Android Mobile Me YouTube Ki Theme Kaise Change Kare

Android mobile me youtube ki theme kaise change kare ? Friends ager aap apne android mobile me youtube application use karte hai to aaj ka article aapke liye bahut hi useful hone wala hai, kyunki aaj ish article me hum aapko batane wale hai ki apne android smartphone me youtube application ki theme kaise change karte hai.

Android Mobile Me YouTube Ki Theme Kaise Change Kare

Friends jaisa ki aap jante hai ki youtube application ka background white color ka hota hai. Ish liye jab hum raat ko ( night ) me youtube application use karte hai to iske white color se humari eyes ( aankho ) par bahut jyada negative effect pdta hai. Ish liye hume raat ko youtube use karte samay iski theme change karke dark ya black kar leni chahiye taki humari aankho par iska jyada effect na pde.

Ye Bhi Padhe...

But jaisa ki aap jante hai ki youtube android application me pahle aisa koi option nhi tha jis se hum iski theme change kar ske, but abhi aisa nhi hai. Youtube ne haal hi me youtube android application me bahut sare new features add kiye hai, jinme se ek iski theme change krna bhi hai.

Ish liye abhi hum apne android mobile me youtube ki theme bhi change kar skte hai. But youtube me ish feature ke aane ke baad bhi bahut se logo ko iske bare me nhi pta hai, ish liye wo youtube ke ish feature ka fayda nhi uthate hai. Iske alawa kuch logo ko iske bare me pta hone ke baad bhi wo iska istemaal nhi karte hai.

But aapko aisa nhi krna hai, kyunki youtube ne ye feature humare fayda ke liye hi add kiya hai, ish liye hume iska istemaal bhi jarur krna chahiye, taki raat ko youtube chlate samay humari aankho par koi galat effect na pde.

Youtube Ki Theme Kaise Change Kare ?


Friends apne android mobile me youtube application ki theme change krne ke liye humne kuch steps btaye hai inhe follow kare.

1. Sabse pahle apne mobile me youtube application ko update kare. Youtube app ko abhi update krne ke liye yaha Click Kare.

2. Uske baad Youtube App open kare aur profile icon par click kare.

3. Uske baad Settings par click kare.


4. Phir kuch options aayenge, aapko General par click krna hai.

5. Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Dark Theme krna hai, bas uske baad aapke mobile me youtube ki theme change ho jayegi aur wo white se black color ki ho jayegi.

Iski theme black ya dark krne ke baad jab aap youtube app use krenge to aapki aankho par jyada effect nhi pdega, ish liye youtube ke ish new feature ka istemaal jarur kare.

Ager aapko ish dark theme ko wapas white krna ho to aap Youtube Settings me jakar Dark Theme ko wapas off kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki youtube ki theme kaise change kare ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Tags:- youtube black and white setting, how to change youtube black and white to color, why is my youtube background white/ black,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ