Long URL Link Ko Short/Chhota Kaise Kare

Hello friends aaj ish post me main aapko btaunga ki kisi bhi website ke URL Link kaise change karte hai ya kaise short karte hai. Ish post me btaye gye trike se aap internet par mojud kisi bhi URL link ko short ya chhota kar skte hai.

Aisa karke aap ush link ki real identity hide karke ush par jyada se jyada clicks pa skte hai. Jaise ki example ke liye maan lijiye ki aap kisi money earning app ke real link ko facebook aur whatsapp par apne friends ke sath share karte hai to ush link me ush application ka naam dekhte hi samne wale person ko pta chal jata hai ki ye kis app ya website ka link hai.

But ager aap ush application ke link change karke short kar dete hai to samne wale ko  pta nhi chlega ki ye link kisi website ya application ka hai ish liye aise me ush link par click karne ke chances jyada ho jate hai.

Long URL Link Ko Short/Chhota Kaise Kare

Iske alwa iske aur bhi kai benefits hai jaise

1 Ush link par jinti baar click hoga aap ushe track kar skte hai.

2 Ish se aap bade se bade link ko bahut chhota yani ki short kar skte hai.

Ye Bhi Padhe..

To chliye abhi main aapko bta deta hun ki kisi URL link ko short kaise karte hai ? iske liye humne kuch steps btaye hai inhe follow kare.

Step:- 1
Sabse pahle ynha click karke Goo.gl ki website par jaye.

Step:- 2
Uske baad iska home page ish trah se open hoga.


1. Ynha par wo URL type ya paste kare jise aap short krna chahte hai.

2. Phir 'SHORTEN URL' par click kar de.

Uske baad next page me ush URL ka short link aapke samne aa jayega, wnha se aap ushe copy karke use kar skte hai.

Ish site ke home page par hi aapko aapke dwara short kiye gye sabhi URL's mil jayenge. Wnha par aap ye bhi check kar skte hai ki un links par ab tak kitni clicks huye hai.

Iske alawa bh kuch sites hai jinse hum kisi bhi URL link ko chhota kar skte hai. Ish liye ager aap chahe to inhe bhi use kar skte hai.

1. www.3.ly

2. tinyurl.com

3. bitly.com

To ish trike se aap kisi bhi long URL Link ko short ya chhota kar skte hai. Ager aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ