Google Hindi Input Offline Tool Download Kare

Google hindi input download for pc:- Friends ager hume apne mobile ya computer me English ya Hinglish me kuch matter type krna ho, to tab to hum bahut hi aasani se wo type kar dete hai. But jab hume wo hi matter Hindi me type krna hota ho, tab hume ushe type krne me bhaut time lag jata hai, kyunki aaj tak humne English keyboard se typing ki hui hoti hai. Ish liye hindi keyboard se typing krne me hume bahut jyada time lag jata hai.

Iske solution ke liye android mobile ke liye aise bahut sare keyboard apps play store par mojud hai, jinse hum English keyboard se hi hindi bhasha me typing kar skte hai. Yani ki in keyboard se hum jo bhi likhte hai, wo hume hinglish me type karna hota hai aur mobile ki screen par wo sabhi words automatically hindi me type hote jate hai.

Iske alawa android mobile me hum bol kar bhi hindi me typing kar skte hai. Iske bare me humne ek article bhi likha hai. Aap niche click karke wo bhi padh skte hai.

Ye Bhi Padhe…

But yaha hum mobile ke bare me nhi balki computer me hindi me typing kaise karte hai ? iske bare me baat krne wale hai.

Computer me google hindi input offline tool download kare

Computer Me Hindi Me Typing Kaise Kare ?


To Friends jaisa ki aap jante hai ki computer me koi bhi paragraph hindi me type karna bahut muskil hota hai. Kyunki computer keyboard par hindi aksar nhi hote hai. Ish liye computer me hindi type krne me hume bahut jyada samay lag jata hai,Bas ishi liye hum sabhi yehi kosis karte hai ki mobile ki trah hum computer me bhi hinglish me typing karke hindi me likh paye.

To iske liye waise to internet par bahut sare tools mojud hai, jinke dwara hum apne pc me hindi me typing kar skte hai. But unme se jyadater tools online hi kaam karte hai. Ish liye jab humare computer me internet connection nhi hota hai tab hum apne pc me hindi me typing nhi kar pate hai.

But aapki jankari ke liye me aapko btana chahunga ki google ka ek tool hai jiska naam Google Hindi Input Tool hai. Ish tool ki madad se hum apne pc ya laptop me offline bhi hindi me typing kar skte hai.

But google ne haal hi me ish offline tool ko internet se remove kar diya hai aur ab hum google hindi input tool ko sirf online hi use kar skte hai. Ish liye ab ager aap google tool ki site par jakar check krenge to aapko google hindi input ka offline version nhi milega.

But aap chinta na kare, kyunki ish article me hum aapko google ke ush offline hindi input tool ka downloading link dene wale hai, jis par click karke aap ushe apne computer ya laptop me install karke use kar skte hai.

To chliye abhi hum aur jyada time waste na karte huye jan lete hai ki google ka offline hindi input tool kaise download kar skte hai ?


Google Hindi Input Offline Tool Kaise Download Kare ? 


Friends ish se pahle ki me aapko iska downloading link du, ush se pahle me aapko btana chahunga ki ish software ko aap window ke kisi bhi version me use kar skte hai, ish liye ager aapke pass Window-7, Window-8, Window-10 ya Window-11 me se koi sa bhi version ho, tab bhi aap ishe apne computer me install kar skte hai.

Google Offline Hindi Input Tool abhi download krne ke liye niche download button par click kare .


Ishe download krne ke baad aap simply ishe apne computer ya laptop me install kar le, uske baad niche Task Bar me English language par click karke aap ish Google Hindi Input Tool ko select karke hindi me typing kar skte hai.

Ye Bhi Padhe…

To ish trike se aap google hindi input offline tool download karke apne pc me offline hindi me typing kar skte hai. To friends I hope ki ye jankari aapko pasand aayi hogi, ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe pane dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ