Chrome Browser Me Save Accounts Ke Password Kaise Dekhe

How to see saved password in chrome browser:- Dosto aaj hum baat krenge ki chrome browser me saved kisi bhi account ke password kaise dekhte hai. Jaisa ki aap jante hai ki jab bhi hum chrome browser me pahli baar kisi site jaise facebook, twitter, ya other kisi site par apna ya other kisi ka account log in karte hai to google chrome hume ush id aur password ko save karne ke bare me puchhta hai.

Ager hum ush time wo id aur password save kar lete hai to uske baad future me jab bhi hum ush site par dubara jate hai to hume phir se ush par account ko log in karne ke liye password dalne ki jarurat nhi padti, kyunki wo chrome me pahle se hi save hote hai.

Google Chrome Me Save Accounts Ke Passwords Kaise Dekhe

To hum ye bol skte hai ki google chrome browser ka ye feature bahut hi kmaal ka hai hai, jiske kuch fayde bhi hai, jaise..

1. Chrome browser me ek baar kisi account ke password save karne ke baad hume baar baar wohi password phir se dalne ki jarurat nhi padti.

2. Google chrome me ek baar password save karne ke baad ager hum ush account ke password bhul bhi jaye tab bhi hum bina wo password dale apne account ko log in kar skte hai.

3. Iski madad se hum apne ya apne kisi bhi friend ke account ke password dekh skte hai. ( Sirf tab, jab wo aapke phone ke google chrome me save kiye gye hai. )


To ye chrome browser ke ish feature ke kuch khas advantages hai, but ynha hum iske third advantage yani ki google chrome me saved accounts ke password kaise dekhe hai ? Iske bare me baat krenge.

Ish Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Ynha Click Kare

Kyunki kai baar aisa hota ki hum apne kisi account ke password bhul jate hai tab hum ynha btaye gye trike se ush account ke password dekh skte hai.


Iske alawa ho skta hai ki kabhi aapke kisi friend apna koi account aapke phone ke chrome browser me log in kiya ho aur abhi aap uske yani apne friend ke account ke password dekhna chahte ho to ush time bhi ye trick aapke bahut kaam aa skti hai, kyunki iski madad se aap chrome me saved sabhi accounts ke password dekh skte hai.

Chrome Browser Me Saved Password Dekhne Se Phale Ye Jan Le Ki...

1. Chrome browser me aapki gmail id pahle se log in honi chahiye. Ager nhi bhi hai to koi baat nhi kyunki ager aapne play store ya gmail app me apni email id ko log in kar rkha hai to wo chrome browser me bhi automatically log in hogi.

2. Aap sirf unhi accounts ke password dekh payenge jin accounts ke password aapne chrome me save kiye hai.

Ye Bhi Padhe...

To chliye abhi hum aapko bta dete hai ki chrome browser me saved kisi bhi account ke password kaise dekhte hai.

Chrome Browser Me Save Accounts Ke Password Kaise Dekhe


1. Iske liye sabse pahle aapko chrome me 3 dots par click karna hai.

2. Uske baad 'Settings' par click kare.

3. Phir 'Save Passwords' par click kare.

4. Phir aisa page open hoga.


Ynha 'View and manage saved password' par click kar de.

5. Phir next page apne gmail account ke password dal de jo ush time chrome browser me log in ho.

6. Phir aisa page open hi jayega.


Ynha par aapko un sabhi accounts ke password mil jayenge, jinko aapne save kiya tha. Aapko jis bhi account ke password dekhne ho uske samne wale eye icon par click kar de, bas phir aap uske password dekh payenge.


FAQ

Chrome Me Accounts Ke Password Kaha Save Hote Hai ?

Chrome Settings me Passwords naam se ek option hota hai jo ki humare gmail account se juda hua hota hai, ishi option me chrome sare accounts ke password save karta hai.

Kya Chrome Browser Me Saved Password Apne Aap Delete Ho Jate Hai ?

Nahi, chrome me aapka gmail account login hota hai aur ushi me sabhi password save hote hai, isliye aapke delete kiye bina chrome se koi bhi password delete nahi hota hai.

Kya Chrome Humare Sabhi Password Save Karta Hai ?

Nahi, chrome browser me koi bhi account login karte time jo password hum khud save karte hai sirf wohi chrome me save hote hai.

Kya Chrome Browser Apne Aap Password Save Karta Hai ?

Chrome apne aap password save nahi karta hai.

To ish trike se aap google chrome me saved kisi bhi account ke password dekh skte hai. Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


Friends ager aapko ye post achhi lgi ho to please ishe apne dosto ke sath bhi share kare. 

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ