Jio Number Ki Call Aur Message Detail Kaise Nikale 2024

How to get call details of jio number:- 

Hello friends aaj ish post me main aapko btauga ki kisi bhi jio number ki call details apne mobile me kaise nikalte hai ? Ya apni email id par kisi bhi jio number ki call ya message details/history kaise nikalte hai ?

Ish post me btaye gye trike se aap kisi bhi person ke jio number ki call details nikal skte hai, phir chahe wo aapki girlfriend/boyfriend ho, husband/wife, brother/sister, aapka friend ya other koi bhi person ho aapke uske jio number ki call history dekh skte hai.

Jio Number Ki Call Aur Message Detail Kaise Nikale

Iske bare me batane se pahle main kuch baate aapko abhi btana chahunga ki jio number ki call ya message details nikalna bilkul free hai. Iska koi charge nhi lgega. Yaha btaye gye trike se aap kisi bhi number ki pichhle 6 months tak ki call details apne mobile se nikal skte hai ya ager aap chahe to ushe pdf file me apni email id par bhi prapat kar skte hai.

Ye Bhi Padhe...

Iske liye aapko wo phone ya sim card sirf ek minute ke liye chahiye hoga. Kyunki ush number par ek OTP aayega, jiski hume jarurat padegi. Ager phone aapke pass na ho to aap ush number par call karke bhi wo OTP puchh skte hai.

Jio Number Ki Call Aur Message Details Kaise Nikale ? 2024

To chaliye bhi main aapko iske bare me bta deta hun. But iske bare me batane se pahle main aapse kehna chahunga ki ish post ko dhyan se aur last tak jarur padhe. Kyunki tabhi aapko ye process thik se samjh aayegi.

Ager aap ishi jankari ko video me dekhna chahe to post ke last me humne ek video bhi add kiya hai. Jisme humne ishi ke bare me btaya hai. Aap chahe to wo bhi dekh skte hai.

To chaliye abhi main aapko bta deta ki apne mobile se kisi bhi jio number ki call ya message details kaise nikalte hai. Iske liye humne kuch steps btaye hai, inhe follow kare.

Step 1
Sabse pahle aap apne mobile me My Jio app install kare. Ager aapke mobile ye app pahle se hai to ek baar check kar le ki ye updated hai ya nhi. Ager update nhi hai to pahle ushe update kare.

Uske baad ishe open kare. Ager aapke mobile me pahle se koi dusri jio sim hai to aapka number isme automatically sign ho jayega aur aapke samne kuch ish trah ka page open ho jayega.


Yaha par aapko 'Link New Account' par click karna hai. ( Ager aapke mobile jio sim nhi hai to ish application ke ander ush jio number se sign in kare jiski detail aapko nikalni hai.)

Step 2
Uske baad aisa page open hoga.


Yaha par aap konsi service add karna chahte hai, wo select karna hai. Hume kisi dusri jio sim ki details nikalni hai. Ish liye mobile select kare.

Step 3
Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha par aapko wo phone number dalne hai, jiski aapko detail nikalni hai. Uske baad Get OTP par click kar de. Phir ush number par ek OTP aayega. Next page me aapko wo dalna hai.

Step 4
To OTP dalne ke baad wo number bhi My Jio app me link ho jayege aur abhi aap uski detail bhi apne phone se nikal skte hai. Iske liye aapko phir My Jio app ke home page par aa jana hai.


1. Yaha par aapko 'Switch Account' par click krna hai. Uske baad ish app ke ander jitne bhi jio number link honge. Wo sare yaha par aa jayega. Aapko wo number select krne hai, jiski aapko call details nikalni hai.

Ye Bhi Padhe...

2. Uske baad upper 3 lines par click kare. Phir aapke samne kuch options aa jayenge. Unme se aapko 'Statement' par click karna hai. Uske baad aisa page open ho jayega.


1. Aap jitne time ki call details nikalna chahte hai, uski starting date yaha par dale.

2. Aur ending date yaha par dale.

Note:- Aap pichhle 6 months tak ki call details nikal skte hai. Par ek baar me aap maximum 30 days ki details hi nikal skte hai. Ish liye ager aapko pure 6 months ki history nikalni hai to aapko 30-30 din karke 6 baar history nikalni pdegi.

3. To jab aap starting aur ending date daal de to uske baad Download Statment option select kar le uske baad 'Download Statment' par click kare.

Step 5
Uske baad aisa page open ho jayega.


Yaha aapko Download Icon par click krna hai.

Step 6
Uske baad ish trah se aapke samne kuch options aa jayenge. Yaha par aapko select krna hai ki aap kisi trah se ishe download krna chahte hai.


1. Apne mobile me ish number ki call detail ko pdf file me download krne ke liye 'Download Statement' par click kare.

2. Ish detail ko apni email id par prapt krne ke liye 'Email Statement' par click kare.

Iske baad ush number ki statement yani ki ush jio number ki puri call aur message detail aapke mobile ya email id par pdf file me download ho jayegi. Yaha se aap uski puri details dekh skte hai.

Ush number ki detail jo pdf file me download hogi uske bare me main aapko btana chahunga ki usme sabse upper internet usages, uske baad call detail aur uske baad message detail hogi.

Call details me aapko ush jio number ki puri jankari mil jayegi, jaise usne kis kis number par kab aur kitni der tak baat ki etc.


FAQ

Jio Number Ki Call Detail Nikalne Wala App Konsa Hai ?

My Jio app se kisi bhi jio number ki call detail nikali ja sakti hai.

Jio Call Detail Kitne Time Tak Ki Nikaal Sakte Hai ?

Jyada se jyada 6 months ki call aur message detail nikaal sakte hai.

Kya Hum Jio Number Ki Incoming Call Detail Nikaal Sakte Hai ?

My Jio app me incoming call history save nahi hoti hai isliye incoming calls ki history sirf phone ke call dialer app me hi dekhi ja sakti hai.

Jio Sim Ki Call History Kaise Dekhe ? Naya Trika 2024

> Sabse pahle My Jio app open kare.

> Menu button par click karke Statement option par click kare.

> Date range select karke Download Statement par click kar de, fir ush number ki call history download ho jayegi, aap dekh sakte hai.

6 Months Se Purani Jio Call Details Kaise Nikale ?

Abhi tak 6 months se purani call history nikalne ka koi option mojud nahi hai.


Ye Bhi Padhe...

To ish trike se aap kisi bhi jio number ki call ya message history nikaal skte hai. Ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.

Ishi Jankari Ko Aap Yaha Video Me Bhi Dekh Skte Hai. Ye jankari video me dekhne ke liye yaha click kare

Friends ager aapko aisi hi jankariya free me apne mail box me chahiye to abhi niche apni email id dalkar Dainiktricks ko Subscribe kare. Subscribe krne ke baad aapko ek mail milega, usme ek link hoga, ush par click karke subscription confirm jarur kare.

एक टिप्पणी भेजें

46 टिप्पणियाँ

  1. Ye post padhiye, isme mene airtel number ki call details kaise nikalte hai ? Iske bare me btaya hai
    http://www.dainiktricks.com/2018/01/airtel-number-ki-call-history.html

    जवाब देंहटाएं
  2. Otp kase mile ga us no.ka jisski call details nikalni h ?? It's not easu

    जवाब देंहटाएं
  3. Sonu ji, video call ki details aap ush mobile ke jio chat app me jakar check kar skte hai, ager usne jio chat se video call kiya hoga to uski information wnha mil jayegi.

    जवाब देंहटाएं
  4. Incoming calls ki details nhi dekh skte, sirf outgoing calls ki details hi dekh skte hai.

    जवाब देंहटाएं
  5. Kya details without otp ke possible nhn hai? ya old otp ko use kar sakte hai?

    जवाब देंहटाएं
  6. Nhi bina foto ke possible nhi hai, ha ager aapne ek baar ush number ko apne mobile me link kar liya hai to usko dubara link krne ki jarurat nhi pdegi, wo aapko my jio app me mil jayega, aap uski details nikal skte hai.

    जवाब देंहटाएं
  7. To aapko 30 - 30 din ki details nikali pdegi 6 baar, kyunki hum ek baar me maximum sirf 30 days ki call details hi nikaal skte hai.

    जवाब देंहटाएं
  8. Ager statement ki date change nhi ho rhi hai to apne mobile me My jio app ko update kare, uske baad thodi der ke baad try kare ho jayegi.

    जवाब देंहटाएं
  9. jis din new no link kiya hai usse phle ki details bhi nikal jyngi kya

    जवाब देंहटाएं
  10. Outgoing call to pata ho sakte hai incoming call kaise pata kr sakte hai

    जवाब देंहटाएं
  11. Msg main kya likha hai ye detail nikal skte hai kya sir. Jio main

    जवाब देंहटाएं
  12. Nhi hum sirf outgoing calls ki detail nikaal skte hai, incoming calls ki detail nhi nikaal skte, and message jis number par send kiya gya hai hum sirf wo dekh skte hai pura message nhi dekh skte

    जवाब देंहटाएं
  13. Prajapat ji

    Kya delete ki huyi call history ko retreive kiya ja skta hai

    जवाब देंहटाएं
  14. Ha ji bilkul nikal skte hai. Ager wo person call krne ke baad call history delete kar rha ho ? Tab bhi uski puri detail aapko milegi

    जवाब देंहटाएं
  15. Brother agar kisi aur ke mobile mai hmare mobile number se account link h aur uske mobile se agar hmare number ka account htana hai toh kya krna padta h bhai. Plzz jldi btana

    जवाब देंहटाएं
  16. Ish par bhi mene ek article likh rkha hai aap wo padh skte hai, ush post link ishi post me hai

    जवाब देंहटाएं
  17. I want my 1 month call details as i have my jio phone how will i get those statements.?

    जवाब देंहटाएं
  18. Mujhe apne jio ke sim card ke call details kse milenge wo bhi 1 month ke?

    जवाब देंहटाएं
  19. Sir.. sirf ek month last ka.nikl.rha h...us se pichle month mein errr dikha rha h....

    जवाब देंहटाएं
  20. Agar phn change kr liya ho toh pehle vale number ki details nikl jayegi

    जवाब देंहटाएं
  21. Sir agar m apna sim band kar deti hun or dusra number leti hu to mere band number se mera address ya details nikal sakti hai? Ya mujhe new number kisi or id se lena chahiye tell me.

    जवाब देंहटाएं
  22. Mera jio ka sim.hai to isme outgoing call details he niklegi incoming nhi or message details b nikal sakti hai kya?

    जवाब देंहटाएं