Facebook Profile Ka Username Kaise Change Kare

Facebook profile ka username kaise change kare ? Friends aap facebook username ke bare me jarur jante honge, ager aapko nhi pta hai ki facebook username kya hota hai to chliye pahle me aapko ishi ke bare me bta deta hu.

Facebook Username Kya Hai ?

Dekhiye friends facebook ke jitney bhi users hai ya jitney bhi facebook par accounts hai, un sabhi ke alag alag aur unique username hote hai, yani ki facebook par aapka jo bhi username hai same waisa username kisi aur ka nhi ho skta hai.

Facebook par sabhi users ke usernames alag alag ish liye hote taki hum facebook par kisi bhi person ko aasani se search kar ske. Kyunki facebook par sirf username hi aisa jariya hai jiske dwara hum kisi bhi person ki profile par direct ja skte hai.

Example ke liye maan lijiye ki aapko kisi Hajari Prajapat naan ke person ko facebook par search karna hai to ager aap naam likh kar search krenge to wnha par bahut sari profiles aa jayengi jiske karan hume ush real person ki profile ko search krne me problems aayegi.

But ager hume ush profile ka username pta ho to hum uska username search karke direct ush profile par ja skte hai.

Iske alawa kai baar hum ek mobile number se 2 facebook account bhi bna lete hai aur uske baad hum apne purane account ko log in nhi kar pate hai to ush time bhi hum username ki madad se apne ush purane account ko bhi facebook me log in kar skte hai. Iske bare me aur adhik janne ke liye ye post padhe.


To abhi aap jan gye honge ki facebook username kya hai ? aur ye humare liye kitna important hota hai. Bas ishi liye hum sabhi ko apni facebook profile ke liye ek easy sa username rkhna chahiye taki wo aasani se yaad rkha ja ske.

Facebook Profile Ka Username Kaise Change Kare

Facebook me by default usernames numbers me hote hai jo ki yaad rkhne me bahut jyada hard hote hai. Example dekhe…

Default username:- www.facebook.com/023862514364

After Changed:- www.facebook.com/Hajariprajapat0

Jaisa ki aapne dekha facebook ka default profile username hard hota hai ish liye hume ushe change karke ek easy sa facebook username rakh lena chahiye taki wo aasani se yaad rkha ja ske.

To ager aap bhi apni facebook profile ka username bdlna chahte hai to aap bahut hi aasani se aisa kar skte hai. Aaj ish article me hum aapko ishi ke bare me btane wale hai ki apni facebook profile ka username kaise change karte hai ? iske bare me janne ke liye niche btaye gye steps follow kare.


Facebook Profile Ka Username Kaise Change Kare


1 Sabse pahle apne computer me facebook.com ki site par jaye aur apne account ko login kare.

( Ager aap mobile use karte hai to chrome me jaye aur site ka desktop mode enable kar le uske baad facebook.com site par jaye, kyunki ye setting hum sirf facebook ki desktop site me kar skte hai. )

Ager aapko chrome browser me site ka desktop mode enable karna nhi aata hai to ye post padhe.


2. Uske baad aisa page open hoga.


Ynha Down Arrow par click karke Settings par click kare.

3. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha aapko Username ke samne Edit par click karna hai aur purane url ki jgah new username dalna hai jo bhi aap rkhna chahte hai wo, but dhyan rhe ki ager aapne jo username dala hai wo pahle se register hua to ynhi par ek message show hoga ki ‘This username is not available’ to ager aisa message show ho to aap wo nhi rkh skte hai aapko koi new aur unique username dalna hoga, so wo aap dal de.

Ager wo available hua wnhi message show ho jayega ki Username is Available aur last me Save Changes par click kar de.

Bas uske baad aapki facebook profile ka url ya username change ho jayega.

To ish trike se aap facebook par apne account ka username change kar skte hai. To friends ummid karta hun ki facebook account ka username kaise change kare ? ye jankari aapko jaruri pasand aayi hogi, ager aapko ye post achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

Ye Bhi Jarur Padhe...

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ