Airtel Number Ki Call History, Details Kaise Nikale

How To Get Call Details, History Of Airtel Number ?

Friends pichhli post me maine aapko btaya tha ki hum kaise kisi bhi jio aur VI number ki pichhle 6 months tak ki call details nikaal skte hai. Ager aapne wo post nhi padhi hai to abhi padhe.


Ush post ko likhne ke baad kuch visitors ne mujse puchha ki sir kya hum airtel number ki call details bhi nikal skte hai ? ya airtel ke number ko call detail kaise nikale ? Ager aapke sawal bhi kuch ishi trah ke hai to aaj aapko inka jwab mil jayega.

Airtel Number Ki Call History, Details Kaise Nikale

Kyunki ish post me main aap sabhi batane wala hun ki kisi bhi airtel number ki call detail ya history kaise nikalte hai ? How to check airtel call history of other number without otp

Iske bare me batane se pahle iski kuch term and conditions hai jo main aapko abhi bta dena chahunga.

1 Airtel number ki call details nikalna free nhi hai iske liye aapko Rs 50 rupay pay krne honge.

2 Aap sirf pichhle 3 months tak ki call details nikaal skte hai.

3 Ish trike se aapko sirf ush number se kiye gye outgoing calls ki jankari milegi, incoming calls ki koi jankari nhi milegi.

To abhi aap iski term and conditions jan chuke hai, jo ki aapko kisi bhi airtel number ki call detail nikalne se pahle pta honi chahiye thi. Abhi main aapko bta deta hun ki iske liye aapko kya krna hoga.

Airtel Number Ki Call History, Details Kaise Nikale


Friends iski process bahut hi easy hai. Aap bina internet ke keypad wale phone se bhi iske bare me pta kar skte hai. Iske liye sirf aapko ush airtel number se 121 par ek sms send karna hoga jiska charge 50 rupay hoga.

To iske liye sabse pahle aapko ush mobile ke messages me jakar ek new message kuch ish trah se type krna hai.

EPREBILL <month name> Email ID

1. Message me sabse pahle aapko EPREBILL likhna hai,

2. Uske baad ush mahine ka naam likhe jis month ki call details aap pana chahte hai.

3. Uske baad wo email id dale jis par aap ye call details pana chahte hai.

Example:-

EPREBILL January example@gmail.com

To ish trah se aap message thik se type kar le uske baad ish message ko 121 par send kar de.

Phir company ki traf se aapko ek SMS aayega, jisme ek password hoga, aur aapki ush email id par ek mail aayega. Ush mail me ek excel file hogi, jisme ush number ki puri call detail hogi. Jab aap apne computer ush excel file ko open krenge to aap se password puchha jayega, tab wnha par aapko sms me aaya hua password dalna hai.

Password dalne ke baad aap ush number ke dwara kiye gye sabhi outgoing calls ki details dekh payenge.


FAQ Related to Airtel Call History 

How Can I Get 6 Months Call History in Airtel ?

Aap apne airtel number se EPREBILL <month name> Email ID type karke 121 par send kar dijiye apaki email par call detail aa jayegi.

How to Check Airtel Call History ?

Airtel sim ki call history check krne ka pura process ish article me btaya gya hai ishliye aap ye pura article padhe.

Kya Ham Kisi Dusre Ke Airtel Number Ki Call Detail Nikal Sakte Hai ?

Aap kisi ke bhi number ki call detail nikal sakte hai, iske liye bas aapko ush number se ek sms bhejna pdega. Isliye kuch der ke liye aapke pass wo number hona jaruri hai.

Kya Ham Free Me Airtel Call Details Nikal Sakte Hai ?

Nahi, airtel sim ki call details nikalne ke liye aapko 50 rupay ka payment krna padta hai.


Ye Bhi Padhe...


To ish trike se aap kisi bhi airtel number ki call details nikaal skte hai. Ager ish se relative aapka koi sawal ho ya aapko ish process How to check airtel call history in hindi, me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai. 

एक टिप्पणी भेजें

9 टिप्पणियाँ

  1. Sir mene SMS keya per koi jbab me SMS nehi aa reha keb tek aa jayega

    जवाब देंहटाएं
  2. Kai baar thoda time lag jata hai reply aane me, aap ek baar check kar lijiye ki sms thik se send hua hai ya nhi.

    जवाब देंहटाएं
  3. Incoming calls ki detail nikaalne ka abhi tak koi trika nhi hai, ager mujhe future me mila to ush par article jarur likhunga.

    जवाब देंहटाएं
  4. Mjhe to iske regarding koi msg nhi aya sir... aur 50 rs balance kaise katwaynge

    जवाब देंहटाएं
  5. Sir hme jis month ka janna hai ditel kya hme utni bar Mont ka nam likh kr 121 pr msg krna pdega

    जवाब देंहटाएं
  6. कया इसका कोई शुल्क लगता है! तो कितना

    जवाब देंहटाएं