Facebook Ke Top 20 Amazing aur Interesting Facts, Jinke Bare Me Koi Nhi Janta

Facebook Top 20 Amazing aur Interesting Facts:- Friends pure world me internet par google ke baad jis website ko sabse jyada use aur search kiya jata hai, wo facebook hi hai. Facebook kya hai aur kis kaam aati hai ? iske bare me aap bhaut achhe se jante honge. Kyunki hum sabhi internet users ka facebook par account hota hai. Ish liye hum sabhi facebook website aur application ko apne mobile aur computer me use kar karte hai.

Ish liye aaj ish article me hum aapko facebook ke aise Top 20 Amazing aur Interesting Facts ke bare me btane wale hai, jinke bare me bahut hi kam logo ko pta hai.

Ye Bhi Padhe...

Facebook ke in facts ke bare me hum sabhi ko pta hona chahiye, kyunki ye facebook ke kaphi interesting facts hai, jo ki her facebook user ko pta hone chahiye.

Facebook Ke Top 20 Amazing aur Interesting Facts, Jinke Bare Me Koi Nhi Janta

To chliye abhi jyada samay waste na karte huye hum facebook ke in Top 20 Amazing Facts ke bare me jaan lete hai.


Facebook Ke Top 20 Amazing aur Interesting Facts,


1. Facebook ko 4 February 2004 me bnaya gya tha.

2. Facebook ke owner Mark Zuckerberg ko salary ke rup saal ka sirf 1 dollar hi milta hai.

3. Facebook Hindi aur English ke sath world ki lagbhag 70 parkar ki other languages ko bhi support karta hai. Users apne hisab se facebook ko in me se kisi bhi language me use kar skte hai.

4.Kya aapko pta hai ki facebook ka color neela ( blue ) kyu hai ? wo ish liye kyunki iske founder Mark Zuckerberg ko Color Blindness ki bimari hai, jiske karan unhe red aur green color me fark ka pta nhi chlta hai, ishi liye facebook ka color blue hai.

Ye Bhi Padhe...
5. Facebook par almost 30 million aise logo ke accounts hai, jo ab ish duniya me zinda hi nhi hai.

6. Facebook par her month lagbhag 2.5 billion photos upload hoti hai.

7. Facebook par her ek minute me lagbhag 1 lakh status update kiye jate hai.

8. Facebook Chaina, Vietnam, Bangladesh, North Korea, Tajikisthan, Syria, Morocco aur Iran jaisi countries me ban hai, ish liye in desho me hum facebook access nhi kar skte hai.

9. Kya aapko pta hai ki facebook ka Like Button ek minute me 1.8 million baar press kiya jata hai.

10. Facebok se 1 million se bhi jyada websites linked hai, jinke Pages aur Groups ish par available hai.

Ye Bhi Padhe...

11. Facebook par aap kisi bhi user ko block kar skte hai. But kya aapko pta hai ki aap facebook ke founder aur CEO Mark Zuckerberg ko block nhi kar skte hai. Ager koi aisa karta hai to uske samne ek error messsge show hota hai.

12. Facebook par Poke ek aisa option ya feature hai, jiska koi work fix nhi hai. Ish liye khud facebook ko bhi accurately nhi pta hai ki facebook me Poke ka kya kaam hai.

13. Ager facebook ka server down ho jaye to ishe every minute 25000 dollar tak ka nuksaan ho jata hai.

14. Hum apni facebook ID ko apne mobile me login karne ke baad jo bhi activity karte hai, facebook ushe record karta hai.

15. Kya aapko pta hai ki facebook se ek bimari bhi hoti hai, jiska naam FAD ( Facebook Addition Disorder ) hai. Ek report ke anusar aaj lagbhag 35 million log ish bimari se preshan hai, yani ki unhe facebook ki lat lag chuki hai.

Ye Bhi Padhe...
16. 2011 me facebook ki help se hi Iceland ka svidhaan ( Constitution ) likha gya tha.

17. Kya aapko pta hai facebook par almost 80 millions profiles fake hai.

18. Facebook ke sabhi users me se 79% log mobile se facebook chlate hai.

19. Canada ek aisa desh hai jnha ke log sabse jyada facebook par active rehte hai.

20. Facebook team ne pahle facebook ke Like Button ka naam Awesome rkhne ka fesla kiya tha. But Mark ne kisi ki bhi ek nhi suni aur iska naam Like hi rkha gya tha.

To friends ye the facebook ke top 20 amazing aur interesting facts, jinke bare me jankar aap jarur surprise huye honge. Ager aapko ye article achha lga ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ