Android Mobile Se Documents Scan Kaise Kare

How to scan documents from android mobile ?

Friends ager aapke pass koi computer ya scanner nhi hai aur phir bhi aap apne important aur personal documents ko scan karna chahte hai to ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai, kyunki aaj ish post me hum aapko btayenge ki bina computer aur scanner ke apne android mobile se documents scan kaise karte hai ?

android mobile se documents ko scan kaise kare

Friends hum sabhi ko kai baar apni kuch important aur general photos aur documents ko immediately scan karne ki jarurat padti rehti hai, aur ush samay humare pass koi computer ya scanner bhi nahi hota hai. To aisi situation me hum un documents ko apne android mobile se bhi scan kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Iske alawa hum me se jyadater log to aise hote hai jinke pass koi computer aur scanner hota hi nhi hai. To ager aapke pass bhi koi computer ya scanner nhi hai, but phir bhi aap apne documents ko scan karna chahte hai to aap apne mobile se bhi aisa kar skte hai.

Android mobile se documents scan kaise karte hai ? iske bare me janne ke liye steps follow kare.

Ye Bhi Padhe...

Android Mobile Se Documents Scan Kaise Kare


1. Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me ek application download karni hogi, jiska naam CM Scanner hai. Ye ek bahut hi kmaal ki application hai, jise millions log use karte hai. Kyunki ye application documents ko bahut hi achhe se scan karti hai. Ager mobile ka camera achha ho to ye app humare documents ko scanner se bhi achhe trike se scan karti hai.

Ish app ko use karne se pahle aapko ishe apne mobile me download karna hoga. Aap paly store me jakar ishe download kar kare hai.  Ish application ko abhi download karne ke liye yaha click kare.

2. Uske baad jab aap ish application ko pahli baar open krenge to aapko isme register krne ke liye kaha jayega. Ager aap chahe to apne phone number ya email id se isme register kar skte hai, nhi to ‘Use Now’ par click karke registration ko skip bhi kar skte hai.

3. Uske baad next page me aapko ek camera ke icon milega, aap ko ush par click karke document ko scan karna hai. Scanning complete hone ke baad ushe crop kar le aur right button par click kar de. Niche screenshot me dekhe.

scan and crop scanned document in mobile

4. Uske baad next page me aapko kai trah ke effects milenge, jinhe aap apne documents par apply karke ushe clear aur effective bna skte hai. Effect set krne ke baad phir se Right Button par click kar de.

5. Uske baad aisa page open ho jayega.

scan document

Yaha PDF icon par click kare. Uske baad ager aapke samne koi ad aaye to ushe close kar de.

6. Phir aisa page open ho jayega.

mobile se document scan kare

Yaha 3 dots par click karne ke baad aapko ush document ko download larne ka option mil jayega. To aap ush 'Download' button par click karke ush scanned document ko pdf file ke rup me apne mobile me save kar skte hai.

Thik ishi trike se aap apne baki documents ko bhi ish application ki madad se apne android mobile se scan kar skte hai.


FAQ

Mobile Se Document Scan Karne Wala App Konsa Hai ?

CM Scanner app se hum apne mobile se hi document scan kar sakte hai.

Bina Watermark Ke Document Scan Kaise Kare ?

Aap Adobe Scan app se documents scan kare usme watermark nahi aata hai.

Kya Mobile Se Document Scan Kar Sakte Hai ?

Yes kar sakte hai.

Mobile Se Document Scan Karne Ke Liye Sabse Best App Hai ?

Adobe Scan mobile se document scan karne ke liye sabse best app hai.


Ye Bhi Padhe...

To dosto ummid karta hun ki ye article aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

Tags:- how to scan documents with phone camera, how can I scan documents from my phone, mobile se scan kaise kare,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ