Jio Keypad Mobile Ka Lock Kaise Tode ? 2024

How to reset jio keypad mobile after forgot password:- Friends jaisa ki aap jante hai ki mukesh ambani ji ne jio sim ke baad ab jio keypad mobile ko bhi market me utar diya hai, jo ki bahut hi sasta aur useful hai ish liye bahut hi kam samay me lakho logo ne ish mobile ko use karna shuru kiya hai.

Jio mobile me aise bahut sare features hai jo ki hume other keypad mobiles me nhi milte hai, ishi liye bahut se logo ne ishe use karna start kiya hai aur shayad aapne bhi ishe jarur khrida hoga.

To ab kyunki itne sare log ish mobile ko use karne lge hai ish liye liye aaj ish article me hum aapko ishi se related ek problem ka solution batane wale hai ki jio keypad mobile ka lock kaise todte hai ?

Jio mobile ka lock kaise tode,

Kyunki kai baar humse ya humare ghar me kisi chhote bache se galti humare phone par lock lga diya jata hai aur uske baad hum ush phone ka lock nhi khol pate hai kyunki hume uske password pta nhi hote hai.

Ye Bhi Padhe...

To ager aapke jio phone par bhi galti se koi password set ho gya hai ya aapko uska password yaad nhi hai ish liye aap uska lock remove/delete nhi kar pa rhe hai to ye post aapke liye bahut hi helpful hone wali hai.

Kyunki yaha hum aapko ishi ke bare me batane wale hai ki ager hum jio keypad mobile ke password bhul jaye to uska lock kaise crack karte hai ya phone ka lock kaise todte hai ?

Ye Bhi Padhe...

Friends Jio keypad mobile ka lock todne ke liye aapko uska hard/factory reset karna hoga. Ish liye jio keypad mobile ko reset kaise karte hai ? aapko iske bare me pta hona chahiye. Ager aapko iske bare me nhi pta hai to niche btaye gye steps follow kare.

Jio Keypad Mobile Ka Lock Kaise Tode ? 2024

1 Iske liye sabse pahle apne jio mobile ko Switch Off kare. Ager mobile switch off na ho to aap uski battery nikal kar bhi ushe switch off kar skte hai.

2. Uske baad mobile ka Power Button ( Red button ) aur Up Button ( mobile me jo 4 buttons hote hai, unme se upper wala button ) dono ko ek sath press karke rakhe.

3. Uske baad aapke samne kuch options aa jayenge, aapko Wipe Data/Factory Reset par Ok karna hai.

Ok karne ke liye aapko Power button ko press karna hai aur options ya upper niche jane ke liye Up aur Down buttons ko press karna hai.

4. Factory Data reset par click karne ke baad next page me Yes par click karna hai.
Uske baad aapka mobile reset hona start ho jayega aur kuch hi seconds ke baad aapke mobile ka lock tut jayega aur mobile ka switch on jayega.

Mobile switch on hote hi aapko language select karne ke liye kaha jayega so aap hindi, English ya apni local language select kar le, uske baad mobile puri trah se open ho jayega aur uska lock puri trah se tut jayega.


FAQ

Jio Phone Ka Lock Kaise Toda Jata Hai ?

Aap apne jio phone ka hard reset karke yani ki format karke apne phone ka lock Tod sakte hai.

Kya Hum Jio Phone Ka Factory Data Reset Karke Lock Tod Sakte Hai ?

Ji haa, jio keypad phone ka lock factory data reset karke toda ja sakta hai.

Kya Hum Jio Ke Keypad Wale Phone Ka Lock Tod Sakte Hai ?

Ji haa, agar aap apne phone ke password bhul jate hai to aap phone ko hard reset karke uska lock tod sakte hai.


Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne jio keypad phone ka lock tod skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai aur ager aapko ye jankari jio mobile ka lock kaise tode ? achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ