Youtube Videos Aur Subscribers Ko Dusre Channel Par Move/Transfer Kaise Kare

How To Move Youtube Videos and Subscribers To Another Channel ?


Abhi recently hi mere youtube channel par ek viewer ne mujse puchha ki bhai kya hum apne youtube channel ke sabhi videos aur subscribers ko dusre channel par move ya transfer kar skte hai ? Ager aapka sawal bhi kuch ishi trah ka hai to ish post ko last tak jarur padhe, kyunki isme me main ishi ke bare me btane wala hun.

Friends main aapko btana chahunga ki koi bhi youtuber apne videos aur subscribers ko ek channel se dusre channel par move ya transfer kar skta hai.

But jyadatar new youtubers ko iske bare me pta nhi hota hai, ish liye wo aisa nhi kar pate hai. Ager aapko bhi iske bare me nhi pta hai to ish post ko last tak padh kar aap aasani se apne sabhi videos aur subscribers ko dusre channel par transfer kar skte hai.

Youtube Videos Aur Subscribers Ko Dusre Channel Par Move/Transfer Kaise Kare

Channel change krne kai karan ho skte hai, ish liye hum ish topic par baat nhi krenge. Hum sirf ishi bare me baat krenge ki ek youtube channel ke videos aur subscribers dusre channel par kaise transfer krte hai.

Ye Bhi Padhe...

1. To iske liye sabse pahle apne pc ke kisi browser me youtube.com. ki site par jakar apne account ko log in kar le. Ager aap mobile use kar rhe hai to browser me desktop mode enable kar le.


2. Uske baad profile icon par click karke Switch Accounts me se ush channel ko select kare jiska data aap dusre channel par move krna chahte hai.


Uske baad phir se profile icon par click karke ‘Settings’ ya settings icon par click kare.

3. Phir aisa page open hoga.


Ynha par aapko ‘Advanced’ par click karna hai.

4. Uske baad aisa page open hoga.


Ynha par 'Move Channel to Google Account or a different Brand Account' par click kare.

5. Uske baad aapse gmail id ka password dalne ke liye kaha jayega, so aap dal de.

6. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha niche aapko wo sabhi channels mil jayenge jo aapne ush gmail account se bna rakhe hai. Ynha aapko wo channel select krna hai jis par aap current channel ke videos aur Subscribers move krna chahte hai.

7. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha aapko 'Delete Channel' par click karna hai. But ynha main aapko ek baat btana chahunga ki jis naye channel par aap purane channel ke Subscribers aur videos move kar rhe hai, ager ush naye channel par pahle se koi video uploaded hai ya koi subscriber hai to wo delete ho jayenge.

Ish liye apne channel ke videos aur subscribers ko humesha aise channel par hi transfer kare, jis par pahle se koi video uploaded na ho aur koi Subscriber bhi na ho, kyunki nhi to wo delete ho jayenge.

8. Delete Channel par click karne ke baad aapko phir se puchha jayega ki kya aap ish channel ko delete krna chahte hai to aapko phir se 'Delete Channel' par click karna hai.

9. Uske baad aisa page open ho jayega.


Ynha par aap dekh payenge ki aapke currant channel aur new channel ( jis par aap ushe transfer kar rhe hai ) unme kya kya hoga.

Ynha aapko 'Move Channel' par click karna hai.

10. Uske baad next page me phir se 'Move Channel' click kar de.

Bas ab aapke currant channel ke videos aur subscribers naye channel par move ho chuke hai.

Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap apne kisi bhi youtube channel ke videos aur subscribers dusre channel par move ya transfer kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

4 टिप्पणियाँ

  1. sir mere purane wale channel par 209 subscriber hai , aur naye wale channel par 186 subscribe hai mai chahat hoon naye wale channel par purane wale channel ke subscriber add karna , To mera naye wale channel par subscriber 209+186=395 subscriber ho jayega ya nahi , please mera help kare sir

    जवाब देंहटाएं
  2. Kya purane channel ke data new channel par transfer karne k baad new channel ka monetization enable kar sakte hain agar ek saal mein saari criteria complete ho jayein new channel k .pls notify

    जवाब देंहटाएं