Android mobile me spyware apps ko kaise uninstall kare ? Friends aaj ki post aapki privacy aur security se related hai, ish liye ish article ko last tak jarur padhe. Kyunki ish article hum aapko batane wale hai ki mobile me install kiye gye spy apps ka kaise pta lgate hai ? ya mobile me se spy apps ko wapas uninstall ya delete kaise karte hai.
But ush se pahle me aapko short me ye bta deta hu ki Spyware Apps konse hote hai ? Ya Spyware app kise kehte hai ?
Spyware Apps Kya Hota Hai ?
Friends internet par aaj kal aise bahut sare apps aa gye jinko hum kisi ke bhi mobile me ek baar install karke ush mobile ki photos, videos aur baki sara ka sara data apne mobile me dekh skte hai. Inhi apps ko spy apps kaha jata hai.
In apps ki sabse khas baat ye hoti hai ki inko ek baar kisi bhi mobile me install krne ke baad ye ush mobile me se hide ho jate hai. Ish liye jis mobile me inhe install kiya jata hai, unhe kabhi bhi pta nhi chlta hai ki unke mobile me ish trah ka koi app bhi install hai, aur jisne ush spy app ko unke mobile me install kiya hota hai wo ush mobile ka data churata rehta hai, jo ki kisi bhi mobile user ki privacy ke against hai.
Aaj kal in spy apps ke bare me her koi janta hai ish liye bahut se log apne friends, colleague, girlfriend ya boyfriend ke mobile me in apps ko install karke unka data apne mobile me dekhte rehte hai.
Ab aise me ho skta hai ki aapke mobile me bhi kisi ne ish trah ko koi app install kar diya ho, ish liye aapko bhi ek baar jarur check kar lena chahiye ki knhi aapke mobile me bhi to koi spy app install nhi hai ?
Apne mobile me Spyware Apps ko kaise search karte hai ? Ya mobile me se spy apps ko kaise remove kare ? Iske bare me janne ke liye niche btaye gye steps follow kare ?
Android Mobile Me Spyware Apps Ko Kaise Uninstall Kare ?
1. Friends apne android mobile me se spyware apps ko scan karke delete krne ke liye aapko sabse pahle apne mobile me ek Spyware Remover app download krna hoga. Spyware Remover app download krne ke liye Yaha Click kare.
2. Uske baad jab aap ishe open krenge to aapko ishe Pro me upgrade krne ke liye puchha jayega, app Not Now par click kar de.
3. Uske baad next page me Scan button par click kar de.
Phir ye app aapke mobile ko scan krna start kar dega. Scanning ke doran ager aapke mobile me koi spy app mojud hua to ushe ye aapke samne la dega, aur wnhi par aapko ushe mobile se remove krne ka option bhi mil jayega. Aur ager aapke mobile me koi spy app nhi hua to ek message show hoga ki "Your device is clean." Jiska matlab hoga ki aapke mobile me koi bhi spy app nhi hai.
To ish trike se aap apne mobile me se spyware apps ko search karke unhe apne mobile me se uninstall ya delete kar skte hai.
FAQ
Spy Apps Ko Delete Karne Wala App Konsa Hai ?
Spy apps ko mobile me dhundh ke delete krne wale app ka naam Spyware Remover hai.
Mobile Me Hidden Apps Kaise Dundhe ?
Aap Spyware Remover app ko download kare, ush se aap phone ke sare hidden apps dundh sakte hai.
Mobile Me Koi Hidden App Hai Ya Nahi Kaise Check Kare ?
Ish article me humne ek app ke bare me btaya hai ush app se aap mobile ke sare hidden apps ko search kar sakte hai.
Ye Bhi Jarur Padhe...
To friends I hope ki android mobile me se spy apps ko kaise delete karte hai ? Ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
Tags:- How to delete spy apps on android mobile, how to uninstall hidden spy phone app on android, how to remove a spy app from phone,
0 टिप्पणियाँ