Mobile Me Recycle Bin Kaise Use Kare

How to Use Recycle Bin in Android Mobile ?

Android mobile me Recycle Bin kaise use kare ? Friends aap Recycle Bin ke bare me jarur jante honge. Ager nhi jante hai to maine aapko btana chahunga ki recycle bin computer me ek aisa software hota hai jiski madad se hum computer se delete ki gyi kisi bhi parkar ki file ko wapas recover kar skte hai.

Computer me ager hum kisi file ko delete kar de to uske baad bhi hum ush delete ki gyi file ko recycle bin ki madad se wapas recover kar skte hai.

Computer me ye ek bahut hi kaam ka software hota hai jo ki kai baar humare bahut kaam aata hai, aur humari delete ho chuki important files ko wapas recover krne me humari madad karta hai.

But jaisa ki aap bhi jante hai ki ye software sirf computer me hota hai. Mobile me aisa koi software ya application nhi hota hai jis se hum apne mobile se delete ho chuki files ko wapas recover kar ske. Ish liye bahut sare dosto ka sawal hota hai ki mobile me recycle bin kaha hota hai ?

Ye Bhi Padhe...

But yaha hum aapko ek aisa trika batane wale hai jiske dwara aap apne android mobile me bhi recycle bin ko download kar skte hai aur apne phone me recycle bin ko use kar skte hai.

Android mobile me recycle bin kaise chlaye

Mobile Me Recycle Bin Kaise Use Kare ?


Friends mobile me recycle bin use karne ke liye pahle hume apne mobile me ishe install krna hoga.

To iske liye waise to internet par bahut sare apps available hai jo ki recycle bin ki trah hi kaam karte hai, but yaha hum aapko unme se sabse best app ke bare me bta rhe hai.

Ish app ka naam Dumpster hai. Play store par 4.2 rating ke sath ab tak iske 10 millions se bhi jyada downloads ho chuke hai jisse pta chlta hai ki logo ne ishe kitna pasand kiya hai.

To ager aapko bhi computer ki trah apne mobile me recycle bin add krna hai to iske liye aapko ish app ko apne mobile me install krna hoga.

Ish app ko aap play store me jakar ya abhi yaha click karke download kar skte hai.

Jab aap ishe open krenge to sabse pahle aapko Agree button par click karke iski terms and conditions ko accept krna hai.

Uske baad aisa page open ho jayega.

Recycle bin for mobile

Yaha Start With Basic par click kare.

Uske baad aisa page open ho jayega.

Mobile me recycle bin chlaye

Yaha aapko tutorial dikhaya jayega ki ye app kaise kaam krega, aap chahe to ishe dekh skte hai, nhi to Skip par click karke ishe skip bhi kar skte hai.

Bas iske baad ye app ready ho jayega, aur iske baad aapke mobile me se jab bhi koi file delete hogi to wo recycle bin ki trah ish app me aakar save ho jayegi. Jise aap jab chahe tab wapas recover kar skte hai.

To ish trike se aap computer ki trah apne android mobile me recycle bin add kar skte hai. Ager aapko ish app ko use krne me koi problem aaye ya aapko other koi sawaal ho to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Mobile Me Recycle Bin Kaha Hota Hai ?

Photo Video ke liye recycle bin phone ko gallery me hi sabse niche Trash/Bin naam se hota hai.

File Manager Me Recycle Bin Kaha Hota Hai ?

File manager ke liye recycle bin sirf kuch hi phones me hota hai sabhi phone me nahi hota hai.

Mobile Me Recycle Bin App Konsa Hota Hai ?

Dumpster app ko phone me install karne ke baad wo mobile ka recycle bin ban jata hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki android mobile me recycle bin kaise add kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- where is recycle bin in android phone, where is the recycle bin in my phone hindi

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ