Kisi Bhi Phone Ki Photos aur Videos Apne Mobile Me Kaise Dekhe

Dusre Mobile Ki Photos aur Videos Apne Phone Me Kaise Dekhe ?

Dosto aaj me aapke liye ek bahut hi mazedaar trick lekar aaya hu, jiske dwara aap apne kisi bhi friend, girlfriend, boyfriend, ya family member ki photos aur videos apne mobile me dekh skte hai.

Kisi ke bhi phone ki photos aur videos apne mobile me kaise dekhe

Ye ek bahut hi kamaal ki trick hai, jo humare kbhi bhi kaam aa skti hai. Ish liye sabhi android users ko ish trick ke bare me pta hona bahut jaruri hai. 

Ye trick aapke ush samay bahut kaam skti hai jab aap apni family aur friends se bahut dur ho, aur aapko unki photos aur videos apne mobile me dekhni ho. To ush time aap ish trick ki madad se unke mobile ki sabhi photos aur videos apne mobile me dekh skte hai.

Iske alawa ager aapko chori chupke apne kisi dost ya girlfriend/boyfriend ke mobile ki sabhi photos aur videos apne mobile me dekhni ho ? tab bhi ye trick aapke bahut kaam aayegi.

Inke alawa kisi dusre phone ki photos apne mobile me dekhne ka aapka apna koi aur reason bhi ho skta hai. Ish liye ish par hum jyada bate nhi krenge.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye aapko bta dete hai ki friend ke mobile ki sabhi photos aur videos apne mobile me kaise dekhte hai ya dusre ke phone ki gallery kaise dekhe ?


Friend Ke Mobile Ki Sabhi Photos aur Videos Apne Mobile Me Kaise Dekhe ?


Friends iske bare me batane se phale ek baat me aapko abhi bta dena chahunga ki ish trick ko use krne ke liye aapko ush mobile ki bhi jarurat pdegi, jiski photo aur videos aapko apne mobile me dekhne hai. Kyunki yaha batayi gyi jyadatar settings aapko ushi mobile me krni hogi.

Ager wo mobile aapse bahut dur ho to aap ish post ka link ush person ko send kar de, taki wo yaha batayi gyi process apne mobile me kar ske, aur uske baad aap uske mobile ki photos aur videos dekh paye.

To chliye abhi me aapko step by step bta deta hu ki aapko kya krna hai.


Kisi Bhi Phone Ki Photos aur Videos Apne Mobile Me Kaise Dekhe


1. Sabse pahle ush mobile me internet connection on karke Google Photos application download kare, jis mobile ki photos aapko dekhni hai. Waise to Google Photos application sabhi mobiles me pahle se installed hoti hai. But ye feature iske latest version me jyada achhe se kaam karta hai. Ish liye ushe update jarur kar le.

Google Photos app ko aap niche download button par click karke ya play store me jakar download/update kar skte hai.


2. Ishe download/ update krne ke baad ishe open kare.

Ab ager aapne ush phone pahle se koi gmail id sign kar rkhi hai to ish trah ka page open ho jayega.


Aur yaha aapko backups ke liye ush gmail id ko use krne ke liye puchha jayega. Yaha aapko 'Confirm' par click kar dena hai.

Iske alawa bhi ager ye app kisi parkar ki aur permission mange, jaise sd card ko access krne ki, etc. to aapko permission de deni hai.

Iske alawa ager ush mobile me pahle se koi gmail log in nhi hui to aapko pahle usme koi bhi ek gmail id se log in krna hoga. To aap gmail id aur password dalkar usme sign in kar le.

Ye Bhi Padhe...

3. Uske baad iska home page ish trah se open ho jayega.


Ish page ke Photos section me jab ush mobile ki sabhi photos aur videos dikhane lag jaye, tab Sharing option par click kare.

4. Uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Share with Partner par click krna hai. ( Ye option ager ush mobile me clickable na ho to aap 5 minutes wait kare, phir aap ish option par click kar payenge.

5. Share with Partner par click krne ke baad aisa page open hoga.


Yaha aapko Choose starting date me 'All Time' aur Choose photos to share me 'All Photos' select rkhna hai aur fir niche Select Partner par click krna hai.

6. Uske baad next page me aapko apni gmail id ka full address dalna hai. Uske baad niche aapki photo ke sath gmail id aa jayegi, ush par click kar de.


Note:- Yaha aapko wo gmail id dalni hai jo abhi aapke khud ke mobile me log in hai.

7. Uske baad aisa page open ho jayega.


8. Yaha 'Confirm' button par click kare.

9. Uske baad ya to invitation send ho jayega. Ya aapse ush mobile me jo gmail id log in hai, uske password dalne ke liye bola ja skta hai. To ager aapse gmail ke password mange to aap password dal kar Next button par click kar de. Phir wo invitation send ho jayega.

Ab ush mobile me sari settings ho chuki hai. Abhi baki ki settings aapko apne mobile me krni hogi. Ish liye niche btaye gye sabhi steps apne khud ke mobile me follow kare.

1. Sabse pahle Gmail Application me jaye, waha aapko ush invitation ka mail aaya hua milega, ushe open kare.

2. Ush mail me 'Open Google Photos' ka ek button hoga, ush par click kare.

3. Uske baad next page me ush invitation ko Accept kare.


4. Uske kuch seconds ke baad ush mobile ki sabhi photos aur videos aapke samne ish trah se open ho jayenge.


Yaha ager aap in photos aur videos ko apne mobile me save krna chahe to ish 'Turn on auto save' option par click karke All Photos select karke Done par click kar de.

Uske baad ush mobile ki sabhi photos aapke phone me save hona start ho jayegi. But ish puri process me aapko mobile ka internet connection on hona chahiye.

Photos save hone me thoda time lgega. Ish liye aapko thoda wait krna pad skta hai. But wo sabhi photos aur videos aapke mobile me save jarur ho jayenge.

Ab me aapko ish trick ki sabse khas baat batata hu. Wo ye hai ki ish setting ko ek baar set krne ke baad ush mobile me future me jab bhi koi nayi photo ya video aayega to wo aapke mobile me bhi dikhayega.

Ush mobile me koi nayi photo ya video aaya hai ya nhi ? Ye check krne ke liye aapko her baar apne mobile me ush invitation mail me jakar 'Open Google Photos' par click karna hoga. Uske baad ush mobile ki new photos aur videos bhi aapke mobile me dikha diya jayega.

Ok to ish trike se aap apne kisi bhi friend, girlfriend, boyfriend ya other kisi bhi person ke mobile ki photos aur videos apne mobile me dekh skte hai.

Ager aapko ish puri process me koi bhi problem aaye, ya aapka koi other sawaal ho to aap comment karke puchh skte hai.

FAQ

Kya Ham Dusre Phone Ki Photo Apne Phone Me Dekh Sakte Hai ?

Ham kisi bhi phone ki photo apne phone me dekh sakte hai. Iske liye hame ush phone me mojud Google Photos app me Sharing feature ka istemal krte huye khud ko invite krna padta hai.


Dusre Phone Ki Photo Apne Phone Me Kaise Dekhe ? 

Android mobile me mojud Google Photos app ki madad se ham dusre phone ki photo apne phone me dekh skte hai. Iska pura process ish article me btaya gya hai.


Kya Dusre Ka Phone Liye Bina Uski Photo Dekh Sakte Hai ?

Nahi, aisa possible nahi hai. Agar aap dusre phone ki photo dekhna chahte hai to iske liye aapko thodi der ke liye ush mobile ki jarurt pdegi. 

Girlfriend/Boyfriend Ke Phone Ki Photo Apne Phone Me Kaise Dekhe ?

Google Photos app me mojud Sharing feature ka istemal karte huye huye aap apne boyfriend ya girlfriend ke phone ki sari photo apne phone me dekh sakte hai. 


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki kisi bhi mobile ki photos aur videos apne mobile me kaise dekhte hai ? Ye jankari aapko pasand aayi hogi. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Friends ager aapko android mobile, facebook, whatsapp se related aur bhi tricks padhni ho to aap niche categories me jakar ya search box me search karke pdh skte hai.

Tags:-  google photos share all photos with family

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ

  1. Bai mera एक सवाल है कि ये सभी कितने लोगो का देख सकते है कितने g-mail id ka dekh sakte hai please bata dena yarr bahut jaruri hai aisa vaisa mat samjhna mai जानना चाहता हूं ये सब चीज ठीक है byy

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. जितनी आप चाहे, उतनों को ऐड कर सकते है, कोई प्रॉब्लम नही ह

      हटाएं
  2. नही दिखेगी, आप खुद के ऐप्प में फोटोज बैकअप बन्द करके रखना

    जवाब देंहटाएं