Facebook Par Fake Account Ki Report Kaise Kare

How to report fake account on facebook:-  Friends facebook par aaj kal kitne fake accounts ban gye hai ye baat aap bhi jarur achhe se jante honge. kyunki hume facebook par aise accounts aksar dekhne ko mil jate hai jo ki real nhi hote hai. Fake ID’s bnane walu ka main target kisi particular person ko preshan karne ya kisi ko badnam karne ka hota hai.

Facebook Par Fake Account Ki Report Kaise Kare

Iske alawa kuch log aise hi time pass ke liye hi fake account bna lete hai aur logo ko preshan karne lag jate hai. Un me se jyadater fake ID’s ladkiyon (girls) ke naam se bnayi jati hai, taki wo kam samay me apni posts ko jyada se jyada logo tak pahuncha ske.

Ye Bhi Padhe...

Ager aap kisi aise hi fake account se preshan hai aur ab kisi trah se uski report karke ushe delete/block karwana chahte hai to ish post ko last tak jarur padhe. Kyunki isme main aapko iske bare me btane wala hun.

Ish Jankari Ko Video Me Dekhne Ke Liye Ynha Click Kare

Facebook Par Fake Account Ki Report Kaise Kare


1. To report krne ke liye sabse pahle facebook ke ander apne account ko log in karna hai.

2. Uske baad ush fake account ki profile jaye jiski aap report karwana chahte hai.

3. Phir More ya 3 dots par click kare.


4. Uske baad Report par click kare.

5. Report This Profile par click kare.

6. Uske baad This is a fake account par click kare.


7. Phir 1st option Submit to Facebook for Review Report ko select karke Done par click kar de.


Bas iske baad aapki report submit ho jayegi aur facebook khud manually ush profile ka review karke check karega ki wo account fake hai ya real. Ager wo ID fake hui to ushe delete kar diya jayega.

But ek baat yaad rakhe ki ager wo account fake nhi hua to facebook aapke account ko fake samjh kar ushe bhi delete ya block kar skta hai.

Ish liye kabhi bhi kisi ke real account ki report ye bta kar na kare ki wo ek fake account hai. Nhi to aapko bhi nuksan uthana pad skta hai.

To ish trike se aap facebook par kisi bhi fake account ki report kar skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.


FAQ

Facebook Par Kisi Ki Report Karne Se Kya Hota Hai ?

Facebook par kisi post ya profile ki report krne se facebook ki team ki se ush post ya profile ko check kiya jata hai. Agar wo post ya profile fake nikale ya kisi ko nuksan pahuchane jaisi ho to ushe facebook se hata diya jata hai.

Kya Facebook Par Report Karne Se Account Delete Ho Sakta Hai ?

Agar aap kisi fake account ki report karte hai to usko report krne se facebook ki traf se ushe disable kiya ja sakta hai.

Agar Koi Humari Photo Se Fake Facebook Account Bna Le To Kya Kare ?

Agar koi insan aapke naam aur photo se fake facebook account bna leta hai to aap ush account ki report karke ushe delete karwa sakte hai.

Facebook Par Fake Account Ki Report Karne Par Kya Hota Hai ?

Jab ham kisi fake account ki report karte hai to facebook team ki traf se ush account ko check kiya jata hai, agar facebook ko ush account par kisi parkar ka doubt ho to facebook ush account ko disable kar deta hai aur jab tak account holder apni identity proof nahi karta hai tab tak wo ush account ko login nahi kar pata hai.


Ye Bhi Padhe..

Friends ager aapko ye jankari fake facebook account ki report kaise kare ? achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare, aur ager aap humari website ke articles free me apne mail box me pana chahte hai to abhi Dainiktricks ko subscribe kare. 

एक टिप्पणी भेजें

2 टिप्पणियाँ