How to Make Animation Videos Like Make Joke Of ?
Make Joke Of jaise cartoon video kaise bnaye ? Friends ager aap bhi meri trah Make Joke Of videos ke bahut bade fan hai aur inke videos aksar dekhte rehte hai to aaj ka article aapke liye bahut hi mazedaar hone wala hai. Kyunki aaj ish article me hum aapko ek aisi android app ke bare me btane wale hai jiske dwara aap khud bhi apne android mobile se make joke of jaise videos bna skte hai.To ager aap ab tak yahi soch rhe the ki aakhir make joke of jaise animation video kaise bnate hai ? Ya make joke of jaise cartoon wale videos mobile se kaise bnate hai ? To ye article aapke liye hi hai, ish liye ishe last jarur padhe.
Friends make joke of jaise animation video bnana bahut hi aasan hai. Hum apne computer ya android mobile se aise animation videos bna skte hai. Iske liye bas hume ek software ki jarurat pdegi. Jiske bare me maine aapko niche btane wala hu.
Ye Bhi Padhe...
Make Joke Of Jaise Cartoon Videos Mobile Se Kaise Bnaye ?
Apne android smartphone se make joke of jaise cartoon videos bnane ke liye sabse pahle aapko apne phone me ek application download krni pdegi. Jiska naam MJOC2 hai.Ager aapko android mobile chlane ka thoda bahut bhi knowledge hai tab bhi aap bahut hi aasani se ish app ki madad se make joke of jaise animation video bna skte hai. But yaad rhe ish app ko use krte samay aapke mobile me internet connection on hona chahiye, kyunki bina internet ke ye app kaam nhi krega.
To chliye abhi jyada time waste na karte huye hum jaan lete hai ki ish app ki madad se animation video kaise bna skte hai.
1. To iske liye sabse pahle aapko play store me jakar ya Ynha Click karke apne mobile me MJOC2 app download krna hai.
2. Uske baad ish app ko open krte hi aapko 30 points milenge. Jinse aap naye characters aur places unlock kar skte hai.
3. Phir aisa page open ho jayega.
Ynha aapko kuch Places milenge jaise Classroom, Office, Home, Temple, City etc. Inme se aapko kisi bhi ek scene par click karke ushe select krna hai.
4. Phir aisa page open ho jayega.
Ynha starting me aapko sirf 2 characters milenge, aap chahe to Add Characters par click karke aur bhi characters points ke dwara unlock kar skte hai. But pahle aap in 2 characters se hi video bnane ki practice kar le. Taki aapko ish app ko use krne ka thoda bahut experience ho jaye.
To in dono characters se video bnane ke liye aapko in dono par click karke inhe select krna hai aur uske baad Shooting par click kare.
5. Uske baad aapse kaha jayega ki aap ya to mobile ko headphone se connect kar le ya mobile ko silent kar le taki video me voice achhe se record ho ske. Aapko jo thik lge wo option choose kar le.
6. Uske baad aisa page open ho jayega.
Jaisa ki aap ynha dekh skte hai ki ynha hume bahut sare options mil jayenge jinse hum characters ko control kar skte hai. Ynha maine aapko short me in sabhi options ke bare me bta deta hu.
1. Ish par click karke aap video me alag alag background sound daal skte hai jaise aap make joke of ke videos me sunte hai.
2. Ish par click krke aap character se alag alag trike se dance krwa skte hai.
3. Ish par click karke aap dusre character par ja skte ho.
4. Ynha click karke aap character ke face ke expressions change kar skte hai jaise smile, angry, sad etc.
5. Ish joy stick ke dwara aap character ko ek jgah se dusre jgah move krwa skte hai.
6. Ynha click karke aap character se jump krwa skte hai.
7. Ish joy stick ke dwara aap camera ko control kar skte hai.
8. Ish option se aap camera ko zoom in aur zoom out kar skte hai.
9. Ye sabse important hai. Jab aapko video record krna ho tab pahle ish par click karke aapko recording start krni hogi, aur phir ish par click karke aap recording ko stop bhi kar skte hai.
10. Ynha click karke aap video me din aur raat ka scene shoot kar skte hai.
11. Ish par click krne se camera automatically sahi position le lega.
12. Ish par click karke aap ynha se exit karke wapas home page par ja skte hai.
To ish trah se in options ki madad se aap animation video bnate samay characters ko control kar skte hai.
Jab aapko video pura shoot ho jaye tab aapko ushe stop kar dena hai. Stop krne ke baad aapko ushe gallery me save krne ka option mil jayega so aap ush par click karke video ko gallery me save kar kate hai.
Note:- Ish app se make joke of jaise animation video bnate waqt aapko points ki jarurat kai baar pdegi, so aap apne points ko faltu me waste na kare. Ager aap chahe to in points ko purchase bhi kar skte hai aur kuch ads dekh kar aur games khel ke free me bhi points earn kar skte hai.
To ish trike se ish app ki madad se aap apne android mobile se hi make joke of jaise cartoon video bna skte hai.
Ye Bhi Padhe...
To friends I hope ki ye Make Joke Of jaise animation video mobile se kaise bnate hai ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
0 टिप्पणियाँ