Jio Phone Me Xender Se Files Transfer Kaise Kare

How to Use Xender App in Jio Keypad Phone ?


Jio Phone Me Xender Se Files Transfer Kaise Kare ? Friends jaisa ki aap jante hai ki jio ne apne 2 keypad phones market me launch kar diye hai, jinhe lakho logo ne use krna shuru kar diya hai. Rajasthan me jio phone kuch jyada hi popular ho rha hai, kyunki rajasthan government ki ek scheme ke anusar Rajasthan me jio phone sirf 95 rupay ( Term & Conditions Applied ) me mil rha hai. Ish liye Jio mobile bhi jio sim ki trah bahut hi kam samay me bhaut jyada popular ho gya hai.

Iske users badne ki sabse badi wjah ye hai ki isme aise bahut sare features available hai jo ki baki other featured phones me available nhi hai. Unke alawa jio phone me aise bhi bahut se features load kiye gye hai jo ki sirf android mobiles me hi available hai.

Ishi karan se bahut hi kam samay me jio keypad mobile itna jyada popular ho gya hai aur lokho logo ne ishe use krna start kar diya hai. I am sure ki aapke pass bhi Jio Keypad mobile jarur hoga.

To ab kyunki itne logo ke pass jio keypad mobile hai to basic si baat hai ki hume ush jio phone me other android phone se apna data jaise photos, videos, audios etc share krne ki jarurat padti rhti hai.

But kyunki aap jante hai ki keypad mobile me files transfer krne ke liye sirf Bluetooth hi available hota hai, jiski data transfer krne ki speed bahut hi kam hoti hai. Ish liye hum keypad mobile me jyada speed se data transfer nhi kar skte hai.

But aaj hum aapko ek aisa trika btane wale jiske dwara aap apne jio phone me xender chla skte hai aur xender se android mobile aur jio phone ko connect karke apne data jaise photos, videos, audios etc ko bahut hi kam samay me transfer kar skte hai.

jio phone me xender kaise download kare

To ager aap bhi abhi tak yahi soch rhe the ki jio phone me xender kaise chlate hai ? ya xender se jio phone ko android mobile se connect karke data transfer kaise karte hai ? to ye article aapke liye bahut hi helpful hone wala hai, ish liye ish article ko last tak jarur padhe.

Ye Bhi Jarur Padhe...


Jio Phone Me Xender Se Files Transfer Kaise Kare ?


Friends jio phone me xender se koi bhi file transfer krne ke liye aapke pass kuch chije honi chahiye, tabhi aap aisa kar payenge, jo ki ye hai.

1. Ek jio phone hona chahiye.

2. Ek android mobile hona chahiye, jisme xender installed hona chahiye.

3. Ush android mobile me internet data bhi hona chahiye.

To ager aapke pass ye 3 chije hai to aap aisa kar skte hai. To chliye abhi hum maan lete hai ki aapke pass upper btayi gyi tino chije hai, ish liye abhi hum aapko bta dete hai ki xender se android mobile ki files ko jio keypad phone par share kaise karte hai.

Xender Se Android Mobile Ki Files Ko Jio Phone Par Kaise Share/Transfer Kare ?


To iske liye aapke niche btaye gye steps ko dhyan se padhna hai aur follow krna hai.

1. Sabse pahle ush android mobile me internet connection On kare, jise aap jio keypad phone se connect krna chahte hai.

2. Uske baad ush android mobile me Xender app ko download kare. Ager ush me xender pahle se download ho to ushe update kar le. Xender ko update krna jaruri hai kyunki ye feature sirf xender ke latest version me hi add kiya gya hai.


3. Uske baad Xender ko open kare aur usme Profile Icon par click kare.

4. Phir ish trah se aapke samne kuch options aa jayenge.

connect jio phone to xender

Ynha apako Connect to Jio Phone par click krna hai.

5. Uske baad next page me Create Hotspot par click kare.

6. Phir aisa page open ho jayega.

jio keypad mobile ko android mobile se xender se connect kaise kare

Ynha aapko jio phone ko xender se connect krne ke liye 3 stesp btaye jayenge, jinhe aapko follow krna hai.

1. Sabse pahle apne jio mobile ki Settings me jakar Wi-Fi ko on kare aur ush android mobile ke Hotspot se ushe connect kare.

2. Uske baad Jio Phone me internet browser ko open kare.

3. Uske baad browser ke URL box me aapko ye wala code dalna hai. ( Ynha aapko ush android mobile ke xender me jo code milega, wo dalna hai.

Jab aap code ko bilkul sahi se dal de to uske baad search button par click kar de, bas uske baad ush jio mobile me xender open ho jayega aur aapke samne ush android mobile ki sabhi files jaise photos, videos audios etc aa jayenge, jinhe aap ek click me apne jio mobile me download ya copy kar skte hai.

To ish trike se aap xender se apne jio keypad phone ko android mobile se connect karke android mobile ki files ko jio phone me transfer kar skte hai. Ager ish process me apako koi problem aaye ya aapka koi sawaal ho to aap niche comment box me comment karke puchh skte hai.

Ye Bhi Jarur Padhe...

To friends  I hope ki jio phone me xender se files transfer kaise kare ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgo ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

5 टिप्पणियाँ