How to Download New and Latest Apps and Games from Play Store ?
Friends aaj ish post me main aapko btauga ki play store par jab bhi koi naya app ya game aata hai to uska pta kaise karte hai ya play store se new aur latest application kaise download karte hai. Ish liye ager aapko iske bare me janna hai to ish post ko last tak jarur padhe.So ager aap ek youtuber hai to ye aapke aur bhi jaruri ho jata hai, Iske alwa ager aap ek normal android user hai tab bhi aapko iske bare pta hona bahut jaruri hai. taki aapko android mobile ke liye new aur latest applications ke bare me pta rahe aur aap sabse pahle un apps ya games ko use kar ske.
To chliye abhi hum jyada time waste na karte huye topic par aate hai aur baat karte hai ki play store se new aur latest application ya game ko kaise pta karte hai ya unhe kaise install karte hai ?
To iske liye sabse pahle to aapko apne mobile me play store ko open karna hai, uske baad google play store ka home page aapke samne ish tarh se open ho jayega.
Yaha par aap un apps aur games ko dekh skte hai jo abhi abhi play store par upload huye hai ya kuch hi der me upload hone wale hai.
Apps In Development
Yaha par aap un applications ko dekh skte hai jinka abhi kaam chal rha hai ya jo abhi devlopment me chal rhi hai aur kuch hi time me completely tyar hone wali hai.
Games In Development
Yaha par aap un games ko dekh skte hai jinka kaam ya development abhi chal rha hai aur kuch hi time me completely tyar hone wale hai.
Ye Bhi Padhe...
Ager aap in me se kisi bhi app ya game ko download karna chahe to kar skte hai. iske liye aapko jis application ko download karna hai, ush par click karna hai. uske baad aapke samne aisa page open ho jayega.
Friends waise to aap in me se jyadatar apps ko download karke unhe turant use kar skte hai. Lekin in me se kuch apps aise bhi hote hai jinka kaam yani ki unka development ush time tak complete nhi hua hota hai ish liye aap unhe download to kar skte hai but unhe turant use nhi kar skte hai.
Ager aap aise kisi app ya game ko apne mobile me install karte hai to wo aapke mobile me aasani se install ho jayega aur jab ush app ka kaam pura ho jayega tab aap ko ek notification mil jayega ki abhi ish app ka kaam pura ho chuk hai aur abhi aap ishe use kar skte hai.
FAQ
Play Store Me Aaj Kon Konse App/Game Aaye Hai ?
Aap play store me Early Access tab par click krke naye apps aur games ko dekh sakte hai jo haal filhal me aaye hai.
Play Store Par New Apps/Games Kaha Milenge ?
Play store me mojud Early Access tab me aapko latest apps aur games dekhne ko milenge Jo ki abhi haal hi me release huye hai.
Play Store Me Early Access Tab Kaha Gya ?
Play store ke latest update me Early Access tab ko remove kar diya gya hai, abhi ye tab aapko nahi milega.
Ye Bhi Padhe...
To ish trike se aap play store par aane wale new aur latest apps aur games ka pta lga skte hai aur unhe apne mobile me install ya download kar skte hai. ager aapko ish process me koi problem aaye to aap comment karke puchh skte hai.
Note:- Play store se ab Early Access tab ko remove kar diya gya hai. Isliye abhi aapko play store me ye tab dekhne ko nahi milegi. Yaha btai gyi jankari sirf aapko information dene ke liye hai.
0 टिप्पणियाँ