya ish message ko edit kar skte hai.

3.  Yaha click karke aap isme stickers bhi add kar skte hai.

4. Ish option ki madad se aap shayri aur photo ki visibility ko control kar skte hai.

5. Ish option par click karke aap likhi hui shayri ko copy kar skte hai.

6. At last jab aapki image puri trah se tyar ho jaye, tab aap yaha click karke ush photo ko mobile gallery me save kar le.

Ok to ish trike se aap ish app ki madad se apni Photo par message, shayri, quotes, ya jokes likh skte hai.

FAQ

Photo Par Shayari Likhne Wala App Konsa Hai ?

All Festivals Suvichar app se hum apni photo par shayri likh sakte hai.

Khud Ki Photo Par Shayri Kaise Likhte Hai ?

Ish article me humne ek app ke bare me btaya hai, ush app ko madad se hum apni khud ki photo par shayri likh sakte hai.

Apni Photo Par Quotes Kaise Likhte Hai ?

Internet par aise kai apps hai jinke dwara hum apni photo par motivational quotes likh sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki photo par shayri, joke, status kaise likhe ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- photo par shayari likhne wala app, photo par shayri likhe online, shayari editing background, shayari photo editor,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ