Whatsapp Par Ek Sath 5 Se Jyada Logo Ko Message Forward/Send Kaise Kare

Whatsapp par 5 se jyada logo ko message send/ forward kaise kare ? Friends jaisa ki aap jante hai ki haal hi me whatsapp me ek nya update kiya hai jiske karan ab hum whatsapp par ek sath maximum sirf 5 contacts ya groups me hi koi message send ya forward kar skte hai.

Whatsapp Par Ek Sath 5 Se Jyada Logo Ko Message Forward/Send Kaise Kare

Whatsapp ne ye update ish liye kiya hai taki India me fake news's aur messages ko viral hone se roka ja ske. Waise dekha jaye to fake messages ya posts ko rokne ke liye whatsapp ka ye ek bahut hi achha kadam hai jis se ummid ki ja skti hai ki shayad ab whatsapp par koi bhi post utni jaldi viral nhi hogi jitni pahle hoti thi.

Abhi dekha jaye to whatsapp to puri kosis kar rha hai ki uske dwara koi bhi fake post viral na ho but hum whatsapp users ki bhi ye duty hai ki hum bhi whatsapp par kisi bhi fake news ya post ko kisi ko forward na kare, taki koi bhi fake news viral na ho paye.

Ish liye me khud bhi personally aapse request krna chahunga ki jab tak aapko kisi post par 100% viswash na ho ki ye real hai, tab tak ushe whatsapp par kisi ko forward na kare.

To ab kyunki whatsapp ne ye update kar diya hai ish liye ab hum whatsapp par ek sath jyada se jyada sirf 5 logo ko hi koi message, photo ya video send kar skte hai. But kai baar kisi event ya occasion par hume ek message humare sabhi friends aur contacts ko bhejna hota hai. So ush time ager hum 5 -5 logo ko message send krenge to usme bahut time lag jata hai. Ish liye ush time hume whatsapp par ek sath 5 se jyada logo message send krne ki jarurat pad jati hai.

Ish liye aaj ish article me maine aapko ek aisi trick batane wala hu, jiske dwara aap whatsapp par kisi bhi message ko ek sath 256 logo tak send kar skte hai, aur iske liye aapko koi third party application download krne ki bhi jarurat nhi pdegi. Aap whatsapp me hi ek sath 5 se jyada logo ko message forward kar skte hai.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye me aapko bta deta hu ki whatsapp par ek sath 5 se jyada logo ko message forward kaise karte hai ?

Ye Bhi Padhe...

Whatsapp Par Ek Sath 5 Se Jyada Logo Ko Message Forward Kaise Kare ?


1. Iske liye sabse pahle apne mobile me whatsapp open kare.

2. Uske baad 3 dots par click kare.

3. Phir New Broadcast option par click kare.

4. Phir aapke samne aapke sabhi contact numbers aa jayenge, un me se aapko un logo ko select karke ek list bnani hai, jinhe aap ek sath message send krna chahte hai, aap maximum 256 logo ko select kar skte hai.

5. Uske baad Right button par click kar de. Bas uske baad ek new broadcast list create ho jayegi aur uske baad aapko jo bhi message un sabhi logo ko send krna ho wo jab aap ush list me ek baar send kar denge to wo un sabhi ke pass chla jayega, chahe usme kitne bhi log kyu na ho.

Ish trah se aap whatsapp par apni family, friends ya co-workers ki alag alag broadcast list bna kar unhe ek sath koi bhi message send kar skte hai.

Note:- Ager aap soch rhe hai ki Broadcast List bhi whatsapp group ki trah hoti hai to me aapko bta du ki aisa bilkul bhi nhi hai. Broadcast list whatsapp group ki trah nhi hai. Balki ye humare dwara select kiye gye contacts ki list hoti hai, jo sirf humare whatsapp me dikhai deti hai aur isme hum jo bhi message, photo ya video send karte hai wo un sabhi logo ko aapke whatsapp number se send ho jate hai.

To ish trike se aap broadcast list ki madad se whatsapp me ek sath 5 se jyada aur maximum 256 logo ko ek sath koi bhi message forward kar skte hai.

Note:- Dosto unfortunately whatsapp me ab broadcast feature available nahi hai. Whatsapp ne broadcast ki jagah community feature update kar diya hai. Whatsapp community feature broadcast feature se kafi alag hai isliye ish se aap ek sath 5 se jyada logo ko message send nahi kar payenge.


FAQ

Whatsapp Me You Can Only Share With Up To 5 Chats Ka Matlab Kya Hota Hai ?

Ish message ka matlab hota hai ki aap ek sath jyada se jyada sirf 5 logo ko hi koi message bhej sakte hai.

Kya Ham Whatsapp Par Ek Sath 5 Se Jyada Number Par Message Bhej Sakte Hai ?

Ji haa aap aisa kar sakte hai, whatsapp par new broadcast bna kar aap ek sath 5 se jyada number par message bhej sakte hai.

Whatsapp Par Ek Sath 5 Se Jyada Logo Ko Message Forward Kaise Kare ?

Whatsapp par ek sath 5 se jyada logo ko message forward karne ke liye aapko whatsapp broadcast feature ka istemal karna hoga.

Whatsapp Par Ek Sath Kitne Logo Ko Message Send Kar Sakte Hai ?

Whatsapp ek sath jyada se jyada 5 logo ko message forward karne ka option deta hai. Par yaha btaye gye trike se aap ek sath 256 logo ko message send kar sakte hai.


Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki Whatsapp par 5 se jyada logo ko message send/forward kaise kare ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ