Photo Ki Size Kam Kaise Kare ? How to Resize Photo

How to resize photo:-  Namskar dosto aaj ke ish article me hum aapko batane wale hai ki apne android mobile se kisi bhi photo ka size kam krne ke liye kya kare ? Ya photo ko resize kaise karte hai ? 

Mobile se photo ki size kam kaise kare

Dosto jaisa ki aap jante hai ki jab hum apne mobile se koi photo capture karte hai to uski size bahut jyada hoti hai. Ish liye hum uski size kam krne ki kosis karte hai taki use send ya upload karte samay jyada time na lge, iske alawa ager hume online koi form fill krna ho tab bhi hume ek fix length ke ander apni photo upload krni hoti hai. Ish liye ush time bhi hume high quality photo ko compress krne ki jarurat padti hai.

Iske alawa ager aap ek blogger hai tab bhi aapko apni blog posts ke liye pictures ki size kam karne ki jarurat padti hogi. Inke alawa image size reduce krne ka aapka reason kuch aur bhi ho skta hai. But reason chahe jo bhi ho humara main target apni photo ki size ko kam krna hota hai.

Ish liye yaha hum aapko ek aisa trika batane wale hai jiske dwara aap bahut hi aasani se apni photo ki size ko apni ichha anusar kam ya jyada kar skte hai.

Ji haa aapne bilkul sahi suna. Yaha hum aapko jo trika batane wale hai, uske dwara aap photo ki size ko kam to kar hi skte hai, sath hi ager aap chahe to apni photo size increase bhi skte hai.

To chliye abhi jyada samay waste na karte huye hum aapko bta dete hai ki wo konsa trika hai jiske dwara aap kisi bhi image ki size kam kar skte hai.

Photo Ki Size Kam Kaise Kare ? How to Resize Photo ?


Friends apne mobile se kisi bhi photo ki size kam krne ke liye hume kisi website ya application ki jarurat padegi. Waise to internet par aisi bahut sari sites aur applications hai, jinke dwara hum image compress kar skte hai. But yaha hum aapko sabse best application ke bare me bta rhe hai, jo ki photo ko compress krne ke baad bhi uski quality ko kam nhi karti hai.

Yani ki ager aap ish app se kisi photo ko compress krenge to uski quality par jyada effect nhi pdega. Ye app aapko low size me sabse best quality ki image compress karke dega.

To chliye abhi hum ish photo size convertor app ke bare me jan lete hai.

Friends ish application ka naam 'Photo & Picture Resizer' hai, jo ki photo resize krne ke liye play store ki sabse best app hai. Ish app se photo compress kaise karte hai ? Iske bare me janne ke liye niche ke steps follow kare.

1. Iske liye sabse pahle Yaha Click karke Photo & Picture Resizer app apne mobile me download kare.

2. Uske baad jab aap ishe open krenge to pahle aapko tutorial dikhaya jayega ki aap ish app ko kaise use kar skte hai. Aap ushe skip kar de. Phir aisa page open ho jayega.

Photo ko compress krne ka best app

Yaha aapko Select Photos par click krna hai.

3. Uske baad gallery se wo photo select kare jiski size aap krna chahte hai. ( Aap ek sath ek se jyada photos ki size bhi kam kar skte hai. But pahle ek image hi karke dekhe, taki aap ish app ko achhe se samjh ske. )

4. Phir aisa page open ho jayega.

Image resize kare

Yaha aapko Resize icon par click krna hai.

5. Uske baad ish trah se aapke samne kuch options aa jayenge.

Set dimensions

Yaha aapko Select Dimensions me se ek dimensions ko select krna hai, aasan bhasha me aap ush image ki size ko kitne percent tak kam krna hai ? Wo select kare. Aap chahe to custom size bhi dal skte hai.

Iske alawa ager aapko ush photo ki size increase krni ho, yani photo ki size ko increase krna ho to Width & Height wale options ki madad se aap photo ki size ko increase bhi kar skte hai.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.

Save photo after resize

Yaha aap dekh payenge ki ush photo ki size kam ho jayegi aur wo automatically file storage me save ho jayegi.

Ager aapko original photo ko hi nayi wali photo se replace krna ho to 'Replace Original Photo' par click kare, uske baad ush original photo ki hi size kam ho jayegi.

To ish trike se aap apne mobile se kisi bhi photo ko resize kar skte hai.

I hope ki kisi bhi photo ki size kam kaise kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.


FAQ

Photo Size Increase Kaise Kare ?

Photo Resizer app se aap photo ki size ko increase bhi kar sakte hai.

Best Photo Size Reducer App Konsa Hai ?

Photo & Picture Resizer app image ki size reduce karne ke liye kafi achha app hai.

Kya Photo Ki Size Kam Karne Se Uski Quality Khrab Hoti Hai ?

Agar aap photo ki size kam krenge to uski quality me fark jarur pdega.

Kya Bina Photo Ki Quality Khrab Kiye Size Kam Ki Ja Sakti Hai ?

Nahi, aisa koi bhi app nahi hai jisse se aap photo ki size kam karo aur quality khrab na ho.

Photo Ki Size 100Kb Ki Kaise Kare ?

Photo & Picture Resizer app se aap apni jarurt ke hisab se photo ki size kam ya jyada kar sakte hai.

MB Ki Photo Size Kb Me Kaise Kare ?

Photo & Picture Resizer app se ham photo ki size mb se kb me kar sakte hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ