Jab bhi hume internet par kuch search karna hota hai to hum google me ushe search karte hai. Jaise ager hume kisi celebrity, kisi special day ya shayri ki photos download krni hoti hai to hum google se hi unhe download karte hai.
To jab hum google me kisi photo ko search karte hai aur hume wo photo ya image mil jati hai, tab aap bhi ek baat jarur sochte honge, ki yaar hum aisa kya kare ki google me humari photo bhi dikhai de. ya google me koi bhi photo kaise upload karte hai ?
Google Me Apni Photo Kaise Upload Kare { 3 Methods }
1. Social Sites
Dosto google me humari photo dikhane ya upload karne ka sabse aasan trika hai Social Sites jaise Facebook, Twitter, Pinterest etc hai.
Abhi aap soch rhe honge ki yaar main to bahut time se facebook ya in sites par photos upload kar rha hun to aaj tak meri photo google ne kyun nhi dikhai ? aapko shayad iska karan nhi pta hai, but koi baat nhi main aapko iska reason bta deta hun.
But ush se pahle main aapse ek question puchhna chahunga ki kya aapko pta hai ki google kaise kaam karta hai ? ya google kaise hume sirf wahi photos dikhata hai jo hum search karte hai ?
Aap soch rhe honge ki shayad google pahle khud un photos ko dekhta hai aur baad me hume result ke rup me dikhata hoga. But aisa nhi hai. Google hume keywords ke anusar photos ya other results ko dikhata hai.
Abhi aap soch rhe honge ki ye keyword kya hota hai ? To chliye main aapko practically samjhata hun. Example ke liye maan lijiye ki aap Narendra Modi Ji ki photos download karna chahte hai to aap google me ‘Narendra Modi Photos’ aisa kuch likh kar search karenge.
To ush time google hume sirf unhi images ko dikhayega, jinko Narendara Modi naam se internet par kisi website par upload kiya gya hai.
Ish liye jab bhi aap Google+, Facebook ya other kisi bhi site par apni photo upload kare to pahle ushe rename karke uska naam change kar le, uske baad hi ushe upload kare. Uske baad jab bhi aap ush naam se google me images search krenge to aapki photo bhi search result me dikhai degi.
Ye Bhi Padhe...
Note:- Google ko aapki photo ko index krne me 10 se 20 ya ish se bhi aadhik time lag skta hai. Ish liye aap chinta na kare kyunki thode time ke baad google aapki photo ko bhi dikhana start kar dega.
2. Youtube
Aap youtube ke dwara bhi google me apni photo upload kar skte hai. Ager aapne kabhi youtube par koi video upload kiya hai to aapko pta hoga ki youtube video ke thumbnail ko hum customize karke uske sthan par koi photo bhi lga skte hai.
Hum jo photo thumbnail ke rup me ush video par lgate hai, wo hume google me bhi dikhai deti hai. But iske liye bhi aapko wahi rule follow karna hai aur ush photo ko youtube video ke thumbnail ke rup me lgane se pahle uska naam change kar de.
3. Blog Se
Ish trike se aap apni photos ko google me bahut hi kam samy me top results me show karwa skte hai. But iske liye internet par aapka ek blog ya website honi chahiye. Iske liye aapko apne blog me ek new post likhni hogi, jisme aap apni images ko bhi daal de, par pahle unka change kar de aur image title aur description me bhi ush image ke bare me likh kar post ko publish kar de.
Uske baad aapki photos google me upload ho jayegi. Un images ko dekhne ke liye aapko google me wahi keywords type karke search karna hai jo aapne un photos ke naam me likhe hai.
FAQ Related to Upload Photo on Google
Hum Aisa Kya Kare Ki Google Me Humari Photo Bhi Dikhai De ?
Google me apni photo dikhane ke liye aapko apni photo Google me upload karni pdegi, Google me photo upload krne ka trika ish article me btaya gya hai.
Google Me Koi Bhi Photo Kaise Upload Karte Hai ?
Hum Google me directly ko photo upload nahi kar sakte hai, aapko ek blog bnana pdega aur usme photo upload karni pdegi, tab Jake Google aapki photo dikhayega.
Aaj Tak Meri Photo Google Ne Kyun Nhi Dikhai ?
Google sirf wohi photo dikhata hai jo internet par upload ki hui hoti hai. Aapne internet par apni photo upload nahi ki ishliye Google aapki photo nahi dikhata hai.
Google Kaise Hume Sirf Wahi Photos Dikhata Hai Jo Hum Search Karte Hai ?
Google keywords ke aadhar par kaam karta hai. Internet par jab bhi koi photo upload karta hai to wo photo jis chij ki hoti hai ush se related keywords photo upload karte time likhe jate hai. Isliye jab koi waise keyword Google me search krta hai to google sirf search kiye keywords se related photo hi dikhata hai.
Google Me Keyword Kya Hota Hai ?
Google me kuch bhi search krne ke liye ham jo bhi word likhte hai unhe hi keywords kaha jata hai.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap google me apni photos upload kar skte hai ya show karwa skte hai. Friends ager aapko ye jankari how to upload our photo on google search achhi lge to ishe apne dosto ke sath bhi share kare.
1 टिप्पणियाँ
Nice
जवाब देंहटाएं