Facebook Par Kisi Bhi Post/ Text Ko Copy Kaise Kare

How to copy any text on facebook:- Friends facebook par hum sabhi internet users ka account hota hi hai aur hum daily facebook ko apne mobile aur computer me use bhi karte hai. Aap bhi apne mobile me facebook jarur chlate honge.

Ager aap apne mobile me kisi facebook application ya browser me facebook chlate hai to aapne jarur notice kiya hoga ki hum Facebook par kisi bhi Text ya Post ko copy nhi kar skte hai.

Facebook Par Kisi Bhi Post/Text Ko Copy Kaise Kare

But kai baar hume facebook par koi post kuch jyada hi pasand aa jati hai, jiske karan hum ushe facebook se copy karne ki kosis karte hai. Taki hum bhi ush post ko sirf copy paste karke apni profile par upload kar ske ya Whatsapp, Twitter, Instagram jaisi baki social site par upload kar ske.

Ye Bhi Padhe...

Ab waise to hum facebook par ush post ko dekh kar same matter type karke bhi apne dosto ke sath share kar skte hai. But ager wo post lengthy ho to ushe type karne me bahut jyada samay lag jata hai, aur waise bhi aaj kal itni jyada typing koi bhi nhi karna chahta hai.

Ish liye jab hume facebook par koi post pasand aa jati hai to hum ush post ke text ko copy karne ki kosis karte hai, taki hume wo type na karna pade. But jaisa ki aap jante hai ki hum facebook par kisi bhi post ya text ko copy nhi kar skte hai. Ish liye aaj ish post me hum aapko ishi ke bare me batane wale hai ki Facebook se kisi bhi post ya text ko copy kaise karte hai ?

Ye Bhi Padhe...

Yaha hum aapko 3 trike batane wale hai, jinke dwara aap facebook se kisi bhi Post, Joke, Shayri ya Status ko Copy kar skte hai aur jaha chahe wnha paste kar skte hai. To chliye abhi hum aapko un dono triko ke bare me bta dete hai.


Facebook Par Kisi Bhi Post/ Text Ko Copy Kaise Kare

1 Use Facebook in Desktop Mode

Hum me se jyadater log facebook ko apne mobile me Facebook Application, Lite ya Messenger Application ya phir mobile ke kisi browser me chlate hai, ishi liye hum facebook par koi bhi text copy nhi kar pate hai.

But ager hum facebook site ko desktop mode me use kare to hum iske kisi bhi joke, shayri, status ya post ko copy kar skte hai.

Ish liye ager aapko facebook se kisi post ko copy karna hai to iske liye aapko facebook ko apne mobile ke chrome browser me open karna hai, aur site ko desktop mode enable kar lena hai. Uske baad aap Long Press karke facebook se kisi bhi post ko copy kar skte hai.

Ager aapko chrome browser me site ka Desktop Mode Enable karna nhi aata hai to ye post padhe.


Note:-  Site ka desktop mode enable karne ke baad aap ek URL box ko jarur check kar le. Ager usme m.facebook.com/ ho to usme se m. ko delete kar de aur sirf facebook.com hi rehne de. Kyunki m.facebook.com me aap text ko copy nhi kar payenge. Ish liye ek baar URL box ko check jarur kar le.

Ye Bhi Padhe...

2. Universal Copy App

Ye ek aisi application hai jiske dwara hum apne mobile me na sirf facebook balki kisi bhi app me se text ya words ko copy kar skte hai. Ish liye ager aapko facebook ke alawa bhi kisi dusri aisi jgah se  text ko copy karna ho, jaha se text copy na ho rha to aap ish application ke dwara kisi bhi App me se text ko copy kar skte hai.

Note:- Ager aapko ish application ki madad se facebook posts ko copy karna hai to iske liye aapko facebook ko apne mobile ke kisi browser me open karna hoga, but ish baar aapko site ka desktop mode enable karne ki jarurat nhi pdegi. Aap facebook ki mobile site me bhi aisa kar skte hai.

Browser me facebook ko ish liye open karna hai, kyunki ye app Facebook application me kaam nhi karta hai. Ish liye hum ish app se facebook ki kisi bhi application me se text ko copy nhi kar skte hai.

Universal Copy Application ko aap play store me jakar download kar skte hai. Ager aap ishe app ko abhi download karna chahte hai to Yaha Click Kare

3. Facebook App Se

Facebook ke latest update ke aane ke baad se abhi aapko facebook par kisi text ya post ko copy krne ke liye kisi third party app ki jarurt nahi pdegi. Abhi aap facebook par mojud kisi bhi text ya post ko copy krne ke liye ush par long press karke rakhe wo text copy ho jayega.


FAQ

Facebook Par Kisi Post Ko Copy Karne Ke Liye Kya Kare ?

Agar aap facebook par kisi post ko copy krna chahte hai to aapko simply ush post par long press krna hai wo copy ho jayegi.

Facebook Par Kisi Joke/Shayri Ko Copy Kaise Kare ?

Aap facebook par type kiye gye kisi bhi text ko long press karke ushe copy kar sakte hai, fir chahe wo joke ya shayari hi kyu na ho.


Ye Bhi Padhe...

To yaha par humne 2 trike btaye hai jinke dwara aap facebook se kisi bhi Joke, Shayri, Status ya kisi bhi Post ko copy kar skte hai. Ummid karte hai ki ye article facebook par koi bhi text copy kaise kare ? aapko jarur pasand aaya hoga. Ager aapko ye jankari achhi lgi ho to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ