Email Kya Hota Hai ? Gmail aur Email ID Me Kya Antar Hai

Friends aap internet use karte hai ish liye aapne Email ka naam to jarur suna hoga, aur ho skta hai ki aapka khud ka bhi ek email account ho. But kya aapko pta hai ki Email kya hota hai ?, Gmail aur Email me kya antar hota hai ?

Ager aapko in swalo ke jwab nhi pta hai aur aap inke bare me janna chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki aaj ish post me aapko in sabhi swalo ke jwab milne wale hai.

Email Kya Hai ? Gmail aur Email ID Me Kya Deference Hai

Email Kya Hota Hai ? Gmail aur Email ID Me Kya Antar Hai


Friends Mail ka matlab hota hai humara message jo hume samne wale ko send karna hota hai. aur Email ka matlab Electronic Mail hota hai.

Ab aap sochenge ki ye Electronic Mail Kya Hota Hai ?

To friends Electronic mail ek aisa mail ya message hota hai, jisko hum internet ki madad se electronic speed se yani ki bahut hi tez speed se send kar skte hai.

Jaisa ki aap jante hai ki pahle jab kabhi hume koi mail ya message send krna hota tha, to hum post ke dwara wo message send karte the, jisme paise bhi lgte the aur time bhi bahut jyada lag jata tha.

Lekin Email ke dwara ab hum ushi mail ya message ko internet ki help se sirf kuch hi seconds me duniya ke kisi bhi kone me send kar skte hai, jiska koi charge bhi nhi lgta hai.

Ye Bhi Padhe...

To abhi aap samjh gye honge ki Email kya hota hai aur kis kaam aata hai ? ish liye abhi hum baat krenge ki Email aur Gmail Me Kya Anter ( Deference ) Hai ?

Dekhiye friends internet par aisi bahut sari websites hai, jo ki hume free email service yani ki free me email send karne ki service deti hai. Jaise Gmail, Yahoo, Hotmail etc. To jab hum inme se kisi bhi websites par apna account bnate hai to ushe Email account kehte hai.

Aap chahe internet par mojud aisi kisi bhi website par account bna lijiye jo ki email send karne ki service deti ho, ushe email account hi kaha jayega.

Ye Bhi Padhe...

Email account ko hum iski service provider website ke naam se bhi bula skte hai. jaise ki ager humara email account Google ki Gmail site par hai to ushe Gmail account bhi kehte hai. Ager wo hi account Yahoo par ho to ushe Yahoo mail kehte hai, thik ishi trah se ager humara email account kisi other website par ho to ushe site ke naam ke according hi bulate hai.

Yani ki Gmail, Yahoo mail, Hotmail, ye sab email account hi hote hai. Bas inko hum email ke alawa inki service provider website ke naam ke hisab se alag alag bhi bula skte hai.

Ye Bhi Padhe...

To I hope ki email ke bare me aapke sabhi doubts clear ho gye honge. Ager aapka email se related abhi bhi koi sawaal ho to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Email Ka Matlab Kya Hota Hai ?

Email Full Form Electronic Mail hoti hai.

Gmail Kise Kaha Jata Hai ?

Google ki email service ki gmail kaha jata hai.

Kya Gmail ID Bnana Free Hai ?

Yes, gmail id bnana bilkul free hai.


Friends ager aapko ye jankari achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share jarur kare.

Tags:- gmail aur email kya hota hai, defference between gmail and email, email aur Gmail me kya fark hai,

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ