Dusre ki call recording apne phone me kaise sune ? friends aaj ki post aapke liye bahut hi important hone wali hai kyunki aaj ish article me hum aapko ek aisi ek aisi trick batane wale hai jiske dwara aap apne friend, girlfriend, boyfriend, ya other kisi ki bhi call apne mobile me sun skte hai. yani ki aapki girlfriend ya boyfriend kis kis se aur kya kya bate kar rha hai ? uski sabhi calls ki recording aap apne mobile me sun skte hai.
Ji ha aapne sahi suna. Ye bilkul possible hai. aur pichhle kuch dino se humare youtube channel Dainik Tricks par bahut se comment bhi a rhe hai ki sir Dusre ka call kaise sune ?, Girlfriend/Boyfriend ki call apne phone par kaise sune ? ya Kisi ki call recording apne phone me kaise sune ? etc.
To inhi swalo ke jawab dete huye aaj ish article me aapko ishi ke bare me batane wala hun ki kisi ki bhi call apne mobile me kaise sunte hai ? ya kisi ki bhi call recording apne mobile me kaise sunte hai ?
To ish liye ye trick aap sabhi ke liye bahut hi mazedaar aur kaam ki hone wali hai, ish liye ish article ko pura jarur padhe.
Ji ha aapne sahi suna. Ye bilkul possible hai. aur pichhle kuch dino se humare youtube channel Dainik Tricks par bahut se comment bhi a rhe hai ki sir Dusre ka call kaise sune ?, Girlfriend/Boyfriend ki call apne phone par kaise sune ? ya Kisi ki call recording apne phone me kaise sune ? etc.
To inhi swalo ke jawab dete huye aaj ish article me aapko ishi ke bare me batane wala hun ki kisi ki bhi call apne mobile me kaise sunte hai ? ya kisi ki bhi call recording apne mobile me kaise sunte hai ?
To ish liye ye trick aap sabhi ke liye bahut hi mazedaar aur kaam ki hone wali hai, ish liye ish article ko pura jarur padhe.
Dusre Ki Call Apne Mobile Me Kaise Sune ?
Aap me se bahut se log aise honge jinhe lag rha hoga ki kisi dusre ki call apne mobile me hum kaise sun skte hai ? ye kaise possible ho skta hai ? aapke man me bhi ye sawal jarur aa rha hoga. Ish liye pahle me aapko ye bta deta hu ki aakhir hum kaise kisi ke bhi call recording apne mobile me sun skte hai ? uske baad me aapko btauga ki aap ish trick ko kaise use kar skte hai.Dusre Ki Call Recording Apne Mobile Me Kaise Sune ?
Friends kisi ki bhi call apne mobile me sunne ke liye sabse pahle aapko ush person ke mobile me ek Call Recording App download karna hoga.Abhi aap soch rhe honge ki ush person ke mobile me ish app ko install karne se uski calls humare mobile me kaise sunai degi ?
To me aapko btana chauga ki ye call recording app ush mobile me jitni bhi calls record krega, unhe humari choose ki gyi gmail id me save krega. Ish liye ager hum ush app me recordings save krne ke liye apni gmail id set kar de to uske baad ush mobiles me jitni bhi calls aayengi ya call kiye jayenge, un sabhi ki call recordings aapki gmail id ke google drive me save ho jayengi, jinhe aap apne mobile ki google drive me jakar sun skte hai.
Abhi aap ye bhi jarur soch rhe honge ki ager hum ush person ke mobile me koi app install krenge to ushe to pta chal hi jayega, phir iska kya fayda ? But don’t worry kyunki hum ish app ko ush mobile me se hide bhi kar skte hai. ish liye ek baar sabhi settings set karne ke baad jab aap ush mobile me se wo app hide kar denge to uske baad ush person ko kabhi bhi pta nhi chlega ki uske mobile me koi call recording app install bhi hai kya ?
Ye Bhi Padhe...
To abhi aap jan gye honge ki ish app ki madad se hum kaise kisi dusre ki call recording apne mobile me sun skte hai. Ish liye chliye abhi me aapko bta deta hu ki aap kaise ish app ko use karte huye apne friends ki call recording apne mobile me sun skte hai.
1. Iske liye sabse pahle aapko ush mobile me apni gmail id log in karni hai jiski call recording aap apne mobile me sunna chahte hai.
Ager aap apni personal gmail id ush mobile me login karna nhi chahte to koi baat nhi, aap ek new gmail account create kar lijiye aur ushe usme log in kar le.
Ager ush mobile me pahle se koi gmail id login ho to pahle aap ushe logout kar de ya phir ush mobile wali gmail id ko logout kiye bina apni wali 2nd gmail id ko bhi usme log in kar le. Ager aapko android mobile me gmail id logout krna nhi aata hai, ya ek mobile me 2 gmail id chlana nhi aata hai to ye post padhe.
2. To jab aap ush mobile me apni wali gmail id log in kar le to uske baad aapko ush phone me Record My Call App download krna hoga.
2. Uske baad jab aap ishe open krenge to aisa page open ho jayega.
Yaha aapko Google Drive par click karna hai.
3. Phir aisa page open hoga.
Yaha Google Drive Account par click kare.
4. Next page me Connect Account par click karke apni wali Gmail id select karke Ok par click kar de.
5. Phir aisa page open ho jayega.
1. Yaha sabse pahle check kar le ki Connected naam aa gya ho, kyunki kai baar internet error ke karan account connect nhi hota hai. Ish liye ager account connect na hua ho to phir se account ko connect kare.
2. Uske baad Sync Google Drive par click karke ishe enable kar le.
3. Sync Unsorted ko bhi enable kar le.
4. Sync Now, ish par aapko abhi click nhi krna hai, iske bare me maine aapko post ke last me btauga.
Bas ab ish app me sabhi settings ho chuki hai. Par ager aap ish app ko ush mobile me se hide krna chahte hai to iske liye aage ke steps bhi follow kare.
Call Recording App Ko Hide Kaise Kare ?
1 Iske liye sabse pahle ish app me 3 lines par click kare.
2. Uske baad Settings par click kare.
3. Phir Security par click kare.
4. Phir aisa page open hoga.
Yaha Passcode par click kare aur koi bhi 4 digits ka ek password set kar le. ( aapko password 2 baar dalna hoga. )
Automatically Lock ki limit kam kar le.
Bas uske baad back aa jaye, kuch seconds ke baad wo app ush mobile me se hide ho jayega.
Ager aapko ush app ko open krna ho to aap ush mobile ke dialer app me **password## dalkar kar call button par click karke ush app ko open kar skte hai. Jaise ki maan lijiye ki password 1234 hai to aapko ush mobile me **1234## type karke call button par click karna hai. Jaise hi aap call button par click krenge to wo app open ho jayega.
To ager aapko kabhi ush mobile me ish app ko open krna ho to aap ish trah se kar skte hai.
To abhi sab settings setup ho chuki hai. Ab jab bhi ush mobile par koi call aayega ya ush mobile se koi call kiya jayega to uski recording aapki gmail ki google drive me save ho jayegi. Ager aapko un recordings ko apne mobile me sunna ho to iske liye aapko apne mobile me ush gmail id ko log in krna hai aur google drive app me jakar dekhna hai, aapko sabhi recordings wnha par mil jayengi.
Ek baat aur yaad rakhe ki wo recordings google drive me save hone ke turant baad dikhai nhi degi, aapko kuch minutes wait krna pad skta hai. Iske alawa jab aap un recordings ko direct google drive me play krenge to wo open nhi hogi. Ish liye aapko open with krke unhe play krna hoga, ya aap unhe pahle mobile me download karke bhi play karke sun skte hai.
To I hope ki abhi aap sab kuch achhe se samjh gye honge, ish liye abhi me aapko ush Sync Now wale option ke bare me bta deta hu.
But ush se pahle me aapko btana chahunga ki ush mobile me ye sab settings krne ke baad jab ush mobile me koi bhi call aayega ya call kiya jayega to aapki google drive me turant uski recording save nhi hogi, balki jab wo person apne mobile me internet connection on krega tab jake uski call recordings aapki google drive me save hogi.
Ish liye kar baar jab call krne ke kaphi samay ke baad bhi ush mobile me internet connection on na kiya jaye to ush mobile ke calls ki recording google drive me save nhi ho pati hai. Ish liye aisi situation me Sync Now wala option humare kaam aa jata hai.
Taki ager kabhi koi call recording kisi karan se google drive me save na ho to aap Sync Now par click karke ush app me saved sabhi call recordings ko apni gmail ki google drive me upload kar ske.
But ek baat ka dhyan rakhe ki jab aap Sync Now par click kare to ush samay ush mobile ka internet connection on hona chahiye.
Ok to I hope ki abhi aap ish app ko kaise use krna hai ? iske bare me achhe se samjh gye honge, but phir bhi ager aapka koi sawal ho ya aapko ish app ko use krne me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
FAQ Related to Call Recording
Dusre Ki Call Recording Sunne Wala App Konsa Hai ?
Record My Call app se ham dusre ki call recording apne phone me sun sakte hai.
Girlfriend Ki Call Apne Phone Me Kaise Sune ?
Record My Call ek aisa app hai jise girlfriend ke phone me install krne ke baad uski sari call recording aapke phone me sunai degi.
Kya Ham Kisi Dusre Ko Call Apne Phone Me Sun Sakte Hai ?
Hanji aisa possible hai, is article me ishi ke bare me detail se btaya gya hai.
Ye Bhi Padhe...
To friends I hope ki dusre ki call apne mobile me kaise sune in hindi ? ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.
3 टिप्पणियाँ
Sir he dono app uske mobaile me dounlod krana hoga
जवाब देंहटाएंaap ka sajesan bahut aach hai per mujhe ek bat samajh nahi aa e k us k mobile mai jo app dawonlod kiya hai use dekh jay or use uninstal kar de to fir recording nahi hogi mere phone mai,es k bare mai samjhaye plz
जवाब देंहटाएंIsh app me ek option aisa bhi hai jiski madad se aap ish app ko samne wale ke mobile se hide kar skte hai, aap ush phone me sab settings krne ke baad ish app ko hide kar de phir ushe pta nhi chlega
हटाएं