Google Adsense Me Invalid Input Error Ko Fix Kaise Kare

How to Fix Invalid Input Error in Google Adsense:- Friends ager aap ek new blogger ya youtuber hai ya ager aapne abhi abhi apna adsense account approve karwaya hai to ye article aapke bahut kaam ka hai ish liye ishe last tak jarur padhe.

Friends sabse pahle main aapko btana chahunga ki jab mene apna pahla adsense account approve karwaya tha to ush samay muje bhi aapki trah bahut kushi hui thi. But ek din jab main apne adsense account me apne bank account ki details fill kar rha tha to ush time muje bahut jyada tension ho gyi thi, kyunki adsense mere bank account ko accept hi nhi kar rha tha.


Main jab bhi apne account ko add karne ki kosis karta to mere samne ‘Invalid Input’ ki ek error samne aa jati thi, jis se main bahut jyada preshan ho gya tha, kyunki mere bank account ki detail bilkul sahi thi but phir bhi adsense ushe accept nhi kar rha tha.

adsense me invalid input error ko thik kaise kare

Ush samay tak meri total earnings 80$ ho gyi thi ish liye main jaldi se jaldi usme apne bank account ko add karna chahta tha, but adsense to mere bank account ko accept hi nhi kar rha tha, ish liye mene soch liya ki main kisi dusri bank me new account open karwaunga.

But ushi din muje internet par hi iska solution mil gya, mere samne jo ‘Invalid Input’ ki error aa rhi thi wo solve ho gyi aur adsense ne meri bank details accept kar li.


To ynha main aapko ushi ke bare me btane wala hun ki kaise mene google adsense me aa rhi ‘Invalid Input’ error ko fix kiya.

Ager soch knhu to ye jo Invalid Input ki error aati hai ye google adsense ki error nhi hai balki hum jis browser ko ush samay use kar rhe hote hai, ye uski error hai.

I mena ish error ko fix karne ke liye bas aapko apna web browser change karna hai. Usually ye error chrome browser me aati hai. Ish liye ager aap bhi chrome browser me apne bank account ko adsense se link karne ki kosis kar rhe hai aur aapke samne ye error aaa rhi hai to ishe fix karne ke liye bas aapko apna web browser change karna hai aur kisi dusre browser me ye process puri karni hai.

Ager main apni baat karu to uske baad mene opera mini browser me adsense se apne bank account ko successfully link kar liya, ish liye main aapse bhi yahi kehna chahunga ki ager aapko bhi ye error aa rhi hai to ek baar opera mini browser me ye process karke dekhe, I am sure ki aapki ye problem solve ho jayegi.

Ye Bhi Padhe...

To friends I hope ki google adsense me ‘Invalid Input’ error ko kaise fix kare ? post aapko pasand aayi hogi.

Aapko ye post kaisi lgi aur ish se aapki problem solve hui ya nhi hume comment karke jarur btaye.

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ