Normal TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare

How to connect mobile with normal tv full process in hindi:- Friends aaj ek baar phir se hum aapke liye android mobile se related ek bahut hi kamaal ki trick lekar aaye hai, jiski help se aap apne android mobile ko apne TV se connect karke mobile ke sabhi videos, audios, images etc ko Tv me dekh ya sun skte hai.

purane mobile ko tv se connect karke mobile ke gaane tv me kaise chlaye

Ish liye ager aap apne mobile ke videos, images ya audio songs ko Tv ki big screen par dekhna chahte hai to ye trick aapke bahut kaam aane wali hai kyunki iski madad se aap apne android mobile ki sabhi files Tv me dekh skte hai.


Waise to mobile ko Tv se connect karne ke bahut sare trike hai jaise... HDMI Adapter, Micro USB, Wi-Fi, Bluetooth but iske liye humare pass ek achhi capacity wala Tv hona bahut jaruri hai kyunki ek old ya normal Tv me itni facility available nhi hoti hai ki hum ushe in methods se apne mobile se connect kar ske.

But India me jyadater log aise hi hai jinke pass ek old ya noramal Tv hai, aur jaisa ki mene btaya ki ush purane tv me itni facility available nhi hoti hai ki hum ushe in triko se mobile se connect kar ske. but ynha main aapko btana chahunga ki ek aisa tirka bhi hi jiske dwara hum apne old ya normal tv ko bhi mobile se connect kar skte hai.


Normal TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare

Iske liye bas aapko ek ‘3.5mm to-Male RCA Adapter cable’ ki jarurat pdegi, jo ki normaly mobile ko Tv ya home theater se connect karne ke kaam aati hai, jo ki kuch ish parkar ki hoti hai.

mobile to tv connection cable

Ager aapke pass ye cable nhi hai to aap ishe kisi electronics ya mobile service ki shop se khrid skte hai.

Ish cable me ek side me ek earphone wali pin hogi aur dusri side me 2 pin hongi jo ki Tv me lgane ke liye hogi.

To mobile aur Tv ko aapas me connect karne ke liye sabse pahle aapko wo 2 pins Tv me lgani hogi.

Ek old/normal Tv me cables lgane ke liye pichhe ya side me 4 ports hote hai, 2 output ke liye aur 2 input ke liye, unme se aapko ‘Input’ wale ports me ush cable ki dono pins lgani hai. Aur dusri traf earphone wali pin apne mobile me lgani hai.


Bas itna karte hi aapko mobile Tv se connect ho jayega aur uske baad aap apne mobile me koi bhi gaana ya song bjakar ushe apne Tv me sun skte hai.

Note:- Kuch purane Tv's me hum mobile ko Tv se connect karne ke baad videos aur images nhi dekh skte hai, kyunki unme itni facility available nhi hoti hai but lagbhag sabhi me itni facility to jarur hoti hai ki hum mobile ka koi bhi audio usme sun skte hai. Ish liye ish trike se aap apne phone ko Tv se connect karke video nhi to kam se kam audio gaane to sun hi skte hai.

Iske alawa ager aapka Tv USB, HDMI, Wi-Fi, ya Bluetooth accept karta hai to aap usme video aur photos ko bhi dekh skte hai.


FAQ

Kya Normal Tv Ko Mobile Joda Ja Sakta Hai ?

Haa joda ja sakta hai.

Mobile Ko Normal Tv Se Connect Karne Ke Liye Kis Chij Ki Jarurt Padti Hai ?

Iske liye 3.5mm to-Male RCA Adapter cable ki jarurat pdegi.

Purane Tv Ko Mobile Se Connect Kaise Karte Hai ?

Aap 3.5mm to-Male RCA Adapter cable’ ki madad se apne purane tv ko mobile se connect kar sakte hai.


To dosto ummid karta hun ki aapko ye jankari Normal TV Ko Mobile Se Kaise Connect Kare ? jarur pasand aayi hogi ager aapko ye jankari achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.  

एक टिप्पणी भेजें

4 टिप्पणियाँ