Whatsapp Par Hume Kisne Block Kiya Hai ? Kaise Pta Kare

How To Know If Someone Block Us On Whatsapp ?


Whatsapp par mujhe kisne block kiya hai ? kaise pta kare ? friends aap apne phone me whatsapp to jarur use karte honge, kyunki india me whatsapp inta jyada popular hai ki log apne mobile me kuch kare na kare but whatsapp jarur use karta hai.

So ishi liye aaj ish post me hum aapko ek aisi whatsapp trick batane wale hai jiske dwara aap sirf 1 minute me pta lga skte hai ki whatsapp par aapko kisne block kiya hai ? Ya kaise pta kare ki humara number block hai

Whatsapp Par Hume Kisne Block Kiya Hai ? Kaise Pta Kare

To ager aap whatsapp par apne kisi friend ko lekar confuse hai ki usne aapko block kar rkha hai ya nhi to ye post aapke bahut kaam aa skti hai.

Kyunki yaha btaye gye trike se aap sirf kuch hi seconds me jan skte hai ki Whatsapp par hume block kiya gya hai ya nhi ? ya ager hume whatsapp par koi block kare to uska pta kaise lgate hai ?

To ager aapki apni girlfriend, boyfriend ya other kisi friend se aapki kuch narajgi ho gyi hai aur ish liye ager aapko doubt hai ki usne aapko whatsapp par block kar diya hai aur ishi liye ager aap confirm karna chahte hai ki usne aapko whatsapp par block kiya hai ya nhi ? to ush samay ye whatsapp trick aapke bahut hi kaam ki sabit ho skti hai.

Ye Bhi Jarur Padhe...

Whatsapp Par Hume Kisne Block Kiya Hai ? Kaise Pta Kare ?


Friends whatsapp par hume kisi ne block kiya hai ya nhi ? iske bare me pta lgana bahut hi aasan hai. Waise to whatsapp me aisa ko option nhi hai jis se hum ye pta lga ske. But yaha hum aapko ek aisi whatsapp trick batane wale hai jiske dwara aap bahut hi aasani se jan skte hai ki Whatsapp par hume humare konse contact ya friend ne block kiya gya hai.

To iske bare me janne ke liye aapko niche btaye gye steps follow karne hai.

1. Sabse pahle apne mobile me Whatsapp open kare.

2. Uske baad apni whatsapp me 3 dots par click karke 'New Group' par click kare.

3. Uske baad aapke samne whatsapp contact list open ho jayegi. Yaha aapko ush number par log press karke ushe select karna jis par aapko doubt hai ki usne aapko block kiya hai.

4. Uske baad Next icon par click kar de.

5. Uske baad next page me aapko group ke liye ek naam create krne ke liye kaha jayega so aap kuch bhi naam dal de aur group create kare.

Ab yaha aapko thoda dhyan dena hai, kyunki ager ush person ne aapko whatsapp par block kar rkha hai to aapke samne ek error ayegi ki aap ish number ko group me add nhi kar skte hai kyunki isne aapko block kar rkha hai. Jis se ager usne aapko block kar rkha hoga to aapko uske bare me pta chal jayega.

But kai baar wo error nhi aati hai, ish liye aap group create krne ke baad ek baar group member list me jakar check kare ki wo number ush list me hai ya nhi ? ager wo number aapko group member list me na mile to samjh jaiye ki usne aapko whatsapp par block kar rkha hai.

Aur ager wo number aapko group member list me dikhaye to iska matlab hai ki usne aapko block nhi kiya hai.

Ok to ish trike se aap sirf kuch seconds me pta lga skte hai ki whatsapp par hume humare konse friend ne block kiya hai. ya hume whatsapp par samne wale ne block kar rkha hai ya nhi ?


FAQ

Kaise Pta Kare Ki Humara Whatsapp Number Block Hai ? 

Aapka number kisi ne block kar rkha hai ya nahi iska pta lgane ke liye aap ek new group create kare aur usme ush number ko add kare, agar usne aapko block kar rkha hoga to wo group me add nahi ho payega.

Kya Hum Pta Lga Sakte Hai Ki Usne Humara Whatsapp Number Block Kar Rkha Hai Ya Nahi ?

Ji haa aap pta lga sakte hai, iske liye aapko ek new group bnana pdega, agar usne block kar rkha hai to aap ush number ko group me add nahi kar payenge.

Agar Koi Humara Whatsapp Number Block Kar De To Kya Kare ?

Agar koi aapke whatsapp number block kar deta hai to iska matlab usko aapse baat krne me koi interest nahi hai, to achha yahi hai ki aap bhi ushe block kar de ya aap kuch bhi na kare bas ushe ignore kar de.


Ye Bhi Jarur Padhe...

To friends I hope ki whatsapp par hume block kiya gya hai ya nhi ? kaise pta kare ? ye jankari aapko jarur pasand aayi hogi. Ager aapko ye article achha lga ho to please ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ