Gmail ID Me Se Delete Mails Ko Wapas Recover Kaise Kare

How to Recover Delete Mails From Gmail ID:- Friends jaisa ki aap sabhi jante hai ki email ek aisi service hai jiske dwara hum sirf kuch hi seconds me koi bhi text, document aur other media files ko message ya mail ke rup me ek sthan se dusre sthan par send kar skte hai, phir chahe dono sthano ke bich me duri kitni bhi ho. Isme distance koi mayne nhi rakhti hai.

Ab kyunki aap bhi ek internet user hai, ish liye general si baat hai ki aapki bhi ek email/gmail id hogi aur aap bhi uska istemal mails ko send krne aur receive krne me karte honge. ab aise me kai baar aisa hota hai ki humse humare mail inbox me se koi mail galti se delete ho jata hai. Jiski hume baad me jarurat pad sakti hai.

Gmail ID Me Se Delete Mails Ko Wapas Recover Kaise Kare

To aise me hume un delete mails ko wapas recover krne ki jarurat padti hai. Gmail me iske liye alag se ek folder hota hai, jnha par hume humare dwara delete kiye gye  sabhi mails mil jate hai. Wnha se hum un delete mails ko wapas recover kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...


Gmail ID Me Se Delete Mails Ko Wapas Recover Kaise Kare


To friends Gmail me delete mails ko wapas recover kaise karte hai ? iske bare me janne ke liye ish post ko last tak jarur padhe.

Iske liye sabse pahle aapko apne mobile me gamil application me jana hai.

Uske baad ager aapne isme sign nhi kar rkha hai to sabse pahle apni gmail id aur password dal kar sign kare. Phir aisa page aapke samne open ho jayega.

GMAIL

Ynha aapko 3 lines par click krna hai. Uske baad aapke samne ish trah se kuch options aa jayenge.

TRASH OPTION KYA HAI

Ynha par aapko ‘Trash’ par click krna hai. Trash ke ander aapko wo sabhi mails mil jayenge jo aapne kabhi delete kiye the. Jaisa ki aap niche screenshot me dekh skte hai.


Ynha par aap un mails ko find karke read kar skte hai, aur ager aap in me se kisi mail ko wapas apne primary mails me le jana chahe to sabse pahle un mails ko mark kar le, jinhe aap wapas primary mails me le jana chahte hai aur uske baad upper right corner me jo 3 dots hai, un par click kare.

Uske baad aapko kuch options milenge, wnha par 'Move to' par click kare aur uske baad next page me 'Primary' par click kare. Bas uske baad wo wapas aapke primary inbox me chle jayenge.


FAQ

Gmail ID Se Delete Mail Kaha Milenge ?

Gmail me mojud Trash folder me aapko delete kiye gye mails mil jayenge.

Trash Se Mail Delete Hone Ke Baad Wapas Kaise Laye ?

Agar mail trash se bhi delete ho chuka hai to ushe wapas nahi laya ja sakta hai.

Delete Karne Ke 30 baad Mail Recover Kaise Kare ?

Mail delete hone ke 30 baad recover nahi ho sakta hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap bahut hi aasani se gmail me delete mails ko recover kar skte hai. Waise to ye process bahut hi easy hai, but ager phir bhi aapko isme koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Friends ager aapko ye jankari achhi lgi ho aur aap aisi hi jankariya free me apne mail box me pana chahte hai to abhi subscription box me apni email id dalkar dainiktricks ko subscribe kare. Uske baad aapko ek mail milega, usme ek link hoga, ush par click karke subscription ko confirm jarur kare.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ