Facebook Messages Ka Auto Reply Kaise Kare

Facebook Par Messages Ka Auto Reply Kaise Kare ? Friends ager aapne facebook par koi page bna rkha hai to aaj ki post aapke liye bahut hi important hone wali hai, kyunki aaj ish article me hum aapke liye ek aisi trick lekar aaye hai jiske dwara aap facebook page par aane wale messages ka auto reply kar skte hai.

To ager facebook par aapka khud ka koi page hai to ye trick aapke bahut kaam aa skti hai, Kyunki jaisa ki aap bhi jante hai ki jab humare facebook page par bahut sare followers ho jate hai to hum un sabhi ke messages ka reply nhi kar pate hai.

To ush time aap facebook ki ish trick ya ish automatic message reply feature ko use karke apne page par aane wale sabhi messages ka instant automatic reply kar skte hai, jis se aapke aur aapke followers ke bich me ek achha relation ban jayega.

Facebook Messages Ka Auto Reply Kaise Kare

To ager aapko bhi apne fans ke sath achha relation bnana hai to aapko bhi facebook ke ish automatic reply feature ko jarur use karna chahiye. Facebook par messages auto reply settings kaise set up karte hai ? iske bare me janne ke liye niche btaye gye steps follow kare.

Facebook Messages Ka Auto Reply Kaise Kare


1 Iske liye sabse pahle apne computer me facebook.com ki site par jaye aur apne account ko login kare.

( Ager aap mobile use karte hai to chrome me jaye aur site ka desktop mode enable kar le uske baad facebook.com site par jaye, kyunki ye setting hum sirf facebook ki desktop site me kar skte hai. )

Ager aapko chrome browser me site ka desktop mode enable karna nhi aata hai to ye post padhe.


2. Uske baad ush page par jaye jisme aap auto reply set karna chahte hai, phir aisa page open ho jayega.

Facebook Messages Ka Auto Reply Kaise Kare

1. Ynha sabse pahle Settings par click kare.

2. Phir Messaging par click kare.

3. Uske baad aapko ‘Send instant replies to anyone who messages your page’ wale option ke samne wale button par click karke ushe ON kar lena hai.

Bas iske baad ush page me messages auto reply setting enable ho jayegi, iske baad jab bhi aapko koi message karga uske pass aapki traf se ek instant reply message send ho jayega, But wait... abhi kaam khatam nhi hua hai kyunki abhi hume auto reply me kya message send hona chahiye wo bhi set karna hai.

4. To iska option bhi aapko wahi mil jayega. Jab aap Auto reply wali setting ko On krenge to uske pass aapko Change ka ek option mil jayega jaisa ki aap image me dekh skte hai. aap ush par click karke apna mann pasand message set karke ushe Save kar de.

Uske baad aapke ush facebook page par automatic message reply completely set ho jayega aur uske baad jab bhi aapko koi message krega to ushe turant ek auto reply send ho jayega.

To ish trike se aap apne facebook page par aane wale messages ke liye auto reply set kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To Friends ummid karta hu ki facebook par messages ka auto reply kaise kare ? ye post aapko jarur pasand aayi hogi, ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe a[ne friends ke sath bhi jarur share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ