Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi Bhasa ( Language ) Me Chat Kaise Kare

Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi ( Language ) Me Chat Kaise Kare ? Friends aaj ek baar phir se maine aapke liye whatsapp ki ek bahut hi kmaal ki trick lekar aaya hu, jise aap Whatsapp ke sath sath Facebook, Twitter, Instagram ya other kisi bhi app me use kar skte hai.

Ish article me maine aapko ek aisi keyboard application ke bare me batane wala hu jisse jab aap apni local language me typing krenge to text box me type kiye gye keywords automatically aapki choose ki gyi other language me translate hote jayenge.

Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi Bhasa ( Language ) Me Chat Kaise Kare

Jaise ki maan lijiye ki aapki local language Hindi hai, aur aap sirf Hindi bhasa me hi typing kar skte hai. To aisi situation me ager aapko kabhi English, Panjabi, Tamil, Talgu ya other kisi language me typing krni ho to aap nhi kar payenge.

But ish keyboard app ki madad se aap aisa kar skte hai. Kyunki jab aap ish keyboard ko use karte huye kisi word ya sentence ko Hindi me likhenge to wo word ya sentence automatically hi English, Panjabi, Tamil, Talgu ya aapki choose ki language me translate hota jayega, aur jab message pura type ho jaye to uske baad aap ushe samne wale ko send kar skte hai.

So ager aapka koi dost aapki language nhi janta hai, to uske sath whatsapp ya facebook par chatting krne ke liye ye app aapke bahut kaam aa skta hai, ye app aap dono ke bich ek translator ka kaam krega.

Ye Bhi Padhe...

Friends waise to aapko internet par aise aur bhi bahut se apps mil jayenge, jinse aap kisi bhi language ko kisi bhi language me translate kar skte hai. but unhe use krne ke liye aapko baar baar text ko copy paste krna pdega. Ish liye ager aapko kisi person se other language me chatting hi krni hai to ye app aapke liye sabse best rhega, kyunki isme aapko coy paste krne ki jarurat nhi pdegi. aap jo bhi message type krenge wo wnhi text box me hi automatically smane wale ki language me translate ho jayega.

To chliye abhi jyada time waste na karte huye maine aapko bta deta hu ki whatsapp par kisi bhi language me chatting kaise karte hai ?

Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi Language Me Chat Kaise Kare ?


1 Iske liye sabse pahle aapko play store se Gboard naam ka ek app download krna hoga. Ye Google ka hi ek app app hai jisme aapko aur bhi bahut sare features milenge.

Ish app ko abhi download krne ke liye yaha click kare.

2. Download krne ke baad ishe open kare aur ish keyboard ko enable kar le.

3. Phir next page me Select Input Method par click karke Gboard ko select kare.

4. Uske baad aapko jiske pass bhi other language me message send krna hai, uski chatting open kare aur typing start krne ke liye text box par click kare.

5. Uske baad Gboard Keyboard ish trah se open ho jayega.

Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi Bhasa ( Language ) Me Chat Kaise Kare

Yaha aapko sabse pahle Google Icon par click krna hai. Uske baad Translator Icon par click kare. Jab aap translator icon par click krenge to aapke samne ek message show hoga, wnha Ok par click kar de.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.


( i ) Yaha aapko Hindi ya apni local language select krni hai.

( ii ) Yaha apne friend ki bhasa ya wo language select kare, jisme aap apne message ko translate krna chahte hai.

8. Bas uske baad jaise jaise aap typing krenge, aapke type kiye gye keywords sath sath me translate hote jayenge, aur jab pura message type ho jaye to uske baad aap ush message ko samne wale ko send kar skte hai.

To ish trike se aap whatsapp, facebook, twitter, instagram ya other knhi bhi kisi bhi language me chat kar skte hai. I hope ki Whatsapp, Facebook Par Kisi Bhi Bhasa ( Language ) Me Chat Kaise Kare ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ish article ko apne dosto ke sath bhi jarur share kare.


FAQ

Whatsapp Par Language Translate Krne Wala App Konsa Hai ?

Ham apne mobile me Gboard app download krke direct whatsapp par hi kisi bhi langauge ko translate kar sakte hai.

Whatsapp Chat Me English To Hindi Translation Kaise Kare ?

Aap apne mobile me Gboard Keyboard download karke direct whatsapp chat me hi English to Hindi language translation kar sakte hai.

Kya Ham Whatsapp Par Bhasha Badal Kar Chat Kar Sakte Hai ?

Ji haan, android mobile ke liye Gboard naam se ek keyboard app aata hai jisme hame whatsapp chat me hi language badal kar baat krne ka option milta hai.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ