Photo Ka Background Remove Krne Wala App Download Kare

How To Remove Image Background ?

Friends hum sabhi ke pass aisi bahut hi kam photos hoti hai, jinka background achha hota hai. In kuch photos ke alawa humari jyadatar photos ka background bahut hi khrab hota hai, jinme se kuch photos aisi bhi hoti hai jinme humari photo to kafi achhi aai hui hoti hai. But khrab background ke karan humari wo photo utni achhi nhi lgti hai.

To ab aisi situation me hum knhi na knhi ush photo ka background change krne ke bare me sochte hai. Ish liye hum internet par photo ka background change krne wala app download krne ki koshish karte hai. Taki hum apni favorite photos ka background change kar ske.

Photo ka background remove krne wala app download kare

Ab internet par to aise bahut sare apps hai jinke dwara hum kisi bhi photo ka background remove kar skte hai. But unme se jyadatar apps me hume manually photo ka background remove krna pdta hai. Ish liye unme photo ka background remove krne me kafi smay lag jata hai.

But yaha hum aapko ek aise app ke bare me batane wale hai jiske dwara aap bahut hi aasani se sirf ek click apni kisi bhi photo ka background remove kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum aapko ush app ke bare me bta dete hai.

Photo Ka Background Remove Krne Wala App Download Kare


Friends ish app ka naam Background Eraser hai. Aap ishe play store se ya abhi yaha click karke download kar skte hai.

Ish app ko use krne ke bare me batane se pahle me aapko btana chahunga ki ish aap se aap jis bhi photo ko edit krenge, wo image ke PNG format me save hogi. Ish liye aap ush image ko apne whatsapp stickers me bhi add kar skte hai.

Kisi bhi photo ko whatsapp stickers me kaise add karte hai ? Janne ke liye yaha click kare.

To abhi hum ish app ko use krne ke bare me jan lete hai.

1. To iske liye sabse pahle ish app ko apne mobile me install kare aur phir open kare.

2. Uske baad iska home page open ho jayega, wnha aapko 'Load a photo' ka option milega, aap ush par click karke apne phone me se wo photo select krni hai, jise aap edit krna chahte hai.

3. Uske baad aisa editing page open ho jayega.


Isme waise to kai options hai, but me aapko iske kuch main options ke bare me bta deta hu.

1. Ish option ki madad se aap apni photo me jitna area rkhna chahte ho utna mark karke rkh skte ho aur baki ka remove kar skte ho, ya aap jitna area remove krna chahte ho utna area mark karke ushe remove kar skte ho.

2. Ish option ki madad se aap puri photo me same color ko ek sath remove kar skte ho.

3. Ish option ko use tab kare jab aapko photo me apni pic ke pass ka area remove krna ho. Kyunki ager background remove karte smay brush aapki photo par bhi chla gya, tab bhi background ke sath aapki wali photo remove nhi hogi.

4. Ish option se aap manually photo ko erase kar skte hai.

5. Ager photo ka background remove karte samay aapki khud ki photo bhi galati se remove ho jaye to ish option ki madad se aap ushe wapas la skte hai.

6. Jab photo ka background completely remove ho jaye tab Done par click kar de.

Uske baad aisa page open ho jayega.


Photo ke background ko remove krne ke baad bhi jo pic hum rkhte hai, uske charo traf thoda bahut background baki reh jata hai, to ush background ko aap yaha photo ko smooth bna kar remove kar skte hai.

At last jab photo puri trah se edit ho jaye tab Save button par click kar de. Uske baad wo photo gallery me save ho jayegi, aur abhi aap uske background me koi dusri photo lga skte hai.

To ish trike se aap apni kisi bhi photo ka background remove kar skte hai. Ager aapko ish app ko use krne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Photo Background Remove Karne Wala Best App Konsa Hai ?

Background Eraser photo background remove krne ke liye best app hai.

Photo Ka Background Kaise Htaye ? 2024

Aap remove.bg ya Background Eraser app se kisi bhi photo ka background remove kar sakte hai.

Photo Ka Background Change Kaise Kare ?

Aap kisi bhi photo background remover app ya website se apni photo ka background remove karke koi dusra background lga sakte hai.

Sirf Ek Click Me Photo Ka Background Kaise Change Karete Hai ?

Aap Remove.bg website se sirf ek click me kisi bhi photo ka background change kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe... 

To friends I hope ki kisi bhi photo ka background kaise change karte hai ? Ye article aapko pasand aaya hoga. Ager ish article ke alawa bhi aapko android mobile, facebook aur whatsapp se related tricks padhni ho to aap niche categories me jakar ya search box me search karke padh skte hai. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ